View Single Post
Old
  (#91)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th July 2014, 12:33 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
mera sher....

daar-us-suruur* ka daar-o-rasan ham-jaliis* hua
phir bhii kadaa-e-yaar me.n be-shakl mai.n hua


daar-us-suruur = house of intoxication (mae-kadaa)
ham-jaliis = constant companion
Aadeil sahab ... pooree ki pooree ghazal hi shaandaar hai aur ye sher bhi bahaut khoob !! Waah sahab "daar us suroor" aur "daar o rasan" ki kya tarkeeb ki hai !! aur un ko ham-jaliis keh ke to kya lutf paida kiya !!! Just Superb !!!

Ek guzaarish hai aap se. Kyunki yahaan maqasad lutf-e-sukhan ke saath saath ilm-e-sukhan haasil karne ka bhi hai, to meri ye darkhwaast hai ki aap agar, zehmat na ho to, is sher ki mukhtasar si sharah kar sakein. Just a small explanation, jis se sabhi members par ye sher pooree tarah se ayaan hi sake aur wo is ke zariye kuchh seekh sakein. Aap ke khoobsurat alfaaz aur gehree fiqr ek achchha mauka dete hain humein kuchh seekhne ka.

Dheron duaon ke saath .... Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote