View Single Post
behatreen
Old
  (#8)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
behatreen - 4th January 2006, 07:52 AM

romantic nazmon main bahaut pyaree nazm hai ye. dil se nikle alfaz dil kee awaz bahut kuch kahtee huyee great aaj kis ubaha musan se khushboo se shuroo huyee aur mujhe bhee meree ek nazm yaad aa gayee dec main hee likhee maine
Anil

bas mujhe lagane lage
tum mere nazdeek ho
mujh ko bahon main bhare
baat kuch aise karo

ankhon se choo lo jahan jahan
tare khil jayen wahan
jahan labon se choom lo
chand sa ugane lage
tum mere nazdeek ho
bas mujhe lagane lage

har sheh main tilism tum bharo
kam kuch aisa karo
neend base koyee aur ghar
aur meree rat jagane lage
tum mere nazdeek ho
bas mujhe lagane lage

mujh main kya hai likha huya
zahir bhee aur chipa huya
mere badan kee kitab tumhare
honth ye parhne lagen
rat phir ye barhe nahee
aur bat kuch barhne lage

bas mujhe lagane lage
tum mere nazdeek ho
mujh ko bahon main bhare
baat kuch aise karo
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote