View Single Post
Old
  (#36)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 20th May 2009, 01:30 PM

Aadaab Kshitiz ji kese hai.n aap......

Janaab aapki is gazal ne to keher dhaa diya hai koi bhi esa sher nahi jiski tarif ki jaye puri gazal hi apne mein lajawaab hai is umda kalaam par khaaksaar ki daad kubool ho likhtey rahiye.........TC


Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
ahl e buzm ko mera sallaam !

kuch ashaar ke saath aapse muQaabil huN , ummeed karta huN ki ye koshish ghazal ka rang bikherne meiN kaamyaab hogii !




mujh se milna tera yuN mujh pe asar karta hai
mere hone ki koi aur khabar karta hai

rang chehre ka mere dekh utar jata hai
chor ke jaane ki tu baat agar karta hai

duniya waale abhi iss raaz se waQiff hi nahi
mujh se tu door hai par mujh meiN basar karta hai

roothne se tujhe pehle hi mana leta maiN
juzba e ishQ zara der asar karta hai

maine lafzoN ko baratne ka hunar seekha hai
tera har lafz mere dil pe asar karta hai

badzubaani meri tahzeeb bhula deti hai
aur afsoos ye dil shaam o sahar karta hai

humne seekha hai guloN ki tarah haNs kar milna
besabab ashQ bahana bhi zarar karta hai

nekiyaN kar ke bhula dena meri aadat hai
kar ke aihsaan "kshitiz" sarf e nazar karta hai !


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote