Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun, -
16th August 2007, 12:49 PM
Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun,
Bazaar se guzra hun, kharidaar nahin hun.
Zinda hun magar zeest ki lazzat nahin baaqi,
Har chand keh hun hosh mein, hushiyar nahin hun.
Is khana-e-hasti se guzar jaaunga be-laus,
Saaya hun faqt, naqsh-ba-deewar nahin hun.
Woh gul hun khizaan ne jise barbaad kiya hai,
Uljhun kisi daaman se, main woh khaar nahin hun.
Yaarab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se,
Main uski inaait ka talabgaar nahin hun.
Go daawa-e-taqwa nahin dargaah-e-Khuda mein,
But jus se hon khush aisa gunahgaar nahin hun.
Afsudagi-o-zauf ki kuchh had nahin, Akbar,
Kaafir ke muqaabil mein bhi deendar nahin hun.
Poet : Akbar Allahabadi
"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"
Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.
|