Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   Tasweer pe Tahreer - September 2015 (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79355)

Madhu 14 1st September 2015 01:53 PM

Tasweer pe Tahreer - September 2015
 
adaab doston...
mujhe pata hai aap sab besabri se is mahine yani september ki tasweer ka intzaar kar rahe honge ...zara sa sabra rakhein..kalam ko thame rakhein...jaisa ki aap samajh gaye honge tpt main yani ki aapki madhu conduct kar rahi hai...to rules yaad dilana bhi mera pahla kaam hai.....:)...jo ki bilkul vahi hai jo july tpt me the......

pahli aur behad zaroori baat jo aapko yaad rakhni hai...

1) aapke khayaalaat tasweer se milte hon, dhyaan rakhiye khayaal tasweer ke jitne nazdeeq honge, kalaam utnaa hi sabko attract karegaa....

2) Kalaam khud kaa likhaa huaa ho.. ham maazrat ke saath kahnaa chahenge ke kisii aur ka likha hua kalaam hame na bhejen, warna use is muqaable me shaamil na kiyaa jaaegaa.... as per the rules of TPT.

3) aapkaa kalaam kisii aur website, Facebook ya personally kisii ko bhii share naa karen, jo aap TPT me dene waale hain... aapke kalaam me takhallus ya shaayar ka naam bhi shaamil na kijiyegaa...

4) ek member ek hi post hame bhej sakta hai...... agar us kalaam me kuch mistakes ho gayee hon to wo sudhaarii jaa saktee hain...par kalaam change nahi kiya ja sakega...

5) isme Behar ki koi bandish nahii rakhii jaa rahii hai so that any one can take part.. lekin jo behar me likhnaa jaante hain wo iska istemaal kar sakte hain....

ek akhiri aur sabse important baat...

6)apne kalam aap sirf aur sirf mujhe pm karenge yani madhu ko...
ji haan pm ke zariye bheji gayi entries ko hee qubool kiya jayega..dhyaan rakhein...aapka koi sawaal koi confusion ho to kisi aur se share na karein...mujhe pm karke pooch sakte hain...
taki voting procedure fair ho...ummeed karti hoon aap sab ko sabhi points clear honge...

to doston ye kuch batein aapke liye thi...jo shaad sahab ne july tpt me bhi kahi thi....
ab kuch batein..aapki jankari ke liye jo mujhe yaad rakhni hain...:)

a)tpt me main apna kalaam nahi bhej sakti..
b)na hee vote kar sakti hoon..

to der kis baat ki..tasweer hazir hai...use dekhiye mahsoos kijiye...aur fir dil me jo aaye likh kar mujhe bhej dein..

Last point, submission ka aakhri din hoga 16th September
.

http://i.imgur.com/ez4YDSF.jpg?1

to fir jaldi jaldi likhna shuru kijiye...mujhe apki tahreer ka besabri se intzaar rahega..
all d best.....:)

sunita thakur 1st September 2015 02:52 PM

Best of Luck
 
ahhhaaa "Chalo dildaar chalo, chaand ke paar chalo" kya khoobsurat tasveer di hai Madhu Bala....hame tasveer bahut acchi lagi :) TPT meiN gazal likhne wale sabhi dosto ko shub-kaamnaye.

:)

sameer'shaad' 1st September 2015 06:10 PM

bahut khushi huii aaj aapko is silsile ka aaghaz karta huaa dekh kar....

kahna chahungaa ke masha allaah bahut hi khoob, laajwaab pic share kii hai aapne.....

I would like to wish you luck so that aap is silsile ko aage badhaane me kaamyaab ho saken........ aur kahne ki zaruurat nahii k as an individual i will be always standing beside you................. :)

sabhii doston se merii appeal hai ke wo is pic ke uupar api tahreeer zaroor pesh karen aur isme hissaa len....

Well wishes to the Organizer and the participants........

Shaad.....

masti 1st September 2015 07:01 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 485932)
adaab doston...
mujhe pata hai aap sab besabri se is mahine yani september ki tasweer ka intzaar kar rahe honge ...zara sa sabra rakhein..kalam ko thame rakhein...jaisa ki aap samajh gaye honge tpt main yani ki aapki madhu conduct kar rahi hai...to rules yaad dilana bhi mera pahla kaam hai.....:)...jo ki bilkul vahi hai jo july tpt me the......

pahli aur behad zaroori baat jo aapko yaad rakhni hai...

1) aapke khayaalaat tasweer se milte hon, dhyaan rakhiye khayaal tasweer ke jitne nazdeeq honge, kalaam utnaa hi sabko attract karegaa....

2) Kalaam khud kaa likhaa huaa ho.. ham maazrat ke saath kahnaa chahenge ke kisii aur ka likha hua kalaam hame na bhejen, warna use is muqaable me shaamil na kiyaa jaaegaa.... as per the rules of TPT.

3) aapkaa kalaam kisii aur website, Facebook ya personally kisii ko bhii share naa karen, jo aap TPT me dene waale hain... aapke kalaam me takhallus ya shaayar ka naam bhi shaamil na kijiyegaa...
aur agar lady shaayraa hain to bajaay aise lafz "aatii hoon" ke "aate hain" shaamil kijiye jisse kisii bhi soorate haal me shaayr/ shaayraa ki identity leak na ho...... koshish karen ke pahle likha hua kalaam na bhejen....

4) ek member ek hi post hame bhej sakta hai...... agar us kalaam me kuch mistakes ho gayee hon to wo sudhaarii jaa saktee hain...par kalaam change nahi kiya ja sakega...

5) isme Behar ki koi bandish nahii rakhii jaa rahii hai so that any one can take part.. lekin jo behar me likhnaa jaante hain wo iska istemaal kar sakte hain....

ek akhiri aur sabse important baat...

6)apne kalam aap sirf aur sirf mujhe pm karenge yani madhu ko...
ji haan pm ke zariye bheji gayi entries ko hee qubool kiya jayega..dhyaan rakhein...aapka koi sawaal koi confusion ho to kisi aur se share na karein...mujhe pm karke pooch sakte hain...
taki voting procedure fair ho...ummeed karti hoon aap sab ko sabhi points clear honge...

to doston ye kuch batein aapke liye thi...jo shaad sahab ne july tpt me bhi kahi thi....
ab kuch batein..aapki jankari ke liye jo mujhe yaad rakhni hain...:)

a)tpt me main apna kalaam nahi bhej sakti..
b)na hee vote kar sakti hoon..

to der kis baat ki..tasweer hazir hai...use dekhiye mahsoos kijiye...aur fir dil me jo aaye likh kar mujhe bhej dein..

Last point, submission ka aakhri din hoga 16th September
.

http://i.imgur.com/ez4YDSF.jpg?1

to fir jaldi jaldi likhna shuru kijiye...mujhe apki tahreer ka besabri se intzaar rahega..
all d best.....:)

Dear Madhu

Bohut kubsoorat tasveer pesh ki hai aapne jiske liye aapko bohut bohut mubaarak.

maine ek above point ko highlight kiya hai..................

jisse main ittefaaq nahi rakhti hun. iske kuch kaaran hain..........

1. koi bhi ladka ladki ban kar likh sakta hai aur ladki ladke ki tarah feel kar sakti hai yahi to shaayar ki khaasiyat hoti hai ki woh jiske bhaav feel karta hai usi ke baare mein likhta hai. (this point takes away the freedom of expression)

2. kisi identity reveal hone ka point par bhi main aapko ye kehna chahoongi ki jab hum kisi ko padh chuke hote hain to hum bohut hadd tak andaaza lagaa sakte hain ki kisne likha hai? magar ye basis nahi hota vote karne ka agar hum aisa sochein ki log ladka ya ladki dekh kar vote karte hain to kahin na kahin hum unki prudence par sawaal uthaa rahe hain.

Aur agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.

3. Teesri baat jisne cheating karni hai aur apni identity reveal karni hi hai to uske paas bohut se aur tareeke hote hain jaise ki whatsapp facebook pm etc. to agar humne apne members par bharosa kiya hai ki wo deserving ko hi vote karenge to poori tarah se karein.

Ek baat aur kehna chahungi ki tasveer koi bhi ho "Gender Specific" hoti bhi hai aur nahi bhi. it is the way somebody reads it and I think that is the beauty of an artist how he reads it.

Meri koi baat buri lagi ho to mujhe muaaf karna magar aadat se majboor huun dil mein nahi rakhti....................:)

Hassan 1st September 2015 08:27 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 485945)

I agreed. I endorsed the justification provided by Sarika baji.

Please look into it.

sameer'shaad' 1st September 2015 09:00 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 485948)
I agreed. I endorsed the justification provided by Sarika baji.

Please look into it.

Glad to find you in the comment box Hassan saahab...... Or else you were so busy to come online from couple of months... hope you will get enough time further to participate in various activities of SDC as you always do..... take care...

Hassan 1st September 2015 09:03 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 485950)
Glad to find you in the comment box Hassan saahab...... Or else you were so busy to come online from couple of months... hope you will get enough time further to participate in various activities of SDC as you always do..... take care...

hahahaha..

You didn't noticed that i fetch time from my busy schedule and casted my vote.

Anyway... You're rule makers... And you better know what is best for sdc.

masti 1st September 2015 09:38 PM

[COLOR="Blue]Meri sabse haath jod kar vinti hai ki iss baat par koi arguments na karein. maine jo feel kiya woh aap logo.n se apna samajh kar share kiya. mera iraada kisi bhi tarah se SDC ka mahol kharaab karne ka nahi hai.

AAP sab Moderators aapas mein discuss kijiye aur apna nirnaye lijiye iss rule ke baare mein. agar aapko mere tarq theek lagein to apnaiye aur agar nahi to sirf yahi likh dijiyega ki aisa nahi ho sakta baat khatm.

Ek vinti hai ki iss baat ko kisi bhi tarah se argument ka mudda na banaiyen aur personal comments avoid kijiye agar ho sake to....".[/COLOR]

Madhu 14 1st September 2015 10:24 PM

[QUOTE=sunita virender;485935][B][SIZE="2"][COLOR="Navy"][FONT="Verdana"]ahhhaaa "Chalo dildaar chalo, chaand ke paar chalo" kya khoobsurat tasveer di hai Madhu Bala....hame tasveer bahut acchi lagi :) TPT meiN gazal likhne wale sabhi dosto ko shub-kaamnaye.

:)

di...achcha laga aapko tasweer pasand aayi........
Aur mujhe aur bhi khushi hogi agar aap bhi isme shirkat karein....ummeed hai apni madhubala ko aap nirash nahi karengi .
.

Madhu 14 1st September 2015 10:32 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 485942)
bahut khushi huii aaj aapko is silsile ka aaghaz karta huaa dekh kar....

kahna chahungaa ke masha allaah bahut hi khoob, laajwaab pic share kii hai aapne.....

I would like to wish you luck so that aap is silsile ko aage badhaane me kaamyaab ho saken........ aur kahne ki zaruurat nahii k as an individual i will be always standing beside you................. :)

sabhii doston se merii appeal hai ke wo is pic ke uupar api tahreeer zaroor pesh karen aur isme hissaa len....

Well wishes to the Organizer and the participants........

Shaad.....

Thankss shaad ji.....achcha laga aapko tasweer pasand aayi...aur sach kahoon mujhe bhi bahut khushi ho rahi hai ki is baar tpt main conduct kar rahi hoon...par ye bhi sach hai ki aap doston ke sath ke bina..ye mumkin nahi hota.

Aapki duaon aur sath ka dil se shukriya......aage bhi yoon hee sath dete rahiyega...............:)

Shaad rahein........

Madhu 14 1st September 2015 11:17 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 485945)

Dear Madhu

Bohut kubsoorat tasveer pesh ki hai aapne jiske liye aapko bohut bohut mubaarak.

maine ek above point ko highlight kiya hai..................

jisse main ittefaaq nahi rakhti hun. iske kuch kaaran hain..........

1. koi bhi ladka ladki ban kar likh sakta hai aur ladki ladke ki tarah feel kar sakti hai yahi to shaayar ki khaasiyat hoti hai ki woh jiske bhaav feel karta hai usi ke baare mein likhta hai. (this point takes away the freedom of expression)

2. kisi identity reveal hone ka point par bhi main aapko ye kehna chahoongi ki jab hum kisi ko padh chuke hote hain to hum bohut hadd tak andaaza lagaa sakte hain ki kisne likha hai? magar ye basis nahi hota vote karne ka agar hum aisa sochein ki log ladka ya ladki dekh kar vote karte hain to kahin na kahin hum unki prudence par sawaal uthaa rahe hain.

Aur agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.

3. Teesri baat jisne cheating karni hai aur apni identity reveal karni hi hai to uske paas bohut se aur tareeke hote hain jaise ki whatsapp facebook pm etc. to agar humne apne members par bharosa kiya hai ki wo deserving ko hi vote karenge to poori tarah se karein.

Ek baat aur kehna chahungi ki tasveer koi bhi ho "Gender Specific" hoti bhi hai aur nahi bhi. it is the way somebody reads it and I think that is the beauty of an artist how he reads it.

Meri koi baat buri lagi ho to mujhe muaaf karna magar aadat se majboor huun dil mein nahi rakhti....................:)

Quote:

Originally Posted by masti (Post 485955)
[COLOR="Blue]Meri sabse haath jod kar vinti hai ki iss baat par koi arguments na karein. maine jo feel kiya woh aap logo.n se apna samajh kar share kiya. mera iraada kisi bhi tarah se SDC ka mahol kharaab karne ka nahi hai.

AAP sab Moderators aapas mein discuss kijiye aur apna nirnaye lijiye iss rule ke baare mein. agar aapko mere tarq theek lagein to apnaiye aur agar nahi to sirf yahi likh dijiyega ki aisa nahi ho sakta baat khatm.

Ek vinti hai ki iss baat ko kisi bhi tarah se argument ka mudda na banaiyen aur personal comments avoid kijiye agar ho sake to....".[/COLOR]

dear sarika...khushi huyi ki tasweer pasand aayi aapko....
aur is baat ki bhi khushi huyi ki aapne apne vichaar apne khayaal hamare sath baante....aapki har ek baat ka swagat karti hoon main...
as a member koi bhi apne feedback apne doubts rakh sakta hai...

sirf itna hee kahna chahoongi ki jab bhi koi rule banta hai ya aap sab ke samne rakha jata hai..vo sdc ki behtari ko dekhte huye aur sabhi members ki suvidha ke liye hee hota hai...

yahaan bhi intention yahi tha...july tpt me bhi rules sabki ray se hee bane the...aaj agar us mudde par dubara baat karne ki zaroorat mahsoos ho rahi hai..to sabhi milkar baat karenge..aur jo bhi decisions hoga modsteam ka...uske hisaab se zaroori changes kiye jayenge....

aap ek achchi shayra hone ke sath ek achchi dost bhi hain mere liye...meri kisi bhi baat se apko takleef pahunchi ho to dil se muafi ki talabgaar hoon.

(agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.)

is tarah ke khayaal apne zahan me na laayein yahi chahoongi main.....

khush rahiye...
aati rahiye....

Madhu 14 1st September 2015 11:22 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 485951)
hahahaha..

You didn't noticed that i fetch time from my busy schedule and casted my vote.

Anyway... You're rule makers... And you better know what is best for sdc.

shukriya hassan ji...jo aapne apna keemti vaqt nikal kar vote diya...
aage bhi isi sath ki ummeed karti hoon...isse participants ke sath organizers ki bhi hausla afzai hoti hai....to aate rahiyega...

salamat rahein....

Dhaval 2nd September 2015 07:38 AM

Bahot hi pyaari si tasweer aur pyaar bhare ehsaas se ees month ka tpt raushan ho yahew duaa hai dil se...

Aapka

Dhaval

Qasid 2nd September 2015 07:46 AM

Madhu - Bahut Umdaa tasveer chuni hai aapne umeed hai ki is baar bhi takkar ka muqaabla dekhne ko milegaa

sunita thakur 2nd September 2015 09:56 AM

[QUOTE=Madhu 14;485958]
Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 485935)
[B][SIZE="2"][COLOR="Navy"][FONT="Verdana"]ahhhaaa "Chalo dildaar chalo, chaand ke paar chalo" kya khoobsurat tasveer di hai Madhu Bala....hame tasveer bahut acchi lagi. TPT meiN gazal likhne wale sabhi dosto ko shub-kaamnaye.

di...achcha laga aapko tasweer pasand aayi........
Aur mujhe aur bhi khushi hogi agar aap bhi isme shirkat karein....ummeed hai apni madhubala ko aap nirash nahi karengi .
.

areeeee kya majaak kar rhi hai Madhu Bala :D maiN kuch likhuNgi to muje lagta hai aik b vote nahi aayega mere hisse...kyuki maine to kitna waqt ho gya kuch likha hi nahi hai ;) maine koshish karuNgi agar kuch likha gya to jaroor likhuNgi.

aur haan yaar maine to yeh jo aik rule modify kiya hai usko pada hi nahi, muje lga sab rule pehle wale hi hai.

Madhu Bala, male/female ka kya chakkar pad gya :D kai baar female likhte waqt male feelings meiN likhti hai ;) aur male..female feelings par likhtey hai :p mere khayal se aisi koi bandish nahi honi chahiye ki aati hoon ya aata hoon na likha jaaye.

bas shayar ka naam ya takhalus mention nahi hona chahiye :) Madhu Bala aisi tension nahi lene ka :)

aur Sarika maine abhi abhi aapka bhi review pada...main aapki baatoN se sehmat hu...par aap es baat ko lekar preshaan na hoN, madhu ki aisi koi hard feeling nahi hogi aapke liye, aisa mera maan.na hai...aapki gazal hai hi enti khoobsurat thi ki usko winner hona hi tha. muje accha lga ki aapne apne dil ki baat khul kar kahi aur ham bhi es baat se ru-b-ru ho sake, aap sahi hai apni jagah, agar main bhi winner hoti aur next month rule es tarah aate to muje b dukh hota...par kai baar likhne wale ki feelings kuch aur hoti hai par unko expalin sahi se nahi kar pata, lagta hai Madhu Bala se bhi kuch aisa hi hua hai.

to ab pyari si smile :) dijiye Bhabhi jaan, aur next month ke liye 2 gazleN taiyaar kijiye aik mere liye aur aik apne liye, kyuki es baar Madhu bala chahti hai ki main bhi shamil hou es competition mei :D

es romantic tasveer par gazal likhne wale sabhi participants ko meri taraf se bahut bahut subh-kaamnaye :)

duaoN ke saath

Madhu 14 2nd September 2015 11:22 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 485976)
Bahot hi pyaari si tasweer aur pyaar bhare ehsaas se ees month ka tpt raushan ho yahew duaa hai dil se...

Aapka

Dhaval

shukriya dhaval shahab...khushi huyi aapko tasweer pasand aayi.....
sath dete rahiyega....

Madhu 14 2nd September 2015 11:24 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 485980)
Madhu - Bahut Umdaa tasveer chuni hai aapne umeed hai ki is baar bhi takkar ka muqaabla dekhne ko milegaa

apko yhaan dekhkar khushi huyi anu ji...bas dua kijiyega...ye silsila kaamyaab ho sake....
aur ye kahne ki zaroorat nahi ki aapke sath ki ki dil se ummeed rakhti hoon main....:)

Qasid 2nd September 2015 03:27 PM

Sarika & Hassan bhai,

Aapke rakhe points ko mods team ne kaafi gehraayi se discuss kiya hai. Is tehreer pe competition ka maksad ki azaad khayaalon ko bulandi tak lekar jaana hai. Yeh ek platform hai jaha shayar ki gehraayi ka aankalan kiya jaaye aur is mein sabse badi baat hai ek shayar ka apne khayaalon ko azaad tarah se lekar tasveer ka soorat-e-haal bayaan karna.

Moderator team ne aapke sujhaav bahut hadd tak sahi paaye hai aur isliye rule #3 ko us bandish se azaad kar diya gaya hai..

Yeh platform aap sabke liye hai isliye aap aage bhi bejhijak apne sujhaav hum tak pahunchaate rahiye taaki hum sab milkar ise aur behtar banaa sake...

Sarika - Mujhe afsoos hai ki aapke zehan mein apni entry waapas lene ki baat aayi...aapki baat durust hai ki August TPT mein yeh rule nahi tha. Thoda miscommunication tha meri aur se aur main bejhijhak aapse, Hassan bhai se aur poori Mods team se is baat ke liye maaufi chahta hoon.

aakhir mein sabse guzaarish karna chahunga ki aap sab is silsile ka hissa bane aur humhe aur SDC ko nayi kaamyaabiyon tak lekar jaaye...

sunita thakur 2nd September 2015 03:36 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 486028)

Anu, shukriya :) aapne mods team ka faisla yahan sunaya :)

HSN Bhai aur Sarika

umeed hai aap dono ko ab koi gilla-shikwa nahi rha hoga...sdc ki mods team hamesha har pal har member ke saath hai...hai to ham log bhi ensaan hi..."galti se mistake" :D ho hi jaati hai thodi bahut :p

chaliye ab Sep. month ke liye pyari pyari gazleN likhna shuru kar dijiye, aur haan Sarika tumhe to 2 gazleN likhni hai es baar ;-) Madhu Bala ka huqm bhi to maan.na hai na muje :D

Madhu 14 2nd September 2015 03:49 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 486030)

Di itni meri himmat ki aapko hukm doon...ye to ek khwahish hai samajhiye....aap poori karengi to achcha lagega........:)

Madhu 14 2nd September 2015 03:55 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 486028)
Sarika & Hassan bhai,

Aapke rakhe points ko mods team ne kaafi gehraayi se discuss kiya hai. Is tehreer pe competition ka maksad ki azaad khayaalon ko bulandi tak lekar jaana hai. Yeh ek platform hai jaha shayar ki gehraayi ka aankalan kiya jaaye aur is mein sabse badi baat hai ek shayar ka apne khayaalon ko azaad tarah se lekar tasveer ka soorat-e-haal bayaan karna.

Moderator team ne aapke sujhaav bahut hadd tak sahi paaye hai aur isliye rule #3 ko us bandish se azaad kar diya gaya hai..

Yeh platform aap sabke liye hai isliye aap aage bhi bejhijak apne sujhaav hum tak pahunchaate rahiye taaki hum sab milkar ise aur behtar banaa sake...

Sarika - Mujhe afsoos hai ki aapke zehan mein apni entry waapas lene ki baat aayi...aapki baat durust hai ki August TPT mein yeh rule nahi tha. Thoda miscommunication tha meri aur se aur main bejhijhak aapse, Hassan bhai se aur poori Mods team se is baat ke liye maaufi chahta hoon.

aakhir mein sabse guzaarish karna chahunga ki aap sab is silsile ka hissa bane aur humhe aur SDC ko nayi kaamyaabiyon tak lekar jaaye...

Shukriya anu...aapne tafseel se ye baat yahaan sabke samne rakhi....aur please aap maufi mangne jaisi baat na karein...miscommunication kisi ek ki vajah se nahi hota...meri galti isme zyada hai....isliye maafi main mangti hoon sabhi se.....)

Aur doston aapse guzarish hai ki aap tpt me hissa lein aur ise kaamyaab banayein....

Harash Mahajan 2nd September 2015 04:53 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 485932)
adaab doston...
mujhe pata hai aap sab besabri se is mahine yani september ki tasweer ka intzaar kar rahe honge ...zara sa sabra rakhein..kalam ko thame rakhein...jaisa ki aap samajh gaye honge tpt main yani ki aapki madhu conduct kar rahi hai...to rules yaad dilana bhi mera pahla kaam hai.....:)...jo ki bilkul vahi hai jo july tpt me the......

pahli aur behad zaroori baat jo aapko yaad rakhni hai...

1) aapke khayaalaat tasweer se milte hon, dhyaan rakhiye khayaal tasweer ke jitne nazdeeq honge, kalaam utnaa hi sabko attract karegaa....

2) Kalaam khud kaa likhaa huaa ho.. ham maazrat ke saath kahnaa chahenge ke kisii aur ka likha hua kalaam hame na bhejen, warna use is muqaable me shaamil na kiyaa jaaegaa.... as per the rules of TPT.

3) aapkaa kalaam kisii aur website, Facebook ya personally kisii ko bhii share naa karen, jo aap TPT me dene waale hain... aapke kalaam me takhallus ya shaayar ka naam bhi shaamil na kijiyegaa...

4) ek member ek hi post hame bhej sakta hai...... agar us kalaam me kuch mistakes ho gayee hon to wo sudhaarii jaa saktee hain...par kalaam change nahi kiya ja sakega...

5) isme Behar ki koi bandish nahii rakhii jaa rahii hai so that any one can take part.. lekin jo behar me likhnaa jaante hain wo iska istemaal kar sakte hain....

ek akhiri aur sabse important baat...

6)apne kalam aap sirf aur sirf mujhe pm karenge yani madhu ko...
ji haan pm ke zariye bheji gayi entries ko hee qubool kiya jayega..dhyaan rakhein...aapka koi sawaal koi confusion ho to kisi aur se share na karein...mujhe pm karke pooch sakte hain...
taki voting procedure fair ho...ummeed karti hoon aap sab ko sabhi points clear honge...

to doston ye kuch batein aapke liye thi...jo shaad sahab ne july tpt me bhi kahi thi....
ab kuch batein..aapki jankari ke liye jo mujhe yaad rakhni hain...:)

a)tpt me main apna kalaam nahi bhej sakti..
b)na hee vote kar sakti hoon..

to der kis baat ki..tasweer hazir hai...use dekhiye mahsoos kijiye...aur fir dil me jo aaye likh kar mujhe bhej dein..

Last point, submission ka aakhri din hoga 16th September
.

http://i.imgur.com/ez4YDSF.jpg?1

to fir jaldi jaldi likhna shuru kijiye...mujhe apki tahreer ka besabri se intzaar rahega..
all d best.....:)

waah bahut khoob Madhu ji...tasweer bhi khoob our us par ye ek doosre se jude rehne ka ta'reeka bhi khoob......demaag ki nadiyaaN bhi sust na hoN....badhaai aisi peshgi par.... ......

sunita thakur 2nd September 2015 05:07 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 486033)
Shukriya anu...aapne tafseel se ye baat yahaan sabke samne rakhi....aur please aap maufi mangne jaisi baat na karein...miscommunication kisi ek ki vajah se nahi hota...meri galti isme zyada hai....isliye maafi main mangti hoon sabhi se.....)

Aur doston aapse guzarish hai ki aap tpt me hissa lein aur ise kaamyaab banayein....

ANU aur MADHU...muaafi maangne jaisi koi baat nahi hai...confusion thi jo solve ho gye :)

Madhu 14 2nd September 2015 05:19 PM

Quote:

Originally Posted by Harash Mahajan (Post 486035)
waah bahut khoob Madhu ji...tasweer bhi khoob our us par ye ek doosre se jude rehne ka ta'reeka bhi khoob......demaag ki nadiyaaN bhi sust na hoN....badhaai aisi peshgi par.... ......

Bahut shukriya harash ji jo aapne yahaan aakar hausla badhaya......
Aap sab ka sath milega to ye koshish zaroor rang layegi...

masti 2nd September 2015 10:41 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 486028)
Sarika & Hassan bhai,

Aapke rakhe points ko mods team ne kaafi gehraayi se discuss kiya hai. Is tehreer pe competition ka maksad ki azaad khayaalon ko bulandi tak lekar jaana hai. Yeh ek platform hai jaha shayar ki gehraayi ka aankalan kiya jaaye aur is mein sabse badi baat hai ek shayar ka apne khayaalon ko azaad tarah se lekar tasveer ka soorat-e-haal bayaan karna.

Moderator team ne aapke sujhaav bahut hadd tak sahi paaye hai aur isliye rule #3 ko us bandish se azaad kar diya gaya hai..

Yeh platform aap sabke liye hai isliye aap aage bhi bejhijak apne sujhaav hum tak pahunchaate rahiye taaki hum sab milkar ise aur behtar banaa sake...

Sarika - Mujhe afsoos hai ki aapke zehan mein apni entry waapas lene ki baat aayi...aapki baat durust hai ki August TPT mein yeh rule nahi tha. Thoda miscommunication tha meri aur se aur main bejhijhak aapse, Hassan bhai se aur poori Mods team se is baat ke liye maaufi chahta hoon.

aakhir mein sabse guzaarish karna chahunga ki aap sab is silsile ka hissa bane aur humhe aur SDC ko nayi kaamyaabiyon tak lekar jaaye...

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 486030)

Anu, shukriya :) aapne mods team ka faisla yahan sunaya :)

HSN Bhai aur Sarika

umeed hai aap dono ko ab koi gilla-shikwa nahi rha hoga...sdc ki mods team hamesha har pal har member ke saath hai...hai to ham log bhi ensaan hi..."galti se mistake" :D ho hi jaati hai thodi bahut :p

chaliye ab Sep. month ke liye pyari pyari gazleN likhna shuru kar dijiye, aur haan Sarika tumhe to 2 gazleN likhni hai es baar ;-) Madhu Bala ka huqm bhi to maan.na hai na muje :D

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 486033)
Shukriya anu...aapne tafseel se ye baat yahaan sabke samne rakhi....aur please aap maufi mangne jaisi baat na karein...miscommunication kisi ek ki vajah se nahi hota...meri galti isme zyada hai....isliye maafi main mangti hoon sabhi se.....)

Aur doston aapse guzarish hai ki aap tpt me hissa lein aur ise kaamyaab banayein....

Dear Anu . Madhu and didi.

Mujhe khushi hai ki aap sabne mere sujhaav ko positively liya aur accept kiya.

In sab mein sorry mangne jaisi koi baat nahi hai. Aap log SDC ki bhalai ke liye kaam kar rahe hain jahan 100kaam sahi honge wahan 2kaam ghalat bhi honge. Unhe ignore karke aage badhna hi maturity hai

Bas ek vinti hai phir se. Har member aur moderators se ki bolne se pehle thoda Sa tol lein aur personal comments se bachein issey sirf sab ka man kharaab hota hai aur mahol bhi.

Aur hum sab yahan iss liye kyunki hum ek interest rakhte hain let that passion prevail not misunderstandings.

Phir ek baar kahungi ki tasweer bohut khubsurat hai sab log badh chadh kar hissa lein.

maikasH 3rd September 2015 06:21 AM

Its been a while since i participated in a discussion here but yeh thread dekh kar mera jigar do-balaa ho gaya hai so i had to put my two pence in.

Congratulations to both Sarika behan and Madhu ji. This is the spirit of SDC!

We all are here to promote poetry and look after its etiquettes, the mannerism and the respect this great art demands from us.

Nothing more heartening to see everybody working together and more importantly understanding the needs of the hour and the situation.

Thank you so much Sarika for speaking your mind and million thanks Madhu ji and the mods team for listening, understanding and doing what was necessary.

Rab raakha
maikash

Madhu 14 3rd September 2015 10:00 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 486058)

Adaab maikash ji...
Aapko yahaan dekhkar khushi huyi mujhe.....
Yahaan aakar hamari hausla afzai karne ke liye aapka dil se shukriya......

Aate rahiyega....
Salamat rahein.......

masti 3rd September 2015 11:54 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 486058)
Its been a while since i participated in a discussion here but yeh thread dekh kar mera jigar do-balaa ho gaya hai so i had to put my two pence in.

Congratulations to both Sarika behan and Madhu ji. This is the spirit of SDC!

We all are here to promote poetry and look after its etiquettes, the mannerism and the respect this great art demands from us.

Nothing more heartening to see everybody working together and more importantly understanding the needs of the hour and the situation.

Thank you so much Sarika for speaking your mind and million thanks Madhu ji and the mods team for listening, understanding and doing what was necessary.

Rab raakha
maikash

Shukriya Maikash ji for understanding my intention.

As you know I am a huge fan of your poetry . Your presence motivates all of us.

Keep coming and sharing your views.

God bless.

trialbyfire 3rd September 2015 06:01 PM

Namaste di!!!

Bahaut hi khoobsoorat tasveer post ki hai aapne...iss tasveer ko dekhke toh sabke kalaam jaldi jaldi chalne lagenge...very romantic.

Aapko koi help chahiye ho kisi cheez mai toh bataiyega...I am right here.

All the best di...aap bahaut ache se host karengi iss competition ko hume poora poora yakeen hai.

Tons of good luck!!!

Khayal rakhiye apna!!

Madhu 14 3rd September 2015 07:11 PM

Quote:

Originally Posted by Sweet_Rain (Post 486157)
Namaste di!!!

Bahaut hi khoobsoorat tasveer post ki hai aapne...iss tasveer ko dekhke toh sabke kalaam jaldi jaldi chalne lagenge...very romantic.

Aapko koi help chahiye ho kisi cheez mai toh bataiyega...I am right here.

All the best di...aap bahaut ache se host karengi iss competition ko hume poora poora yakeen hai.

Tons of good luck!!!

Khayal rakhiye apna!!

Thank you jiya....achcha laga aapka yahaan aana..khushi hai tasweer pasand aayi aapko...aur mujhpar yakeen karne ka shukriya....
Aap sab ki madad ke bina to ye silsila kamyaab nahi ho sakta na ...to bas ek pyari si tahreer likh kar bhej dijiyega...:)

All d best....
Intzaar me...

Madhu...

Madhu 14 4th September 2015 10:09 PM

doston.....ummeed karti hoon aap sab apni tahreer jald se jald mujhe pm karenge.........

Intzaar mein.....

Madhu 14 5th September 2015 03:42 PM

Hurry up freinds...........................

sameer'shaad' 5th September 2015 08:43 PM

doston jald se jald apnii tahhreer madhu ji ko PM kar dijiye...........

is baar ki tasweer ek baar fir aapke intzaar me hai......... jaldi likhiye......

shaad....

Qasid 5th September 2015 11:23 PM

waqt rait ki tarah haathon se nikal raha hai doston...jald hi aaiye aur is behad dilkash tasveer par apni tehreer Madhu Ji ko bhej dijiYe

sunita thakur 6th September 2015 04:18 PM

Dosto...es baar ki tasveer to bahut hi romantic hai...to umeed hai aap apne apne mehboob ko zehan meiN rakh kar hi likh rhe hoNge, ham to bahut besabri se intejaar kar rhe hai ki kab 16th sep. aaye aur hame romantic romantic gazleN padne ka mokka miley...to jaldi se likhiye ji :)

Madhu 14 7th September 2015 10:31 PM

aap sab ki entry ka besabri se itnzaar hai doston...jaldi jaldi mujhe pm karein....

Madhu 14 9th September 2015 12:27 PM

doston bas kuch hee din bakii hain...aap sab apni entry jaldi se mujhe pm karenge isi ummeed me......

apki dost....
madhu

sameer'shaad' 9th September 2015 04:57 PM

doston pls aap sab apni entries madhu ji ko bhej den..... pm ke dwaara............

Qasid 9th September 2015 11:06 PM

Doston - aakhri hafta bacha hai umeed hai aap sabki tehreer jald hi aayengi...

Dhaval 11th September 2015 10:58 AM

Sabhee doston se meri dil se guzaarish hai kii jald se jald apni peshkash ko bhej den.... aap sab ki peshkash kaa intezaar rahegaa doston

Aapka

Dhaval

All times are GMT +5.5. The time now is 08:47 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.