Tu kiyun aisa hai.. ?
rab ho kar bhi,sab jaisa hai.
Aisa hum ko lag ta hai,
tu bhi zaalim jag sa hai..
Jab se tum ko jaana hai...
baybasi ne loota hai,
umeed ka daman choota hai,
dil ki ujdi basti me,
pata pata sookha hai...
mujh ko kwahish hoti hai,
meri guzaarish choti hai,
rok do gham ki baarish ko,
keh te mere aansoon hai..