Quote:
Originally posted by Parastaar
Dosto...
Tarq-e-wafa pe harf-e-wafa laana asaan nahin hota...dilbar ki shokh adaayein, uski mehboobi-e-nazar ki meharbaaniyaan bhulaaye nahin bhulatiin...bus isi soch ko le kar kuch likha hai...
hai uski nazar jo qaatil uski khataa nahin hai
ilzaam nahin hai uspe woh bewafa nahin hai
falak se tuute huye sitare girte nahin zameen pe
wo gira raha thaa mujhko usko pata nahin hai
aab-e-deedaah munawwar jo hazaar haadson se
tau kaise main yeh keh doon dil dukhta nahin hai
chahatein bhi ajab rahin uski, nafratein bhi gazab
ab baad-e-saba sa mujhmein wo mehakta nahin hai
rakhta tha kabhi dard mera kaleje se lagaaye jo
meri aah-o-fugaan pe ab wo tadapta nahin hai
jaane kab wo ruuth jaaye jaane kab dil todh jaaye
sapnon mein bhi aaye tau palat ke dekhta nahin hai
uski be-taaluqqi pe paara paara huya yeh dil
wo dabe paanv mere dil se kyun gaya nahin hai
mujhe us se hai mohabbat 'parastish' ise na samjho
wo sirf mera mehboob hai mera khuda nahin hai
aab-e-deedaah = tearful eyes
munawwar = bright
aah-o-fugaan = cry of distress
parastish = worshipping
|
Guddo didi...
Bas yahi kahuNga ki aapne jo khayal yahan pesh kiya hai .. bada taza tareem hai .. aur us par aapki bayani lazawaab hai ... shuru se ant tak bas wah hi wah .. meri daad aapke naam ....
aapka apna
kunal