Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Chalo aaj fir unhe yaad kartein hain........ (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=72100)

Fathomless 21st December 2010 04:38 PM

Chalo aaj fir unhe yaad kartein hain........
 


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n




zidd 21st December 2010 04:51 PM

bade dino baad shirkat ki hai shan sahab.....
aur aaye bhi to dhamake se.

aapki ghazal bahut pasand aayi...
khas taur ye sher

Kismat ko ji kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,


bahut sahi farmaya aapne.....aisi ki taisi....

meri taraf se daad kabool kijiye sahab.

regards
( yaad dilaane ke liye chocboy)

zainy 21st December 2010 05:28 PM

Quote:

Originally Posted by Fathomless (Post 418691)


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n




Good to c u back after a long time Shan sahab...

Bohat hi khoobsurat ghazal hai...ehsaas dil ko chu gaye...yuhi hi likhte rahiye...


naresh_mehra110 21st December 2010 08:16 PM

Arse baad aapko Padh raha hoon .... Shan Ji !
Woh bhi iss qadar umdaa kalaam ke saath ... !
waapsi mubaaraq ... !

Tahe dil se daad hazir hai ... qubuul farmaayeN ... !

aise hi aate rahe aur likhte rahen aage bhi ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !

ISHK EK IBADAT 23rd December 2010 11:25 AM

Quote:

Originally Posted by Fathomless (Post 418691)


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n





bahut khoob bhai...daad kubul karen
aate rahen mehfil ko roshan karte rahen
duaon ke saath

sunita thakur 23rd December 2010 11:49 AM

Quote:

Originally Posted by Fathomless (Post 418691)


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n







Shaan.....bahut accha laga arse baad tumhe bazm mein haziri lagwate dekh kar, bahut khoobsurti se aapne apne ahsaas pesh kiye haiN, yoon hi aate rahiye aur bazm ki ronak badate rahiye.

duaoN ke saath
diii

Radhika_2 23rd December 2010 12:22 PM

Quote:

Originally Posted by Fathomless (Post 418691)


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n





ji bhaut sunder..............................:)

sameer'shaad' 23rd December 2010 01:30 PM

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

ummdaah soch mere bhai.. wese to sara kalaam hi masha-allah hai lekin is sher ke to kya kahne... tahe dil se daad peshe khidmat hai.. kubool farmaaen.aapka bhai

shaad...

Fathomless 10th August 2014 04:09 PM

@Nazneen.... :rolleyes:

aapko abhi tak nahi pata tha ...:p

@everyone else
bahot bahot shukriya aap sabhi ka.....

Diggaj 10th August 2014 04:53 PM

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n


Behad Khoobsurat dost.... na jane kyu tumhare qalam ko padhkar ek gaana zehan mein aa gaya..

"Chalo ek bar phir se, ajnabee ban jaye ham dono..

Tumhe bhee koyee uljhan rokatee hai peshkadmee se
Mujhe bhee log kehte hain, kee yeh jalve paraye hain
Mere hamrah bhee rusvaiya hain mere majhee kee - (2)
Tumhare sath bhee gujaree huyee rato ke saye hain
Chalo ek bar phir se...."

Daad hazir hai

aru 11th August 2014 12:26 PM

shaan bhai....bahut hee sundar kalaam....umda soch.....daad kubul karein...

Fathomless 12th August 2014 08:46 AM

Quote:

Originally Posted by Diggaj (Post 464967)
Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n

Behad Khoobsurat dost.... na jane kyu tumhare qalam ko padhkar ek gaana zehan mein aa gaya..

"Chalo ek bar phir se, ajnabee ban jaye ham dono..

Tumhe bhee koyee uljhan rokatee hai peshkadmee se
Mujhe bhee log kehte hain, kee yeh jalve paraye hain
Mere hamrah bhee rusvaiya hain mere majhee kee - (2)
Tumhare sath bhee gujaree huyee rato ke saye hain
Chalo ek bar phir se...."

Daad hazir hai

bahot bahot sukriya.......................... :)

Fathomless 12th August 2014 08:47 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 465014)
shaan bhai....bahut hee sundar kalaam....umda soch.....daad kubul karein...

bahot bahot shukriya Aru ji.......... :)

Praneeta 12th August 2014 12:25 PM

Quote:

Originally Posted by Fathomless (Post 418691)


Socha, ki chalo Aaj unhe yaad kartein hai.n,
phir aaj apna ye dil behaal kartein hai.n,

Kismat ko jo kubool nahi.n marasim to kya,
chalo aaj kismat se hi do-chaar kartein hai.n,

Unhe to muddat hui, ab kya woh yaad karenge,
Aaj khwabo.n mein hi unse mulakaat kartein hai.n,

Juda hokar bhi kis kadar muntazir hai ye dil,
baya.n ye raaz chalo sar-e-aam kartein hai.n,

Mehfooz rahein woh har ranjh-o-gham se,
Dil se bas yahi Dua Subh-o-shaam kartein hai.n




bahot khub shan...
khatm karo ye yaadon mein milna
kyun na mulakaat saar-e-aam karte hain ;):)


All times are GMT +5.5. The time now is 09:32 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.