View Single Post
Old
  (#5)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Love 9th December 2009, 09:19 AM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Hazriin Ko Aadaab,

Kuch zaati falsafe aap ke nazar kar rahaa huuN ek Hamd (Poems in praise of God) ki shakal meiN. Beh'r band nahi kar saka waqt ki kami ki khaatir. Ummiid hai ke aap ko pasand aayegi. (Waise ise Anjuman-e-shayri meiN bhi post kiyaa tha ye soch kar ke ye na to ishqiya shayri hai na hi dard ki, magar kisi ki nazar hi nahi pa.Di!!)

Khuli aaNkh se dikhtaa ufaq ba.Di duur hai,
Tujh tak pahoNchane meiN banda majbuur hai.
(Ufaq=Horizon=Khsitij)

BaNd kiya palak to dikha dhanak tera khuda,
Khuli nazar se dikhe kaise? insaaN magruur hai.
(Dhanak=Rainbow=Indradhanush)

Ek jaam se log ho jaateN hai bekhud ek din ko,
Main taa umr huaa bekhud aisa tera suruur hai.

Teri duniyaa meiN ikhtalaaf ab samajh saka,
Zarre se chota, parbat se ba.Da tera huzuur hai.
(Ikhtalaaf=Differences=Asamaanta)

Tere diye pursukuuni meiN tuu hi hai nadarad,
HaaN, dard ke maroN meiN tuu ba.Da mashhuur hai.

Tere bandoN ki khidmat ko das kadam bhi azaab,
Haji aur pandit teri ibaadat ke nashe meiN chuur hai.

Aaghaaz, maqsad, anjaam, manzil, hum sab bhuule,
Qazaa ke roz hi sahi rab, par tujhe aana zaruur hai.

Aap ke rai ka muntazir,
Aadaab
Naadaan
Janaab Naadaan saheb Aadaab....!

Reply karne se pehle maine kam se kam 5 dafe iss Ghazal ko padha aur abhi pata nahi kitni baar aur padhunga.....har baar ek alag ehsaas ****a hai isne....bahut khoob....maza aa gaya.....
Likhte rahiye......
Khush rahiye......

Aapka apna
Vikram


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote