View Single Post
Kuucha-e-kalam...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Post Kuucha-e-kalam... - 2nd March 2004, 12:55 PM

KUUCHA-E-KALAM...

Shayri ki duniya ke muazeez mehmaanoN?khushaamdeed! Hum kuch yaraane sukhan milke, ek baar phir iss bazm mein aap ka istakbaal karte hai.

Doston hamari pichli koshisoN ke ajar ko madde nazar rakhte hue, hamein intehayee khusi ke sath yeh kehne mein faqr mehsoos hota hai ke..is bazm mein shirkat karne waala har shakhs.. bawajood dooriyon ke jab yahan kisi kone ya kuuche mein milta hai.. tau yaa to apna dukh yaa apnii choti si khushi ko baaNTne ke iraade se milta hai...aur jab lauTta hai to apne dil-o-dimaag mein ek suroor sa liye jaata hai ke jispe keh sakte hain...

"Ghum apne baanT ke phir aaya hoon dostoN ko,
kabhi khushi mili to zaayqaa badal doonga."


Issii jazbe ki badulat hum ek ke baad doosri aur uske baad phir ek koshish karte raheinge..Doston iss baar aap ki pesh-e-khidmat hai ek aur kona jise naam diya gaya hai "Kuucha-e-Kalam".

Iss baar bhi humne kuch kaayde daryaaft kiye hain...aap se das-bastaa guzaarish hai ke inn qaaydon ke daayre mein reh kar hi aap ko shareeq hona hai...

1) Ibteda kuch be-misaal shayar, jo hamare beech maujood hain unke kalaam se hogi...jo apne rekhte ke andaaz aur shakshiyat ki wajah se hamare pasandeeda hain, aur aapke bhi..

2) Baad Unke kalaam ke silsila aage badhe ga lekin aap ko "Radeef" aur "Kafiya" wohi rakhna hai jo aapse aage likhne wale shaayr ne istemaal kiya thaa...

3) Aap ko sirf aur sirf ek sher likhna hai...zahir hai ke ibteda karne wala "Matla" likhega.. aur uske baad shaamil hone waale saare "Sher" honge.

4)?tradition aur ustaad hazraat ke hisaab se aik Ghazal meiN 5 se le kar 27 she'r kahe jaane ki ijaazat di gayi hai chunaaNche ..? (?Maikash) hum yahan 8 sher hee keh kar ghazal mukammal kareinge! phir the last person posting the fifth sher has to start another ghazal?matlab phir se ek "Matla" jiss mein "Radeef" aur "Kafiya" alag hoga.

5) Iss kuuche mein hum aapke andar ke shayar ko hath thaam ke sabke saamne laana chate hain...tau kuch aisee koshish kijiye ke woh ek behetreen sher ho..aap apne takhayyull (thoughts) ko jitna gehra ya phir jitna buland le jaa sakeN le jaayeiN.

6) Aap ko aap se pehle kahe gaye sher ko apna sher kehne se pehle doharaana zaroori hai?taaki ki ghazal kee continuity ka ehsaas ho?We are getting extremely quality conscious this time Doston...

Aap sabhi se poori shiddat se shirkat farmaane ki ummiid ke sath...KUUCHA-E-KALAM... mein apna zor-e-kalam aazmaane ki daawat dete hain, ummiid hai ke yeh koshish hamaari pichhli koshish se bhi behtar sila degi....Alvida?


Ik aakhrii baat dostoN, hum ek ke baad ek sher nahiiN pesh kar sakte; kisii aur ko kuch kehne kaa maukaa denaa paDe gaa pehle.
Only one sher at a time; if you wish to post more than one, then you'd have to wait until somebody goes before you.


------------
Ta- Gaur Tumhara

Talib

Last edited by Sharaabi; 3rd March 2004 at 01:43 AM..
   
Reply With Quote