Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Ghazal: ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN...! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75439)

Dhaval 11th January 2013 11:35 PM

Ghazal: ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN...!
 
Mere Pyaare dostoN:

Namaskaar aur Aadaab !!

maiN haaZir huuN bazm meiN apnii aik taazaah Ghazal ko lekar... Ghazal meiN pehlii baar maiN apnaa aik alag hi taKhallus istemaal karne jaa rahaa huuN... "JOSH".. naye taKhallus ke saath yeh merii pehli Ghazal haii to mujhe baDii KhuShii bhee ho rahiiN haii... ees ke liye maiN tah-e-dil se "maikasH" bhaiyaa ka ShukraGuzaar huuN... mere liye KhuShkismatee kee baat hai kee "JOSH" taKhallus unhone diyaa !! warnaah maiN to soch meiN hi thaa :) ... maikasH bhaiyaa aapko pareShaaN kartaa rehtaa huuN mwaafi :) merii pehli Ghazal naye taKhallus ke saath aapke naam !! koShiSh karuungaa aage aur bhee mehnat karuuN... dostoN ummid kartaa huuN aapka jo pyaar aur saath milaa hai aage bhee yuuNhi miltaa rahengaa... aur aapko merii yeh Ghazal pasaNd aayegee.. mulA'iizaa farmaa'iiyeN...!

**************************************
beh'r hai:2212 / 2212 / 2212 / 2212
**************************************

ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN
jiss ke liye thee KhwaahiSheN wo lauT ke aayee nahiiN

Ye pyaar kyaa haii cheez ees meiN bhalaa kyaa baat haii?
maiN faasalaa raKhtaa huN ke ees sey mi’ree yaaree nahiiN

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

maiN huuN safar wo jiss meiN saaye bhee nahiiN aate naZar
Khud humsafar huuN Khud hi kaa meraa ko’ee saathee nahiiN

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN

**************************************

Abrarsworld 12th January 2013 02:27 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 446563)

Aadab Dhaval Bhai,

Kaise haiN Aap? Aap ko padhna hamesha hi accha lagta hai... Naya taKhallus mubarak ho... Neeche ke chand ashaar dil ke kareeb rahe...

Dili daad kubool kare...

Duaon ke saath Ijazat,

Abrar.

Neetu Bala 12th January 2013 07:01 AM

bahot acche khayaal

khoobsurat ghazal
.................................................. ........

sameer'shaad' 12th January 2013 01:07 PM

waahhh dhaval bhai... chaa gaye... kamaal kii ghazal lekar aaye hain aap is baar....

is sher ki jitni tareef ki jaae wo kam hai... bahot acchi koshish ke liye daad haazir hai bhai.... likhte raho... khush raho...

Shaad...

maikasH 12th January 2013 06:52 PM

Dhaval miyaaN namaste

bhai kamaal ki Ghazal hui hai, bohat hi khoob, Sameer bhai ki baat se maiN bhi sehmat huuN "chaa gaye" :)

ustaad ho gaye ho miyaaN ;) Ghazal par dilii mubarakbaad haazir hai aur taKhallus ka credit mujhe nahiiN jaata, aapki mohabbat hai jo aisa samajhte haiN

ek aalaa Ghazal mujh nachiiz ke naam karne aur aapke khuloos ka iNtehaayi shukurguzaar alag se huuN

aapki agli Ghazal ka besabr'ii se iNtezaar rahega

Jai Shree Krishna
maikash

sunita thakur 12th January 2013 09:42 PM

Josh ji namaskaar :)

aapki tazza tareeN gazal padi behad acchi lagi...vakai bahut JOSH meiN likhi hai tabhi to gazal ka har sher aik se badkar aik hai...dil se mubarakbaad hazir hai kabool karo ji....par mere chottu ko kahiN kho mat dena...muje apna chottu bahut aziz hai...JOSH ka suwagat hai dil se :)

god bless u

kshitiz 13th January 2013 12:00 PM

Jite rahiye dhaval bhai ..

Nihaytii khoohsoorat ghazal kahi aapne .. maza aa gaya parh ke ...

kucu ashaar to ghazab ka andaaz samete hue the

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN
Kya kahne ..naye josh aur naye andaaz ko humara sallaam..

inshaallah aur achha likhiye
Bahut achhe kallam par daad humaari jaanib se bhi qubool farmaaeiN

Apna khyaal rakhiye
Khush rahiye

Manshaa Thaakur 13th January 2013 01:13 PM

laajawaab ghazal ............................................... :)

Dhaval 17th January 2013 06:35 PM

Quote:

Originally Posted by Abrarsworld (Post 446567)
Aadab Dhaval Bhai,

Kaise haiN Aap? Aap ko padhna hamesha hi accha lagta hai... Naya taKhallus mubarak ho... Neeche ke chand ashaar dil ke kareeb rahe...

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN
Dili daad kubool kare...

Duaon ke saath Ijazat,

Abrar.

Abraar bhaii:

namaste!

aapki daad sar'aaNKhoN par mere bhaii... yuuNhi saath dete rahiye aage bhee

khuSh rahiye...apnaa khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 06:39 PM

Quote:

Originally Posted by Neetu Bala (Post 446576)
bahot acche khayaal

khoobsurat ghazal
.................................................. ........

Neetu jee;

namaste!

ShuKriyaah Ghazal ko pasaNd karne ke liye

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKhen

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 07:04 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 446598)
waahhh dhaval bhai... chaa gaye... kamaal kii ghazal lekar aaye hain aap is baar....

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

is sher ki jitni tareef ki jaae wo kam hai... bahot acchi koshish ke liye daad haazir hai bhai.... likhte raho... khush raho...

Shaad...

Shaad bhaii:

namaste!

aap sab kaa saath miltaa hai khushii hotee hai.... aage bhee saath dete rahiyengaa.. KhuSh rahiye,,,, apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 09:45 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 446624)
Dhaval miyaaN namaste

bhai kamaal ki Ghazal hui hai, bohat hi khoob, Sameer bhai ki baat se maiN bhi sehmat huuN "chaa gaye" :)

ustaad ho gaye ho miyaaN ;) Ghazal par dilii mubarakbaad haazir hai aur taKhallus ka credit mujhe nahiiN jaata, aapki mohabbat hai jo aisa samajhte haiN

ek aalaa Ghazal mujh nachiiz ke naam karne aur aapke khuloos ka iNtehaayi shukurguzaar alag se huuN

aapki agli Ghazal ka besabr'ii se iNtezaar rahega

Jai Shree Krishna
maikash

maikasH bhaiyaa:

Pranaam... SSA

Ghazal ki pasaNdagee ke liiye maiN aapka tah-e-dil se ShuKraGuzaar huuN... aur taKhallus ke liye bhee :) merii aapse yahee darKhaast haii ki aap yuuNhi saath raheN... aage aur bhee mehnat zaaree rahegee merii... apnaa khayaal raKheN... KhuSh raheN

Jai shree kriShnaa..!

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 09:48 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 446637)
Josh ji namaskaar :)

aapki tazza tareeN gazal padi behad acchi lagi...vakai bahut JOSH meiN likhi hai tabhi to gazal ka har sher aik se badkar aik hai...dil se mubarakbaad hazir hai kabool karo ji....par mere chottu ko kahiN kho mat dena...muje apna chottu bahut aziz hai...JOSH ka suwagat hai dil se :)

god bless u

sister:

Pranaam

ab aap JOSH JI keh kar merii KhiNchaaii kar raheN haii... taKhallus nayaa hai maiN to wahii ka wahii huuN pooraanaa :D aur mujhe to dil meiN jaGah milii hai to Kho jaane ka Dar kaisaa ?? aapkaa aaShirwad saath raheN hameShaa yahee chaahataa huuN... Ghazal pasaNd aayii aapko jaan kar bahot hi KhuShii huii mujhe

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 09:52 PM

Quote:

Originally Posted by kshitiz (Post 446663)
Jite rahiye dhaval bhai ..

Nihaytii khoohsoorat ghazal kahi aapne .. maza aa gaya parh ke ...

kucu ashaar to ghazab ka andaaz samete hue the

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN
Kya kahne ..naye josh aur naye andaaz ko humara sallaam..

inshaallah aur achha likhiye
Bahut achhe kallam par daad humaari jaanib se bhi qubool farmaaeiN

Apna khyaal rakhiye
Khush rahiye

Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN

Kshitiz Bhaa'ii:

namaste!

Ghazal ke baare meiN aapse bahot kuChh seeKhne ko milaa... aapne jo baat seeKhaaii wo dil ko Chhu gayii aur ek dam saheeh baat kahii thee aapne... maiN koShiSh karuungaa aage aur bhee behtar tareeQe se liKh sakuuN... aap aise hi saath dete rahiyengaa ees safar meiN... aapki daad dil se QabUl haii !

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 17th January 2013 09:53 PM

Quote:

Originally Posted by Manshaa Thaakur (Post 446669)
laajawaab ghazal ............................................... :)

manshaa jee:

namaste!

Shukriyaah aapne apnaa Qeemtee waQt merii Ghazal ko diyaa... paDhte raheN aage bhee

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

zainy 17th January 2013 11:34 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 446563)
Mere Pyaare dostoN:

Namaskaar aur Aadaab !!

maiN haaZir huuN bazm meiN apnii aik taazaah Ghazal ko lekar... Ghazal meiN pehlii baar maiN apnaa aik alag hi taKhallus istemaal karne jaa rahaa huuN... "JOSH".. naye taKhallus ke saath yeh merii pehli Ghazal haii to mujhe baDii KhuShii bhee ho rahiiN haii... ees ke liye maiN tah-e-dil se "maikasH" bhaiyaa ka ShukraGuzaar huuN... mere liye KhuShkismatee kee baat hai kee "JOSH" taKhallus unhone diyaa !! warnaah maiN to soch meiN hi thaa :) ... maikasH bhaiyaa aapko pareShaaN kartaa rehtaa huuN mwaafi :) merii pehli Ghazal naye taKhallus ke saath aapke naam !! koShiSh karuungaa aage aur bhee mehnat karuuN... dostoN ummid kartaa huuN aapka jo pyaar aur saath milaa hai aage bhee yuuNhi miltaa rahengaa... aur aapko merii yeh Ghazal pasaNd aayegee.. mulA'iizaa farmaa'iiyeN...!

**************************************
beh'r hai:2212 / 2212 / 2212 / 2212
**************************************

ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN
jiss ke liye thee KhwaahiSheN wo lauT ke aayee nahiiN

Ye pyaar kyaa haii cheez ees meiN bhalaa kyaa baat haii?
maiN faasalaa raKhtaa huN ke ees sey mi’ree yaaree nahiiN

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

maiN huuN safar wo jiss meiN saaye bhee nahiiN aate naZar
Khud humsafar huuN Khud hi kaa meraa ko’ee saathee nahiiN

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN

**************************************

Bohat khoob dhaval bhai....sabhi ashaar lajawaab hain...

Naya takhallus mubarak ho.....:)

akant 18th January 2013 02:28 PM

Badhayi
 
Dear dhaval,

aaj aapki es ghazal ko padhaker bahut hi khushi huyi.. beshak ek achchhe shayr ke gun aap mein aa gaye hain. aapne jo baate likhi apani sher ke madhyam se bahut hi kabile tarif hain. her ek sher apane aap mein lajvaab hai. kis kis sher ki tarif karu aur kis ko chhodu... so badhayi aapke 'josh' ke liye..

shubhkamnao sahit
apaka
Akant...

Dhaval 6th February 2013 06:07 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 446968)
Bohat khoob dhaval bhai....sabhi ashaar lajawaab hain...

Naya takhallus mubarak ho.....:)

zainy behnaa:

:) namaste!

ShuKriyaah aapko merii Ghazal pasaNd aayiiN... saath dete rahiye aage aur bhee mehnat zaaree rahengii

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval 6th February 2013 06:10 PM

Quote:

Originally Posted by akant (Post 446987)
Dear dhaval,

aaj aapki es ghazal ko padhaker bahut hi khushi huyi.. beshak ek achchhe shayr ke gun aap mein aa gaye hain. aapne jo baate likhi apani sher ke madhyam se bahut hi kabile tarif hain. her ek sher apane aap mein lajvaab hai. kis kis sher ki tarif karu aur kis ko chhodu... so badhayi aapke 'josh' ke liye..

shubhkamnao sahit
apaka
Akant...

Akant Bhaiya;

Pranaam

aapkaa merii Ghazal par aanaa mere liye bahot hi KhuShii kee baat haii... mujhe aaj bhee yaad hai ki jab maiN nayaa nayaa thaa ees pariwaar meiN tab aapka ek PM aayaa thaa .. jiss mein kis tarah liKheN usski jaankaaree thee.. kyuuNki uss waQt mujhe kuChh bhee ilm nahiiN thaa... Shayri lafz kyaa hotaa hai wo maiN jaantaa nahiiN thaa.. aapko merii Ghazal pasaNd aayiiN bahot achChhaa lagaa... saath dete rahiyengaa aage bhee

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

koi to ho 21st November 2014 11:42 PM

ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN
jiss ke liye thee KhwaahiSheN wo lauT ke aayee nahiiN

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

very nice chotu bohat improvement agaye hai ab to :) ye ashaar bht ache lage khush raho yunhi likhte raho :)

Dhaval 24th November 2014 08:54 PM

Maani didi

Salaam

Aapko meri koshish par dekh kar bahot hi khushi huii....baa yuunhi aage bhee padhte rahiyega

Khush rahiye....apnaa khayaal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval

koi to ho 11th December 2014 09:52 PM

walaikum chotu khush raho aur yunhi likhte raho :)

rajveeer 12th December 2014 01:05 PM

Wah re mere chhotu kyaa addaa hai kyaa byaanii hai..tum to ustaad ho gye ho bhai...sach much chhaa gye ho...bhut der se reply kar raha hoo.n so muaaf kar dena lakin bhut behtreen...Raj..

Dhaval 19th December 2014 11:11 PM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 472890)
Wah re mere chhotu kyaa addaa hai kyaa byaanii hai..tum to ustaad ho gye ho bhai...sach much chhaa gye ho...bhut der se reply kar raha hoo.n so muaaf kar dena lakin bhut behtreen...Raj..

Big B

Pranaam

Aapko meri koshish par dekh kar hamesha hi khushi hoti haii..bas saath dete rahiye aage bhi

Aapka

Chhotu

All times are GMT +5.5. The time now is 12:55 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.