View Single Post
Old
  (#15)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
26th January 2013, 12:47 PM

Mujeeb Bhai aur Zidd Bhai,
Adaab aur Namasakar apne is student ki pehle kabool karen.

Bahut shukrguzaar huun ki aap log apna kimti wakt de rahe hai hamen shayri sikhane mein...aur jis tarah se aap illustrate kar ke bata rahe hai bahut bareeqi
se samajh aa raha hai..

Arz kiya hai...

Sarakata ja raha hai shayri ke rukh se nakaab ahista ahista,
Ab mere har sawal ka jawab aa raha hai ahista ahista.

Pehli baar Ghazal aur Nazam mein fark samajh mein aya...

Aap ne likha ki Ghazal ki length kam se Kam 5 ashar honi chahiye, is se jyada
bhi ho sakti hai kya?
Dusra Ashar do misro ka hi hota hai , agreed . But agar 3 misre likhen to woh
kya ban jayega .eg

Oh re Kanhayyia Nahin chorun Teri Bayyian,
Tune ab tak mera jiya bharmaya re,
Bari Mushkil se Panghat pe tun aaya re.

Teri deed ki main pyasi Duur hui ab udaasi,
Tune mohe bara naach nachaya re,
Bari Mushkil se Panghat pe tu aya re.

Tune Bansi Bajayee Main to dauri chali ayi,
Tune Mujh ko Bara Sataya re,
Bari Mushkil Se Panghat pe tun aya re.

Tohe Jaane na main dungi tere payyian parungi,
Tune kahe yeh raas rachaya re,
Bari Mushkil se Panghat pe tu aya re.

(maine ise dubara para aur ab mujhe yeh nazam lag rahi hai)

Baaki phir se padata hun aap ka post aur ko clarification lage to poochta hun.

sanjay sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 26th January 2013 at 12:55 PM..
   
Reply With Quote