View Single Post
Old
  (#32)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th October 2005, 10:15 AM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
meri behna

apni kotahi per shirmandgi ke saath haazir hoon.
kem mayegi ka ehsaas hai.
khair, tum ne yeh ghazel bohat khoobsurat aur bhai ke mizaaj se hem-ahang ho ker kahi hai, is liye mujhe to pasand aanaa hi hai.
yeh voh tarz e bayaan hai jo mujhe pasand aataa hai.
isi tarah likhti raho, jug jug jiyo, aur khoob khush raho yehi bhai ki dua hai.
kisi dost ka shayr apni behan ki nazer kerta hoon
"QASEM KHUDA KI MOHABBAT NAHEEN AQEEDAT HAI"
"DIYAAR E DIL MEIN BOHAT EHTIRAAM HAI TERA"

Ejazat chahta hoon , apna bohat khayal rakhna

musharrafhusain
QASEM KHUDA KI MOHABBAT NAHEEN AQEEDAT HAI"
"DIYAAR E DIL MEIN BOHAT EHTIRAAM HAI TERA"

kitna pyaara sher hai bhayyia...

aur aapne is nikkammi behan ki nazar kiya...is tohfe ko zindagi bhar yaad rakhoongi...aapko ghazal pasand aayee...khushkismeti hai meri...ab jaa kar aapki advice, aapki tanqeed ka asar dikhaayi de raha hai...aage bhi zaroor mujhe raaste pe laate rahiegaa...apko tau malum hai badi jaldi gadbad kar deti hoon...

aur bhayyia jo aapne shuru mein sharmindagi zaahir kee...mujhe bilkul achha nahin laga...aapne kaha tau thaa ki kaam zyada hai aur office hours kam...so aapki masruufiyat se wakif tau thee hi...aage se iss tarah ka lehja at least mere saath mat istemaal kiya karein...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote