View Single Post
Jabaaz by Afzal Allahabadi
Old
  (#1)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
Jabaaz by Afzal Allahabadi - 7th October 2019, 10:48 AM

Chaand taaro Ka Woh humraaz Nahi ho Sakta
Khud se mile e parwaaz Nahi ho Sakta

Mere jaisa tera andaaz Nahi ho Sakta
Ik kabootar Kabhi shahbaaz Nahi ho Sakta

Ajam farhaad Jo rakhta Nahi Apne Dil me
Woh junu khezi me Mumtaz Nahi ho Sakta

Tu he rakhta hai her ek raaz Mera poshida
Tere jaisa koi humraaz Nahi ho Sakta

Mujh ko Jo Kuch bhi Mila yeh hai inayat Teri
Apni kosis pe mujhe naqz Nahi ho Sakta

Sar ko Apne Jo hatheli pe Rakh or Afzal
Meri nazro me Woh jabaaz Nahi ho Sakta


Afzal Allahabadi


Anil Arora

Naulekahe par tere khoon ki boond hai,
Motiyo ki jagah par jada kaun hai,
Jiski khatir daga chandini se kare,
Puch suraj ki woh dilruba kaun hai?
   
Reply With Quote