View Single Post
> mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai - Bashir Badr
Old
  (#1)
heart_killer
अंदाज़-ए-बयां शायराना है
heart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud ofheart_killer has much to be proud of
 
heart_killer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,173
Join Date: Mar 2009
Location: Bilaspur
Rep Power: 28
> mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai - Bashir Badr - 22nd August 2010, 04:15 PM

Koi agar apni rooh ko taza karana chahta hai toh bas wo Janab Bashir Badra Sahab ka kalam padh le. Unka kalam ankhon ke raste dil mein utar jata hai.. pesh hai unki hi likhe ek ghazal..

maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai

vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai


Bashir Badr


Ek InteZaar si ban gayi hai Zindagi,
Har pal tere aane ki Aash mein.......

Last edited by heart_killer; 22nd August 2010 at 04:20 PM..
   
Reply With Quote