Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   "Mahfil-e-Ishq" sabke liye khuli bazam (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=61775)

sunita thakur 25th July 2008 10:25 AM

"Mahfil-e-Ishq" sabke liye khuli bazam
 
Dosto ajj hum ek naya silsila shuru karne ja rahe hai.N

jisme app sab ka tahe dil se suwagat hai....:) Title se hi appko andaza ho gaya hoga ki kerna kiya hai phir bhi meiN thoda sa explain kerna chahoNgi...

Kerna sirf itna hai , ki app ne apne chahat bhare ahsaso.N ko ash'aar ke sahare bayan kerna hai, chahat se bharpoor, umda khayalooN ko app apne ash'aar meiN bhi bayan ker sakte haiN aur kisi aur shayar ke ash’aar se bhi, mager ager apna sher na to "NM" ya " Not Mine" ya phir shayar ka naam ager maloom ho to zaroor likhna hai, hum ek saath do sher post nahi kareNge....ek member ke sher ke baad doosra member sher post karega...................... Umeed hai app sab ka bharpoor saath milega :)

sabse phela sher main "Meer Taqi Meer" saheb ka likh rahi hoon.

"ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa"

-Meer Taqi Meer

prashant vasl 25th July 2008 10:39 AM

KISI KE ISHK MEIN HUM NE AJEEB KAAM KIYA
KI KHUD HI KHUD KO MITAANE KA INTZAAM KIYA.

PRASHANT VASL in KASH AISA KABHI HUA HOTA(published'1976)

sunita thakur 25th July 2008 10:53 AM

Quote:

Originally Posted by prashant vasl (Post 298046)
KISI KE ISHK MEIN HUM NE AJEEB KAAM KIYA
KI KHUD HI KHUD KO MITAANE KA INTZAAM KIYA.

PRASHANT VASL in KASH AISA KABHI HUA HOTA(published'1976)

welcome prashnat ji.....:)

"Ibadat rab ki aur soorat yaar ki ho,
sajda rab ka aur rasam pyar ki ho,
ashiqo ke mahzab ka kaya kahna,
zikar rab ka aur baat yaar ki ho"

-NM

mausam 25th July 2008 11:59 AM

Chaliye hum bhi aa gayeN.......:)

Jis simt bhi dekhoun, Nazar aata hain kay tum ho
Ae Jaan-e-jahan,yeh koi tumsa hain kay tum ho

sunita thakur 25th July 2008 12:25 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 298051)
Chaliye hum bhi aa gayeN.......:)

Jis simt bhi dekhoun, Nazar aata hain kay tum ho
Ae Jaan-e-jahan,yeh koi tumsa hain kay tum ho

welcome dear....:)

teri bahho mai aakar sakoon milta hai mujhe,
kaya meri tarah yoon hi bekarar ho tum......

-sunita virender

zamir 25th July 2008 12:56 PM

teri nigahon se aisi sharaab pi main ne
ki phir na hosh ka dawa kiya kabhie main ne
woh aur honge jinhe maut aagyi hogi
nigahe yaar se paayi hai zindagi main ne

NM

zamir 25th July 2008 12:58 PM

mehfil kahe jise hum
teri yaadon ki anjuman hai
hai gul se rishta mera
meri zindagi chaman hai

zamir 25th July 2008 01:01 PM

ruswaiyon se kaise jeete rahe hum ab tak
tanhaiyon mein jo hai teri yaad ka sahara

zamir 25th July 2008 01:05 PM

saahil bhi pareshaan lehron ki dillagi se
tera intezaar humko jeena naya sikhaye

zamir 25th July 2008 01:08 PM

marte the hum bhi jaana
jeene ki khaatir ab tak
tera ishq yeh sikhaye
marne mein kya maza hai

Dhaval 25th July 2008 01:09 PM

ishq hai pyaare khel nahii.n hai
ishq hai kaar-e-shiishaa-o-aahan

[kaar-e-shiishaa-o-aahan=(to) work with stone and glass]

~ jigar moradabadi

mausam 25th July 2008 01:37 PM

Ishq Pagal Kar Gya To Kia Karo Gay Soch lo
Saniha Aisa Hua To Kia Karo Gay Soch Lo

sunita thakur 25th July 2008 03:09 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 298070)
Ishq Pagal Kar Gya To Kia Karo Gay Soch lo
Saniha Aisa Hua To Kia Karo Gay Soch Lo

"dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai "

~Ghalib ~

pooja_d 25th July 2008 04:27 PM

Ishq ne Ghalib nikammaa kiya
Warna hum bhi aadmi kaam ke thhe

by Gaalib jii

sunita thakur 25th July 2008 05:02 PM

"Dhadka hai dil-e-yaar tere zikar se phele,
jab bhi kisi mahfil meiN teri baat chali"

-NM

prasad.kulkarni 26th July 2008 02:04 AM

Koii do mast aanKho.N me.N ham bhi Khogaye the
Woh kyaa zamaana thaa ki aashiq ham bhi hogaye the
Guruur-e-husn unko bhi thaa, shaq-e-sitam woh bhi raKhte the
Hame.N Khushio.N se hochuki thi nafrat, unke gham bhaagaye the

Hello friends! I am new here and those are the line I wrote just for this thread. My Urdu is not very good since I never studied it formally. I listen to Ghazals and try learning Urdu through them. Do let me know if I make mistakes and help me improve my Urdu.

-Prasad
:)

sunita thakur 26th July 2008 09:22 AM

Quote:

Originally Posted by prasad.kulkarni (Post 298131)
Koii do mast aanKho.N me.N ham bhi Khogaye the
Woh kyaa zamaana thaa ki aashiq ham bhi hogaye the
Guruur-e-husn unko bhi thaa, shaq-e-sitam woh bhi raKhte the
Hame.N Khushio.N se hochuki thi nafrat, unke gham bhaagaye the

Hello friends! I am new here and those are the line I wrote just for this thread. My Urdu is not very good since I never studied it formally. I listen to Ghazals and try learning Urdu through them. Do let me know if I make mistakes and help me improve my Urdu.

-Prasad
:)

welcome kulkarni ji.....aapne bahut accha sher likha hai....hume pasand aaya :)

"yoon to rahti hai tasavur mein unki surat,
magar mil jayeN to taskeen si ho jati hai"

_NM

Dhaval 26th July 2008 10:45 AM

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii

[sard=cold; malaal=sorrow]

- Parveen Shakir

sunita thakur 26th July 2008 11:01 AM

"jab tera tasavur chupke se mujhe chu jaye,
mujhe apni har saans se teri hi kushboo aaye"

-NM

mausam 26th July 2008 11:22 AM

berabt ehsaasaath ko tu afsana na bana
apni hikmat se kisi ko deewana na bana

NM

sunita thakur 26th July 2008 11:46 AM

"Hum dil to kaya rooh mein uttar jayeNge,
aap chahoge agar chahne walo.n ki tarah"

-NM

zamir 26th July 2008 02:54 PM

ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani **** khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani **** zara dil se sada laga

zamir 26th July 2008 02:56 PM

ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani ch-od khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani bhool zara dil se sada laga

prasad.kulkarni 26th July 2008 02:56 PM

Quote:

welcome kulkarni ji.....aapne bahut accha sher likha hai....hume pasand aaya :)

"yoon to rahti hai tasavur mein unki surat,
magar mil jayeN to taskeen si ho jati hai"

_NM

Sunita Virender Singh
Shukriyaa Sunitaji.

sunita thakur 26th July 2008 02:59 PM

"gali ke mod par yeh kisne dard bhari lai mein mahiya gaya,
muje kisi se mohabat to nahi magar dil-e-betaab bhar aaya"

-NM

prasad.kulkarni 26th July 2008 03:00 PM

Quote:

Originally Posted by tishna (Post 298156)
ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani ch-od khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani bhool zara dil se sada laga

Bahut achchaa sher hai. Lekin hame.N 'dil se sada laga' ne kaa matlab samajh me.N nahin aayaa. Mai.N Urdu abhi abhi siiKh rahaa huu.N. To aap please mujhe bataa_iye uskaa matlab kyaa hotaa hai.

zamir 26th July 2008 03:27 PM

prasad ji thanks a lot
dard-e-zabaani bhool zara dil se sada laga

sada yaani awaaz
ab yahan dil se sada laga ka matlab hai
jab hum kisi ko pyaar karte hain izhaar karne mein jhijhakte hain darte hain
ki kahin sab khatam na ho jaaye
but agar us ke dil mein bhi kuch ho to hamaari baat ko samjh sakti hai yaa sakta hai

bade bade shayar likhte hain ki agar do log raazi hain but izhaar na hua hai to shuruwaat mein un ke dil ek doosre se izhaar kar lete hain
aur yeh shayad sahi bhi hai jab hamaara dil yaa dimaag kisi cheez ko samajhta hai usi ke baad zabaan se iqraar karta hai ki koi cheez acchi hai kharaab hai

bas yehi express karna chaha hai ki pehle dil se dil ko samjha baad mein zabaan se kehna

hope aap ko ab koi doubts nahi honge

aur haan aap ek baat note kijiye main apni gazal mein (dard) word baar baar use karta hoon but dard ka matlab takleef har baar nahi zyaada tar mere dard ka matlab hota hai ehsaas kyunki dard aur khushi dono ehsaas hi to hain
jaise apni indians maan mein hota hai khushi ke aansu

aap ko ek sher bhi pesh karta hoon ismein bhi doubts hon to pooch len plz

MILA HAI SABR AUR TANHAAIYON KE DAUR
JAHAN KHUSHI KA HAI JASHN WAHAN HAI GAM KITNA

main bhi koi khaas urdu nahi jaanta bas koshish karta hoon
aap bhi kijiye aur ho sake to aap meer taqi meer ke kalaam refer kijiye
is se aap ko tehreer banane mein bahot hi khaas tareeke milenge

zyaada typical urdu aana zaroori nahi hai zaroori hai
lafzon ki dhun ko samajhna aur un ko un ki sahi jagah pe naqsh karna

app aur kuch bhi poochna chahte hain to bila jhijhak pooch sakte hain
aap ka yeh adna dost waqt bewaqt aap ke kuch kaam aa jaaye

prasad.kulkarni 26th July 2008 03:58 PM

Quote:

Originally Posted by tishna (Post 298163)

Aapkaa bahut bahut shukriyaa, dost! Mere ek sawaal ke jawaab keliye aapane waqt nikaalaa aur itani achchi-achchi baate.N bhi ki to mujhe behad Khushii hu_ii. Aapkaa samkhaane kaa tariiqaa bhi mujhe pasand aayaa.

Abhi abhi mai.N ne apani ek Ghazal ko pesh ki "Aapki Shayri" forum me.N. Mujhe aur bhi bahut Khushi hogi agar aap uske baare me.N kuchh liKh de.Nge to. Mujhe taariif kaa shauq zyaadaa nahi.N hai to aapko meri uss naa-qaabil-e-taariif Ghazal ki ko_ii taariif karne ki zaruurat nahi.N hogi. Aap bas meri apani Ghalatiyo.N ko samajh ne me.N meri madat kare.N taaqi mai.N achchaa liKh sakuu.N.

Aapke waqt keliye shukriyaa.

sunita thakur 26th July 2008 05:08 PM

"Barso.n baad ek shakhas dekha mahboob sa,
ab zehan mein to nahi par naam tha bhala sa"

-NM

zamir 26th July 2008 06:36 PM

dil mein jo dard hai
usko bhulaana behtar
gum mein rona kaisa
uski yaadon jaana behtar

Mujeeb 26th July 2008 06:43 PM

Na jhilmila teri ankhieN keh mer na jaaoN
Nigah-e-Qatil ka waar sehan ker na paaoN
Tere Jaado-e-husn ne behkaya hai iskader
darrta hoN keh badnaam tujhe ker na jaaoN
:)

Mujeeb

zamir 27th July 2008 07:01 PM

hum ne dekhi hai in aakhon ki mehakti khushboo
haath se chu ke in rishton ko ilzaam na do
ek ehsaas hai yeh rooh se ise mehsoos karo
pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam na do

(NM)

zainy 27th July 2008 07:19 PM

TUM PER HI KHATAM YE SAARI CHAHAT HOGI,

PHIR NA KISI AUR PER YE INAYAT HOGI,

KUCH IS TARAH SE KARENGE YAAD TUMHE,

NA ZAMANE KO SHIKWA NA TUMHE SHIKAYAT HOGI,...

(nm)

insaf_khan 27th July 2008 07:38 PM

Dear
Appne bhut ache shayri ke ha hamen bhut ache lage plz ase he likhte rahe
our ham parte rahe........

Insaf Khan

insaf_khan 27th July 2008 07:45 PM

Na tha wo apna jise apna bana bathe
Muqadar ka likha tha zakham kaha bathe.

plz Reply

zishan107 28th July 2008 08:12 AM

Hum hai mushtaaq aur woh bezaar
Ya Illahi yeh kyaa maajra hai !

zishan107 28th July 2008 08:15 AM

Darte darte afsaana-e-dil
Aaj unse hamne keh to diya
Yeh yaad nahin ghabraahat mein
Kya yaad raha, kya bhool gaye

NFAK

sunita thakur 28th July 2008 10:47 AM

"tum tanhai mein jab mere dil par dastak dety ho,
soye hue armaano.n ko aake jagga detey ho,
yeh alag baat hai ki mera wajood hai tumse juda,
magar khayaalo.n mein aakar ek kasak si jaga dety ho"

-NM

Mujeeb 29th July 2008 03:43 PM

Yeh jado hai behki umar ka piya're
Sambhal ker zara tu Jiyaa jaa're

Tujhko pyar hai kitna us se Mujeeb
Pehle us se , tu khud ko azmaa're

gajanand_05 29th July 2008 05:15 PM

Nice
 
bheed ka sath dene ki chahat
har kissi ko nahi hoti hai

pyaar ke liye zinda hai jo

unko yeh hasrat nahi hoti hai

kissi ek ke liye hi manzil ban jawo

rab se har pal ibadat yahi hoti hai

sab ko manane ki arzoo rehti nahi

na hi feer aur kissi ki jaroorat hoti hai!!!!
@@@DIL SE@@@@

All times are GMT +5.5. The time now is 02:17 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.