Thread: shayri
View Single Post
shayri
Old
  (#1)
Yatin905
Registered User
Yatin905 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Oct 2003
Location: Northeast
Rep Power: 0
Sad shayri - 19th February 2004, 09:15 PM

1.bahut yaad aata hein tera aana jaana,
muskurana nazre milana phir jukana,
dabe paav chupke se aakar lipat jaana
bahut muskil hein jaaneman,pyar tera bhulaana.

2.mehsus ho rahi phir teri jarurat
phir yaad aa rahi hein teri mohabbat
tune kyu itna chaha ki ab raha na jaaye
ab dil ko rula rahi hein teri wahi chaahat

3.yaad meri bhi tujko aati hogi
woh pyar bhari baatein meri satati taw hogi
yaad atte hoge jab mere chumban tujko
tu apne bister par kashmashati taw hogi

4.pyar ki har had se gujar jaanuga
tuje na pa saka taw mein mar jaunga
tune agar bewafai ki mujse taw sanam
keh nahi sakta ki phir kidhar jaunga.

5.jise apna sanjte the wahi raazdaar na raha
kis pe aetbaar kare jab khuda pe aetbaar na raha

6.kyu berukhi hein kyu hein ye judaai
arree wafa ki dushman na kar bewaffai

7.dil ke sau tukde kar diye tune bewaffi kar ke
kya mila tujko is tarah mere dil me ghaanv karke

8.mere pyar ko tum bhoola na sakogi
chahkar bhi mera naam mita na sakogi
bahut yaad aayega mera pyar tuje
meri yaado se daaman bacha na sakogi

9.jab tak ho dil hi dil mein,mohabbat ki baat hein
lub par jo aa gai taw qayamat ki baat hein

10.ye jaanta hu ki unki mohabbat fareb hein
lekin fareb bhi mohabbat ki baat hein.
   
Reply With Quote