Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   Bazm-e-Lazzat-e-kaif.....khushi ka kona.... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=17436)

Parastaar 15th December 2003 08:46 PM

Bazm-e-Lazzat-e-kaif.....khushi ka kona....
 
Dosto hum ek naya thread lekar haazir huye hain aapke liye…guzarish hai sab doston se ki zaroor participate karein…aur is mehfil mein shaamil ho ise rangeen banayein…hum iss bazm-e-lazzat-e-kaif ki jaanib se aap sabhi hazraat ka istaqbaal karten hai..? kuch bandishein hain yahan sher ya poem post karne kee…

Maximum length 6 lines (your own or borrowed).


Celebrating zindagi, pyaar, dosti, ma-baap, vagairah vagairah.


No no words, maut, chita, shamshaan, vagairah vagairah.


Must use one of the words from last post, just any.


We will have two teams…1 Marghati 2 Kabristaani
(when you post a sher, if you are not already in a team, Sakhi will assign you a team, and occasionally we will post points as well as team members’ names).


You can give daad to people but must end with an entry of your shayri…to continue…


An absolute must…your shayri must end with a yellow emoticon…


100 points for each correct entry for your team.


-100 points taken off for not following one of the rules.

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash,...

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum...

Yeh hamare starting team members hain. Teams will grow as people join them…chaliye milte hain aapko yaheen isi jagah…tau shuroo karein?

Parastaar 15th December 2003 09:08 PM

I would like to mention here that dear Shimul will have the authority to moderate in case of any discrepencies...her word holds...when giving or taking away points....

"SINCE SHIMUL HAS BEEN FOUND THE MOST LOVED MEMBER (BECAUSE SHE APPRECIATES ALL OF US) SHE HAS BEEN APPOINTED AS A JUDGE AND SHE HOLDS THE FINAL AUTHORITY ON POINT GIVING AND WITHDRAWING...

Parastaar 15th December 2003 09:39 PM

chaliye hum hee start karte hain...

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa
;-)

Ahmed Faraz

is maamuli se kone mein aap sabka swaagat hai....

paras

sakhi1909 16th December 2003 12:17 PM

swagat ke liye dhanyabaad aapa.


haath chute bhi to riste nahi choda karte
waqt ki shaakh pe lamhein nahi toda karte

jiski aavaaz mein silbat ho nigahoin mein sikan
yaise tasveer ke tukde nahi joda karte

lagke shahil se jo bahta hai use bahne do
yaise dariya ka kabhi rukh nahi moda karte:)



my feb guljar ji


:) sakhiiiii

arvindsony 17th December 2003 11:26 AM

hi
 
vah na aayega, humko maloom tha us shym bhi, Intzaar uska magar kuch soch kar karte rahe...
;-)

arvindsony 17th December 2003 11:44 AM

hi
 
Tere Surat se kise ke nahi milte surat,
hum jahan se tere tasveer liya pirtay hi
;-)

sanjoo 17th December 2003 07:39 PM

ParaS....ap ko pata hii hai aaj kal Hum apnne appE mai nahi hai....wo tau ap ka karam hai joo....itnni tawazzoo sanju ko ap dete hoo..warr na..hum kyaa hai...

sunnooo...kuch waqt pehale kuch likha thaa wo ap ko fhiR se sunna dete hai...Ok....joo aP ne thiK karr wapas hume mail kiya thaa....!!!


MushTaaq huye hum Sang DIL rahe woh

Arzoo rahii kya haasiL huva kyaa....



ILtijaa na sunein DhaRakte DIL ki woh

BeZaarii ka DIL paR asaR Rang lata hai kyaa...



SehRa ki pyaaS liye mileN uss nooR ki buunD se woh

Na chalLkii Na bahii be-murrwaT pyaaSaa hii tadFane ko woh kyaa...



BarishoN ka mausaM ban kar rehata hai ankhoN mai woh

Bahe khuB hum parr na mile kinaare tujH dariiya ka kyaa...



KasuuR mera hii sahii kisi ka na sahii hai aB woh

Tau FaissLe par MunH moDe wo dekhe merii jaaNiB kyaa...



Ab chale bhii jaate hain iss duniya se RaqeeB ban woh

KyaaM kiya uskii maRzii sa... chale bhii gaya aB Sanju apnni marzii sa kyaa.......


PS: sorry.......ap ki baaT ka jawaB na de paya...!

Parastaar 17th December 2003 09:39 PM

please for the moderators:::

Sanjoo's entry is not to be considered for this thread...thanx


Sanjoo,

mujhe malum hai aap kis daur se guzar rahe ho...hum sabki shubhkaamnaiyein aapke Dad ke saath hain...bhagwaan se yahi praarthna hai ki unki taqleef door karein...aap bus apni family kee taraf dhyaan dein...humko yahin paayeinge...jab sab theek ho jaayega aur aap wapis aayeinge is bazm mein...tab tak pls no other worries ok...aur apna bhi dhyaan rakhein...you can only help if you are in good health...aur mujhe plz batate rahein unki tabiyaat ka...

aapki shayri aapke jazzbaton ka aaina hai...isse main aapki taraf se post kar rahi hoon shayri-e-dard mein...theek hai? apna khayaal rakhein....

.......paras

arvindsony 19th December 2003 09:38 AM

hi
 
hi sanjo..
bhut aacha likha hi dost....keep it up....
god bless u

Parastaar 19th December 2003 02:31 PM

vah na aayega, humko maloom tha us shym bhi, Intzaar uska magar kuch soch kar karte rahe...
vah na aayega, humko maloom tha us shym bhi, Intzaar uska magar kuch soch kar karte rahe...

Kabhi khushi se khushi kee taraf nahin dekha
tumhare baad kisi kee taraf nahin dekha

Yeh sochkar ki tera intezaar laazmi hai
tamam umr ghadi ki taraf nahin dekha

intezaar

....Unknown;-)

arre dosto...what is this...yeh haal raha tau hum marghati without ladaayi ke hee jhanda gaad deinge...

arvind ,,,,

aapke doosre sher ne hamare -100point kar diye...aainda dhyaan rakhna you have to use a word from the last sher:(

sakhi1909 19th December 2003 10:53 PM

umr ko lekar ye post kiya hai meine aapa.
aapa aapki sher dono mujhe bhut pasand hai meine kaphi pahle pada hai inko tabhi se i like its.



aah ko chiye ek umr asar hone tak
kun jeeta hai teri julf ke sar hone tak

ashiki sabr talab aur tammnaa betaab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

hamne maana ki tagafful karoge lekin
khak ho jayenge ham tumko khabar hone tak
:confused:

ham sabke pyaare galib chaaha ji


aap log bhi yah aao aur kuch post karo na dears all readars
sakhiiiii

:)

arvindsony 20th December 2003 08:43 AM

hi
 
hi sakhi ji....
aap ka sher kafe acha laga.....kuch hamre or se... (but not mine..write i dont know)


Subhan dam julf na yeh bekhraoo, Log dokha kha rahe hi sham ka
;-)

sakhi1909 20th December 2003 03:07 PM

Subhan dam julf na yeh bekhraoo, Log dokha kha rahe hi sham ka


kya baat hai janab.bhut acha sher likha hai apne.thanx a lot
hey kaise ho ab haan.
aapse baat hi nahi ho paa rahi hai na.

apna khyaal rakhna aur khush rahna

sakhiiii

Parastaar 20th December 2003 07:37 PM

You can give daad to people but must end with an entry of your shayri…to continue…


bhool gayi meri gudiya...

so main continue karne ke liye kuch likhti hoon...


Subhan dam julf na yeh bekhraoo,
Log dokha kha rahe hi sham ka


waah arvind,

sham ko leke kuch koshish karti hoon...

main dekhti hoon use har soo
paati hoon use har jagah

din ke ujaale mein, raat ke andhere mein
sham kee tanhaayii mein, po phate kee laali mein
:cool:

talib 21st December 2003 01:35 PM

ahl-e-sukhan ko adaab,

Maazrat ka talabgaar hoon iss wajah se ke qafi dino tak kisi kism se bhi iss bazm mein shirkat nahi kar paaya tha. Hamari ba-izzat dost parastaar G ki taraf se dawat to zaroor aayee thi lekin..masroofiyat ki zanjeeroN ko toDna mushkil hota hai. Issee liye mein "PARASTAAR" G se khaaas kar maufi mangna chahta hoon... aur na jane kyon "SHIMUL" G iss bazm mein nazar nahi aa rahi....ummeed hai unko iss bazm ke aagaaz ka ilm zaroor hoga..
yeh kuch jumlaat aap ki pesh-e-khidmat hai...aapki nazar-e-inaaayat se mamnoon.



kal milenge hum yeh soch ke mein so nahi paaya.
ek pal ko bhi palkoN ka milan ho nahi paaya.

dil mein zehen mein phool hai sare khushi ke bass,
kyun jaan lutaoon usspe ke jo nahi paaya.

kehta hai saqi "talib, sab khairiyat to hai?"
kal raat bazm-e-ranj mein tumko nai paaya.

arvindsony 21st December 2003 05:21 PM

hi
 
hi sakhi ji.
yaar kedhar busy ho aajkal..kya sare ke sare packing bahi karne hi kya..aap ka wait kar kar ke hum to pagal ho gaye hi....anyayz bye and god bless u
arvind

arvindsony 21st December 2003 05:29 PM

hi
 
hii talib ji..
kafee aacha laga aap ke post padh kar....nice one
kuch hamre or se...wrtter:- khusro

suknay-din nahi jis waqt se is bazm me aaye,
jara se cheez ghabrahat mei kya jane kaha rakh dehi

;-)

ghayalparwana 21st December 2003 05:52 PM

Dil se behtar na koyi cheez paayi maine..
lo aaj ye bhi tumhaare naam kar diya
Log kehte rahe yunhi muhje Nikamma
Dekho 'Ghayal' ne aisa kaam kar diya
Ke ghamo ke zalzale me jaakar usne..
Ghame zindagi se jang e ilaan kar diya:)

Hope my first entry is the right one..but it would be very difficult for me to keep away from emotion called dard..

And Yeah.....whats the score man??

Parastaar 21st December 2003 07:43 PM

scores upto now are 400 for marghati team and 100 for kabristaani team..

Be-nazir Talib, Ghayal bhayyia, papa arvind,

aap logon ka yahan aana bahut achha laga...par janaab humne kuch rules post kiye hain...pls gaur kijiey...aur aainda dhyaan rakhein...yeh paras bibi keh rahi hai...ok...

kuch bandishein hain yahan sher, nagma, ya poem post karne kee…

Maximum length 6 lines (your own or borrowed).


Celebrating zindagi, pyaar, dosti, ma-baap, vagairah vagairah.


No no words, maut, chita, shamshaan, vagairah vagairah.


Must use one of the words from last post, just any.


We will have two teams…1 Marghati 2 Kabristaani
(when you post a sher, if you are not already in a team, Sakhi will assign you a team, and occasionally we will post points as well as team members’ names).


You can give daad to people but must end with an entry of your shayri…to continue…


An absolute must…your shayri must end with a yellow emoticon…


100 points for each correct entry for your team.


-100 points taken off for not following one of the rules.

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash,ghayalparwana,...

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum...





Must use one of the words from last post, just any. Must use one of the words from last post, just any.

Parastaar 21st December 2003 07:57 PM

Dil se behtar na koyi cheez paayi maine..
lo aaj ye bhi tumhaare naam kar diya
Log kehte rahe yunhi muhje Nikamma
Dekho 'Ghayal' ne aisa kaam kar diya
Ke ghamo ke zalzale me jaakar usne..
Ghame zindagi se jang e ilaan kar diya

bahut khoob ghayal bhai,

dard se kaun nahin juda hai...lekin bhayyia hum aapko khushi ke kone mein...kuch pal ke liye laayein hain..

Main "NAAM" lekar kuch likhti hoon

is naam ne hamein pareshaan kiya,
kisi ne 'Sahab', kisi ne 'Amma Yaar' kisi ne 'Parastaar bhai' bulaya

ab kis kis se cheekh cheekh ke kahein ki 'paras' 'puling' nahin
yeh tau bholi si, masoom si, nazuuk si, bus 'istri ling' hai:D

Shimul 22nd December 2003 06:46 AM

Sabko meri Adaab, asha karti hu aap sab thikh honge. Sabka likhha hua achha laga. Shukriya. Take care. God bless you all.
Gazal: Jigar Moradabadi Jee.
Yeh kiska tasabbur hein yeh kiska pasana hein
jo anshk hein khune tasvee ka dana hein.
Ankhomeh namii si hein chup chupse behte hein
nazuk sa fasa hein yeh kisi ka tasabbur hein
yeh ishq nehi asaan itna toh samajh lijiye
ek aag ka dariya hein aur doob ke jaana hein

;-)

Parastaar 22nd December 2003 07:56 AM

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana,...

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum, shimul...


Yeh kiska tasabbur hein yeh kiska pasana hein
jo anshk hein khune tasvee ka dana hein.
Ankhomeh namii si hein chup chupse behte hein
nazuk sa fasa hein yeh kisi ka tasabbur hein
yeh ishq nehi asaan itna toh samajh lijiye
ek aag ka dariya hein aur doob ke jaana hein


Shimul kya baat hai...

mere paas shabd nahin kuch bhi kehne ko...meri aankhein bhi nam hain...aapka post padh ke...aap aayin masroofiyat ke bawajood...yehi bahut hai hamare liye...uspe kuch post bhi kar diya...yeh tau bus samjho ek beshqeematai khazaana aapne de diya hamein...

bus ek baat shayad aapko achhi na lage...bus ab aap hum "MARGHATION" se ghir (crowded) gayi hain...aapki post ke karan...scores are

Marghatis 500 Kabristaanis 100

yahan main guzarish karna chaahoongi sab kabristaaniyon se...plz aap is bazm mein shaamil ho apni team ko bacha lijiey....

.......paras

Parastaar 22nd December 2003 08:06 AM

Quote:

Originally posted by Shimul
Sabko meri Adaab, asha karti hu aap sab thikh honge. Sabka likhha hua achha laga. Shukriya. Take care. God bless you all.
Gazal: Jigar Moradabadi Jee.
Yeh kiska tasabbur hein yeh kiska pasana hein
jo anshk hein khune tasvee ka dana hein.
Ankhomeh namii si hein chup chupse behte hein
nazuk sa fasa hein yeh kisi ka tasabbur hein
yeh ishq nehi asaan itna toh samajh lijiye
ek aag ka dariya hein aur doob ke jaana hein

;-)

Main "ISHQ" ko lekar likh rahi hoon...Faiyaaz Hashmi ka kalaam aur Farida khanoum kee gayi mash-huur gazal hai...'aaj jaane ki zidd na karo' usi mein se....

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kisako Khabar jaane-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko

gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n
husn-e-masuum ko jaane-jaa.N
beKhudii me.n na rusvaa karo


:)

paras

Shimul 22nd December 2003 03:15 PM

Sabko meri Adaab. Hope everyone is well. Nice one Paras Jee.
Ismail Jee: Shukriya. Aur aapka kalam bohot achha laga.
Pehla jo meine Gazal likhhi thi: Singer was Lata Jee.
Shukriya. Take care. God bless you all.
By Galib Jee. Singers: Jagjit, Chitra Singh Jee & Gulzar Jee.

Hai aur bhi duniya meh sukh anwar bohot achhe
kehte hein ke Galib ka hein andaz -e- bayan aur

haar ek baat pe kehte ho tum ke tu keya hein
tumhi kaho yeh andaze guftu gu keya hein

Ragomeh daurte fhirne ke hum nehi kayal
jab ankhen hi se na tapka toh fhir lahu keya hein
:)

sakhi1909 22nd December 2003 04:35 PM

are ye kya ???
ham jara sa soye kya ki kai bade log yahn aa gaye haan .hamaari aankh bhi aaj khuli hai to pata laga ki kai log dastak de gaye is kone mein aake.thanx all of u talib ji,ghayal ji simul ji tahnx a lot.

hey aapa kya baat hai choti ki galtiyion ko yuhi sudhar dena pls okkk

arvind ji mein sachi mein packing mein busy hun but do din se net nahi aaya to mein kya karun haan.
sorry bol rahi hun chalega na.

simul ji ne galib chacha ka bht hi behtreen qalaam pesh kiya hai.mein ismein se duniya ko lekar kuch likh rahi hun.
mujhe writer nahi pata.aapa ko jarur pata honge hai na aapa??

but ye qalaam mujhe bhut jyaadaaaaaaaa pasand hai---

kuch na kuch to jarur hona hai
saamnaa aaj unse hona hai

toodo feko rakho karo kuch bhi
dil hamaara nahi khilona hai


itna darna bhi kya hai duniya se
jo bhi hona hai woh to hona hai


:cool:

sakhiii aap sabse milne ki khwaahish mein.

bye taekcare

Shimul 22nd December 2003 06:00 PM

Sakhi Jee, achha laga. Shukriya. Mehfhil meh sabko meri Adaab.
Hope you all are well. Thanks. Take care. God bless you all.

Aaj lafhj se chuna hein meine ish kalam ko. Shayar pata nehi kaun hein:

Aaj tune who jakhm diya jo kisine kabhi na desaka,
Ek tu hi toh tha jise mein zindegi se bhi jiyada chaha
Tujhe bhulana asaan thorahi hein?

Tu toh meri ruh meh base hein!
Kowshish toh bohot kee hein tujhe bhuljane kee
lekin yeh kabhi hona saka, aur na honewala.


:)

Parastaar 22nd December 2003 07:20 PM

Shimul,

bilkul sahi kaha aapne...meri post 8lines kee thee...so-100 for us Marghatis...400 phir aapki 2 posts aur sakhi ki 1 post se hogaye...

MARGHATIS 700 KABRISTAANIS still sitting at 100

pls...aap kisi kabristaani ko jaanti hain tau pm karke bula lijiey...nahin to interesting nahin ho payega....

aapne mera favorite kalaam likha(wo pehle wala)...aur sakhi tumne bhi...lekin gudiya...mujhe malum nahin kaun shayar hai...tumhaari aapa itni shayrana nahin ...jitna tum sochati ho...

Shimul tell me you wrote the second one...bahut khoob likha hai dost...yeh bazm humne isi tarah ke dukh bhulaane ko shuroo kee...

main BHULANA ko lekar thread aage badaati hoon...

Jinhe hum bhulana chahein wo phir yaad aa gaye hain,
halke se hawa ke jhonke se yeh gesu lehra gaye hain,
kaano mein kuch suna kar lo phir se hansa gaye hain.

hmmnnn kaisa laga...agar meri sandwich artist kee job chali jaaye tau koi ads ke jingle banane kee job tau paras ko offer kar hee dega...kyon...?



;-)

Shimul 22nd December 2003 07:51 PM

Paras Jee, ok. Lekin meine yeh bhi kahi thi ke mujhe behad pasand hein woh Gazal.:) Aur aap meri shayad 3rd post ke baremeh janna chahrahi hein. Because only 3rd one I didn't mentioned the any name of the writer. Mujhe aur nahi pooche toh achha hoga, shukriya aapki tarif ke liye.
Sabko Adaab, hope you all are well. Aur jo abhi mein likhungi woh mujhe nehi pata kisne likhha hein lekin Mukesh Jee ke awaz meh hein, I love it & I hope you will like it. Thanks once again. Take care. God bless you all.

Jinhe hum bhulna chahe woh aksar yaad ate hein
bura ho ish mohabbat ka woh kyu kar yaad ate hein.......

bhulaye kish tarha unko kabhi pee thi un ankho se
chhalak jaate hein jab aansoo woh sagar yaad ate hein.

Rahe aye shamma tu rowshan duwa deta hein parwana
jinhe kishmat meh jaalna hein woh jaalkar yaad ate hein.......
:)

talib 22nd December 2003 09:23 PM

Shimul G aap ka istaqbaal hai...derr aaye durust aaye..qafi acche acche kalaam pesh kiye aapne...issee tarah is kone ko rohsan karte rahiyega...

Doston Shimul G ke likhe kalaam se lafz liya hai "jalkar"..
kuch aapee tukbandi pesh kar rahaa hoon...gaur farmaiye..



jalkar bhi gayee dilse na mere sukhan ki khu,
haathon ko pad gayee hai kalam ki chubhan ki khu.

sukhan=poetry, khu=habit

karta na mein jo thujse mohabbat yunn TuuT kar,
aati tere mijaaz mein na kara-pan ki khu.

Mijaaz=nature/behaviour, kara-pan=rudeness.


kuch iss tarah lagee teri dehleez ki sohbat
jis tarah lage gul ko khaak-e-chaman ki khu.

khaak-e-chaman=soil of garden.

hum par khuda ka fazl hai ke bach gaye warna,
dekhi hai aadmi ko lagi hai jalan ki khu.

Shimul 23rd December 2003 01:05 AM

Ismail Jee, waise toh aapko pata hein mein ish kabil hu hi nehi baas thori si kowshish kee hein. Shukriya. Aapka kalam bohot khub tha, waise bhi achhi hi hoti hein. Mein aapke kalam se Teri lafhj se shuru karti hu. Sabko meri Adaab, hope everyone is well. Take care. God bless you all.:)
Talat Mehmood Jee ke awaz meh hein.

Teri aankh ke ansoo pee jaau aisi meri taqdeer kaha
tere gum meh tujhko behelau aisi meri taqdeer kaha.......

aye kash jo milkar rote kuch dard toh halke hote
bekar na jaate ansoo kuch daag jigar ke dhote

fhir ranjh na hota itna hein tanhai meh jitna
ab jaane yeh rashta gum ka hein aur bhi lamba kitna.......

:)

Arnab 23rd December 2003 12:42 PM

Parastar Ji,
Aaapka invitation milne par mujhe behadh khushi hoi..Aapke mehfil ke naam mere ek gazal hui...Jo maine aaj likha...



Izajat teri aankhoen ka agar yeh kayaamaat hota
Khuda ko tere har nazar se fir mohabbaat hota

Aaftaab se raushan ho kar qya qaamat* pai hai
Tujhe dekh le to woh chaand ki aukaat hota

[ Qaamat=stature]

Woh pattiyaan bhi jannat mein khil jaate agar
Fhuloen ko teri khusboo se taluqaat hota

Mere muhaafiz* mere kaatil nikle to qya hai
Mere zindegi hi mere maut se taiinaat* hota

[ muhaafiz=bodyguard, taiinaat= appointed]

Dil ki hasratein bhi shishoen mein dhal gaya
Koi suraat ban jaata to tujhse mulaqaat hota

Shimul 23rd December 2003 03:10 PM

Arnab Jee, bohot khubsurat laga aapka yeh Gazal:) . Shukriya. But you wrote more then 6 lines so -100 I guess.:( . Please check the rules before you post yours. Mehfhil meh sabko meri Adaab, hope you all are well. Hope you will like it. Shukriya. Take care. God bless you all.

Mein "Koi" lafhj se ek Gazal likhrahi hu jo mujhe behadh pasand hein. Actually one of my best favourites.
Singer is Talat Aziz Jee.

Koi nehi hein fhir bhi awaz arahi hein
shayad meri mohabbat mujhko bularahi hein.......

Mere labo ko ushke andaz milrahe hein
ushke suro ke mere alfaz milrahe hein,
mein geet likhraha hu woh geet gararahi hein
shayad meri mohabbat mujhko bularahi hein.......
:)

Parastaar 23rd December 2003 07:45 PM

Hamare giraami Dost Talib jee kee taraf se mashvara aaya hai ki hamare yeh 6 lines ke rule ko thoda dheela chodna hoga...ki jazzbaton par itni bandish daalna unke bus kee baat nahin...Talib aapki naseehat sar ankhon par janaab...aap khush rahein...hamne aaj se 12 lines ka rule laagu kiya...so ab Arnab jee ko rahat kee saans aayi hogi...ki unki post disqualify nahin huyi...tau lijiey scores hain...

MARGHATIS 800 KABRISTAANIS 200


Talib aap yellow emoticon ;-) bhi bhuul gaye the...so -100 uske liye...yeg rahi hamari teams kee updated list....

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana, arnab..

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum, shimul...

Parastaar 23rd December 2003 07:54 PM

Yeh tau thee hamari housekeeping...ab thread ko aage badaayein...?

Shimul main aapke kalaam se "LAB" lekar kuch pesh kar rahi hoon...Sahir Ludhyanvi sahab ka kalaam hai...

lab pe paabandii nahii.n ehasaas pe paharaa to hai
phir bhii ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahanaa to hai

[paabandii = restriction; paharaa = guard]
[ahavaal-e-bashar = condition of man(kind)]

apanii Gairat bech Daale.n apanaa masalaq chho.D de.n
rah_numaao.n me.n bhii kuchh logo.n ko ye manshaa to hai

[Gairat = self-respect; masalaq = beliefs/opinions]
[rah_numaa = guides(those who show the path)]
[manshaa = intention]

:)

Shimul 23rd December 2003 09:24 PM

Paras Jee, Bohot khub. Aise hi likhte rahiyega. Shukriya. Sabko meri Adaab, hope you are well. Thanks. Take care. God bless you.
Mein "Ye" lafhj se shuru kar rahi hu.
Yeh Gazal singers hein Jagjit & Chitra Singh Jee. Film Saath Saath.

Ye batade mujhe zindegi Pyaar ki rahate humsafar
kish tarha bangaye ajnabi ye batade mujhe zindegi.......
phool kyu saare murjha gaye kish liye bujh gayi Chaandni
yeh batade mujhe zindegi

Kal jo baho meh thi aur nigaho meh thi
ab woh garmi kaha khogayi
na woh andaz hein na woh awaz hein
ab woh narmi kaha khogayi
yeh batade mujhe zindegi.......
:)

Qasid 23rd December 2003 11:42 PM

paras ji humne is thread ke saare sher padhe is qaabil to nahin ki itna aacha kuch likh paaye par mehaz ek koshish hamesha ki tarah pesh-e-qidmat hai....

pichle kalaam se lafz 'kal' ko lekar yeh likha hai...

Kal roya to tha magar aankhein thi nam nahi
logon ne tha yeh samjha humhe koi gam nahi

jitni bhi ranjish woh manzur hai magar
magar yeh phir na kehna ki tere hum nahi...
:)

-mast

Shimul 24th December 2003 12:06 AM

Dear Mast Jee, achha laga. Mein *HUM* lafhj ishtemal kar rahi hu.
Sabko meri Adaab, hope you are well. Take care. God bless you.

Mukesh Jee & Lata Jee.
Hum toh tere Ashiq hein sadiyo purane.......
Chahe tu mane chahe na mane.
Hum bhi zamane se hein tere deewane.......
chahe tu mane chahe na mane.
Ayi hein yu Pyaar pe jawaniya arman dil meh hein
dil mushkeel meh hein jaane tamanna.......
Tere ishi Pyaar ki kahaniya haar mehfhil meh hein
sabke dilmeh hein jaane tamanna.......
chher te hein sab mujhko aapne begane,
Hum to tere Ashiq hein sadiyo purane.......
:)

Parastaar 25th December 2003 03:20 AM

MARGHATIS 1100 KABRISTAANIS 200

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana, arnab, mast...

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum, shimul

Parastaar 25th December 2003 03:46 AM

Kya Baat hai Shimul!

See this is what I have aimed for...to celebrate something...here it is ishq...chand palon ke liye hum dard bhool sakein...yahi koshish hai...

aur mast sahib aapka bhi kalaam behad sundar hai...agli baar hopefully you will come here with some celebration in your shayari...

'Mehfhil' se kuch likhne kee koshish karti hoon....tau lijiey...

Har mehfil mein yeh nigaahein kuch talashtee rahin
chand kee chandni mein...raat ki tanhaayi mein kuch talashtee rahin...

Baat taktii rahin...swapn buntee rahin...prem-agn jalaati rahin...
yeh alhardh kaamnaayein meri mujhe bus yoon tadpaati rahin...


:)

Shimul 25th December 2003 03:59 AM

Paras Jee, Achha laga. Shukriya. Sabko meri taraf se Adaab. And also A Very Happy Christmas. Take care. God bless you all.
Yeh lafhj liya hein meine. Lata Jee & Rafi Jee ke awaz meh.
Film name is Izzat.

Yeh dil tum been kahi lagta nehi hum keya kare
tasabbur meh koi basta nehi hum keya kare
tumhi kehdo ab aye jaane bafa hum keya kare

Lute dil meh deeya jaalta nehi hum keya kare
tumhi kehdo ab aye jaane ada hum keya kare
yeh dil tum been kahi lagta nehi hum keya kare.......:)


All times are GMT +5.5. The time now is 08:24 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.