View Single Post
talkhiyaaN..... (nazm) ( a very personal one\)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
talkhiyaaN..... (nazm) ( a very personal one\) - 22nd November 2014, 07:09 AM

aadaab yaaran-e-mehfil,


ek nazm, jo dar asl haqeeqat ka aainaa hai, aapki khidmat meiN haazir kar raha hooN. aaj kaifiiyat kuch aisi hai is nazm ko post karte hue jhijhak nahiiN ho rahi hai vagarnaa aam haalaat meiN yeh kabhi post na hui hoti

mulaiiza kijiye


na maa ne mujhe goad hi meiN uThaaya
na waalid ne apne gale se lagaaya
mehruum rakkha gaya har khushi se
haaN! mujhko bahot hai gilaa ziNdagi se

na seene se apne kisi ne lagaaya
na baahoN ke ghere meiN jhuula jhulaaya
na mujhko kabhi lo'riyaaN hi sunaayiiN
na zaaNooN pe rakh ke kisi se sulaaya

na bachpan bhi mujhko milaa ziNdagi se
haaye! kyoN na karuN maiN gilaa ziNdagi se?

thokaroN ne nawaaza, saNbhaltaa raha hooN
dehaktee rehguzar pe bhi chala raha hooN
chaltee rahiiN aaNdhiyaaN nafratoN ki
chiraaGhoN ki maaniNd jaltaa raha hooN

mere waalid-e-mohtaram ne kahaa hai :
"mere haath se qatl tera likhaa hai"
lekin kabhi zikr mujhse kiya naa
ke aakhir gunaah mujhse kya ho gaya hai

maine kahaa , mere pyaare se abbu
meri jaan par haq tumhaara bajaa hai
tumhiiN ne mujhe ziNdagi se nawaaza
tumhi maar daalo , meri iltijaa hai

na jeene ki himmat na marne ka dam hai
khuda tu, rihaayi, dillaa ziNdagi se

haaN....mujhko bohat hai gilaa ziNdagi se


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote