Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Tera khyaal mujhe aaj bhi satata hai.
Tu ban ke saya mere saath chala aata hai.
Jidhar bhi jaye nazar khamoshi samayi hai.
Bharam mujhe hai ki ghar me koi bulata hai.
Chale to aaye the kahkar ki ab na aayenge..
Kadam badhaun jo main aage to peeche jata hai.
Malaal tujhko bhi to hoga meri judai ka..
Na qurbaton ka sahi ye dilon ka nata hai.
Madhu ko chaand me dikhti hai teri hee surat.
Nazar churata hai badal me chhupta jata hai...
|
Do baar padha aur soch raha hoon yeh to aabhi padha tha kuch din pehle, Madhu ji ne kiska copy kiya phir yaad aaya ki uff tauba yeh khayaal bhi kaise aaya
Phir wahi kahunga jo kalaam-e-tasveer par kaha tha...masterpeice...treasure it...