Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   zakhm (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=41949)

farhan farri 13th November 2005 01:55 AM

zakhm
 
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain

Aankho se hamari khushi chalak jati hai,
Jab dekh le tumhe ek bar to jese chandni bhi din mein nikal aati hai,
Baaho mein tumhari aakar har gum ko bhul jate hai hum,
Tumhe paa kar jese hamari har maangi hui duaa kabul ho jati hai.

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhre-2 se rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta

Jab bhi tere bina raat hoti hai
Deewaro se aksar baat hoti hai
Sanata poochta hai sawal humse
Tere naam se hi shuruwaat hoti hai.

dil ne dil ki baat suni
yoon hi mohabbat parwaan hui,
lab to chup rahe magar
nazron se mohabbat bayaan hui

shama ne jaise parwane ko jala diya,
aap ne ki hamse itni mohabat
ki hamne apne aap ko bhi bhula diya.

shoaib_malik21 13th November 2005 10:36 AM

well said
 
good keep writing dear . aap ne dil ko chune wala kalam pesh kiya hai. ese hi likhte rahen


All times are GMT +5.5. The time now is 01:16 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.