main taaron se ghar ko sajounga jab tum milne aaogi....(nazam) -
28th July 2006, 11:00 AM
dosto apni ek nazam pesh kar raha hoon jis main kisi ke aane ka intzaar hai or uske aane pe is dil ka kaya haal ho wo main is main byaan kar raha hoon.......
main taaron se ghar ko sajounga jab tum milne aaogi....
main chaand ko payal pehnaounga jab tum milne aaogi.......
main raat ki aankh main kajal lagounga jab tum milne aaogi......
main suraj ko chiraag dikhaounga jab tum milne aaogi.....
main phoolon se khushboo churaounga jab tum milne aaogi.....
main sehra main nadiya bahaounga jab tum milne aaogi.......
main aakash ko zamee pe laounga jab tum milne aaogi......
main saray dardo ko bhool jaounga jab tum milne aaogi........
main tere qadmon main bicch jaounga jab tum milne aaogi......
main us din mar hee jaounga jab tum milne aaogi.....
main us din mar hee jaounga jab tum milne aaogi..........
umeed karta hoon apke dil main jagha milegi......raj.......
un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
|