View Single Post
Re: shaKhs voh mehbuub sa jab se be'gaana ho gaya
Old
  (#18)
vijen
Registered User
vijen is on a distinguished road
 
vijen's Avatar
 
Offline
Posts: 138
Join Date: Dec 2004
Location: New Delhi, India
Rep Power: 20
Re: shaKhs voh mehbuub sa jab se be'gaana ho gaya - 27th April 2005, 04:10 PM

Waaaaah...badi hi umda Gazal padi hai aapne Maikash
saheb...
Daal kabul farmata hun...
-vij

Quote:
Originally posted by maikasH
ek taaza Ghazal bazm ki nazar :

mulaizaa farmaayeN


shaKhs voh mehbuub sa jab se be'gaana ho gaya
saaGhar-o-meena se apna dostaana ho gaya

jo kabhi rehtaa tha aaNkhoN meiN khwaaboN ki tarah
usko dekhe dosto ab ik zamaana ho gaya

sun'ne laga tha voh meri fariyaad lekin haaye haaye
lab hilaaye the ki kehta hai, kahaa na, ho gaya

jab talak the aashna tum raasta humvaar tha
ab to na'mumkin hi qadmoN ko badhaana ho gaya

ko'ii to ho mujhse kahe jo aa ke maikhaane meiN yaar
ab chalo ghar bhi bohat peena-pilaana ho gaya

yuuN bhi to barbaad hona hi tha mujhko ai nadeem
uskaa bichadd jaana faqat achchaa bahaana ho gaya

ab sar-e-mehfil hamaare zikr pe kehte haiN voh
choRiye jee ab to yeh qissa puraana ho gaya

hai koi allah ka baNda jo kahe jaa kar unheiN
aapse ho kar judaa "maikash" diwaana ho gaya


maikash


Aaj Ke Daur Mai.N Ummede.N Wafa Kisase Kare.N
Dhoop Mai.N Baitha Hai Khud Pedh Lagaane Wala

http://artwanted.com/vijen
http://vijendrasvij.com
  Send a message via Yahoo to vijen Send a message via AIM to vijen  
Reply With Quote