Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Gauhar-e-shayri.com (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=53)
-   -   Ghazal - Ek patThar ko yuuN Khuda karke (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78102)

prasaxena 4th June 2004 11:59 PM

Ghazal - Ek patThar ko yuuN Khuda karke
 
Aziizaan-e-mehfil

Arsa-e-taveel ke baa'd haazir ho raha huuN. Kaam ki masruufiyaat aur chand haalaat ne kuch kehne aur is mehfil meN ziyadah waqt dene ka mauqa hi nahiiN diya. Baharhaal maa'zrat chaahte hue ye halki-phulki si ghazal pesh kar raha huuN.
Apni aaraa se zaruur nawaziyega.
----------------------------------------------
GHAZAL

Ek patThar ko yuuN Khuda karke
Kya milaa aisa tajarba karke

Dard baRhta gaya davaa karke
Lmaha-lamha, zara-zara karke

Ban gayii baddua Khushi wo hi
Jis ko maanga kiye dua karke

ZaKhm khaaye baRe-baRe hamne
Uss sey choti sii ilteja karke

Zindagi aazmaye jii bharke
Hum bhi nikle haiN hosla karke

Raaste meN yaqiiN mila lekin
Wo bhi jaata raha dagha karke

Sirf yaadeN hi humne paayii haiN
Bhool jaane ka faisla karke

Usski raahoN ka ruKh agar karna
ZaKhm khaane ka hosla karke

Yaad rakhna bhalaii auroN ki
Bhuul jaana magar bahala karke

Khaaksaar
Praveen Saxena

maikasH 30th October 2014 06:08 PM

Praveen saahab, aadaab aur namaste


voh pehle dinoN ki yaad aa gayi aapki yeh khoobsuurat Ghazal paDh kar


tam'aam ash'aar behadd pasaNd aaye


daad "Tikaa" lijiye mohtaram


rab raakha
maikash

sunita thakur 31st October 2014 12:03 AM

Quote:

Originally Posted by prasaxena (Post 470837)
Aziizaan-e-mehfil

Arsa-e-taveel ke baa'd haazir ho raha huuN. Kaam ki masruufiyaat aur chand haalaat ne kuch kehne aur is mehfil meN ziyadah waqt dene ka mauqa hi nahiiN diya. Baharhaal maa'zrat chaahte hue ye halki-phulki si ghazal pesh kar raha huuN.
Apni aaraa se zaruur nawaziyega.
----------------------------------------------
GHAZAL

Ek patThar ko yuuN Khuda karke
Kya milaa aisa tajarba karke

Dard baRhta gaya davaa karke
Lmaha-lamha, zara-zara karke

Ban gayii baddua Khushi wo hi
Jis ko maanga kiye dua karke

ZaKhm khaaye baRe-baRe hamne
Uss sey choti sii ilteja karke

Zindagi aazmaye jii bharke
Hum bhi nikle haiN hosla karke

Raaste meN yaqiiN mila lekin
Wo bhi jaata raha dagha karke

Sirf yaadeN hi humne paayii haiN
Bhool jaane ka faisla karke

Usski raahoN ka ruKh agar karna
ZaKhm khaane ka hosla karke

Yaad rakhna bhalaii auroN ki
Bhuul jaana magar bahala karke

Khaaksaar
Praveen Saxena

Praveen ji namaskaar
muje hairaani ho rhi hai yeh dekh kar ki etni umda gazal par etne saaloN tak kisi ki nazar hi nahi gye, bahut hi kamaal ka likha hai aapne, dilli mubarakbaad kabool kijiye.

Shukriya Maikash ji, aapki vajha se aaj ham es poetry ko pad paaye hai.
:)

akant 6th November 2014 07:05 PM

Dear Praveen ji,

Bahut khub likha hai aapne.. padh ke bada hi sukun mila..aise likhate rahein..

Akant...

Qasid 7th November 2014 08:23 PM

Quote:

Originally Posted by prasaxena (Post 470837)
Aziizaan-e-mehfil

Arsa-e-taveel ke baa'd haazir ho raha huuN. Kaam ki masruufiyaat aur chand haalaat ne kuch kehne aur is mehfil meN ziyadah waqt dene ka mauqa hi nahiiN diya. Baharhaal maa'zrat chaahte hue ye halki-phulki si ghazal pesh kar raha huuN.
Apni aaraa se zaruur nawaziyega.
----------------------------------------------
GHAZAL

Ek patThar ko yuuN Khuda karke
Kya milaa aisa tajarba karke

Dard baRhta gaya davaa karke
Lmaha-lamha, zara-zara karke

Ban gayii baddua Khushi wo hi
Jis ko maanga kiye dua karke

ZaKhm khaaye baRe-baRe hamne
Uss sey choti sii ilteja karke

Zindagi aazmaye jii bharke
Hum bhi nikle haiN hosla karke

Raaste meN yaqiiN mila lekin
Wo bhi jaata raha dagha karke

Sirf yaadeN hi humne paayii haiN
Bhool jaane ka faisla karke

Usski raahoN ka ruKh agar karna
ZaKhm khaane ka hosla karke

Yaad rakhna bhalaii auroN ki
Bhuul jaana magar bahala karke

Khaaksaar
Praveen Saxena

Behad khoob Praveen bhai aapki is rachnaa ne to jaan hi nikaal liye, har ek sher umdaa raha

nacheez ki daad qubool farmaayein

YunHi is bazm ko roshan karte rahiYeGaa..


All times are GMT +5.5. The time now is 01:11 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.