View Single Post
"shayad"- a message
Old
  (#1)
zakhmee ashiq
Registered User
zakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to beholdzakhmee ashiq is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 170
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 26
"shayad"- a message - 4th March 2011, 11:28 AM

dosto bahut waqt ke baad ek nayi peshkash. Iss mein zindagi ke, awaam ke, samaajh ke aur hamaari soch ke bahut se daagdar pehlu hain jinka zikar na karte hue bhi kiya gaya hai. aap sab samajhdaar hain ummeed hai ki samajh lein gey.

main ruka hota to shayad, woh mujhe gale se lagaati
magar chal paDa us rah par jise khaak tak nahin apnaati

jal raha hai mera vaujood ab tak teri is tapash mein,
eh shamma, tum bhi ab buj kyun nahin jaati

sabko jaana, sabko parkha, sabko samajh liya magar,
main kaun hoon yeh duniya mujhe kyun nahin batlaati

ek razaai hai oDi hui, ek chaadar bhi hai maili si,
roz raat mujhe na-paak karein, yeh kyun nahin nahati?

woh bhi hain joh khudah ke naam par apradh karte hain,
mujhse gandgi gayi, magar unse yeh bandagi kyun nahin jaati

main na jaane kis gham main deewana ho gaya is kadar
ke meri maut bhi paas aane se hai hichkichaati

chain-o-aman na mila hai kissi ko markar bhi 'Anmol'
ya raakh ban jaaye ga, ya sone ko mile gi dharti ki chhaati
   
Reply With Quote