View Single Post
Old
  (#3)
Fanah....
Registered User
Fanah.... is on a distinguished road
 
Fanah....'s Avatar
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Jan 2003
Location: infinite...
Rep Power: 0
12th May 2003, 05:25 PM

sangdil khuda sangdil sanam sangdil hi insaan milte hain
tum use shahre wafa kehte ho jazbat jahan pe bikte hain

Qasam se kya sher hai Damal aap ne is duniya ki sachchayi bayan kar di...

zakhmi dil ulfat ke mare hur ek se dhoka khate hain
hum ahle mohabbat walon per aksra aise zamane aate hain

itni mohabbat itni tamanna hamein kase ho gayi hai unki
woh zakhm dil ko dete hain hum rooh bhi hazir karte hain

dekho to diwana pan uska aur uski mohabbat bhi dekho
kabhi jo jaan humi pe dete the ab jaan hamari lete hain

kisi aur ka dard kisi aur ka ghum hum thuk gaye hain ab inse
hum jaan bhi deden unke liye per woh nufrat humse karte hain

ab aur 'Damal' kya butlaaye ab aur uski kya tareef kare
woh dil mein hamare rehte hain hum unse mohabbat karte hain


Damal main kaise aap ki ghazal ki tareef karoon kitna dard hai aap ke lafzon mein, Damal aap ke alfaz mere seene ko cheer ker
is dil mein paiwast ho gaye,
Damal aap ki hur ek line to qayamat dha rahi hai.
aisa mut likha kariye Damal itne dard bhare sher hain kis me himmat hai jo apni aakhon ko bina num hue in ko padh le.
Damal aap ke qalaam ko khuda aise hi nikharta rahe yahi meri
dua hai.
isi umeed ke saath ki aap aise hi likhte rahenge aap se ijazat
leta hoon
khudahafiz


Fanah.......
For her....
By her...
   
Reply With Quote