View Single Post
Old
  (#4)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
1st September 2015, 07:01 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
adaab doston...
mujhe pata hai aap sab besabri se is mahine yani september ki tasweer ka intzaar kar rahe honge ...zara sa sabra rakhein..kalam ko thame rakhein...jaisa ki aap samajh gaye honge tpt main yani ki aapki madhu conduct kar rahi hai...to rules yaad dilana bhi mera pahla kaam hai........jo ki bilkul vahi hai jo july tpt me the......

pahli aur behad zaroori baat jo aapko yaad rakhni hai...

1) aapke khayaalaat tasweer se milte hon, dhyaan rakhiye khayaal tasweer ke jitne nazdeeq honge, kalaam utnaa hi sabko attract karegaa....

2) Kalaam khud kaa likhaa huaa ho.. ham maazrat ke saath kahnaa chahenge ke kisii aur ka likha hua kalaam hame na bhejen, warna use is muqaable me shaamil na kiyaa jaaegaa.... as per the rules of TPT.

3) aapkaa kalaam kisii aur website, Facebook ya personally kisii ko bhii share naa karen, jo aap TPT me dene waale hain... aapke kalaam me takhallus ya shaayar ka naam bhi shaamil na kijiyegaa...
aur agar lady shaayraa hain to bajaay aise lafz "aatii hoon" ke "aate hain" shaamil kijiye jisse kisii bhi soorate haal me shaayr/ shaayraa ki identity leak na ho...... koshish karen ke pahle likha hua kalaam na bhejen....

4) ek member ek hi post hame bhej sakta hai...... agar us kalaam me kuch mistakes ho gayee hon to wo sudhaarii jaa saktee hain...par kalaam change nahi kiya ja sakega...

5) isme Behar ki koi bandish nahii rakhii jaa rahii hai so that any one can take part.. lekin jo behar me likhnaa jaante hain wo iska istemaal kar sakte hain....

ek akhiri aur sabse important baat...

6)apne kalam aap sirf aur sirf mujhe pm karenge yani madhu ko...
ji haan pm ke zariye bheji gayi entries ko hee qubool kiya jayega..dhyaan rakhein...aapka koi sawaal koi confusion ho to kisi aur se share na karein...mujhe pm karke pooch sakte hain...
taki voting procedure fair ho...ummeed karti hoon aap sab ko sabhi points clear honge...

to doston ye kuch batein aapke liye thi...jo shaad sahab ne july tpt me bhi kahi thi....
ab kuch batein..aapki jankari ke liye jo mujhe yaad rakhni hain...

a)tpt me main apna kalaam nahi bhej sakti..
b)na hee vote kar sakti hoon..

to der kis baat ki..tasweer hazir hai...use dekhiye mahsoos kijiye...aur fir dil me jo aaye likh kar mujhe bhej dein..

Last point, submission ka aakhri din hoga 16th September
.





to fir jaldi jaldi likhna shuru kijiye...mujhe apki tahreer ka besabri se intzaar rahega..
all d best.....
Dear Madhu

Bohut kubsoorat tasveer pesh ki hai aapne jiske liye aapko bohut bohut mubaarak.

maine ek above point ko highlight kiya hai..................

jisse main ittefaaq nahi rakhti hun. iske kuch kaaran hain..........

1. koi bhi ladka ladki ban kar likh sakta hai aur ladki ladke ki tarah feel kar sakti hai yahi to shaayar ki khaasiyat hoti hai ki woh jiske bhaav feel karta hai usi ke baare mein likhta hai. (this point takes away the freedom of expression)

2. kisi identity reveal hone ka point par bhi main aapko ye kehna chahoongi ki jab hum kisi ko padh chuke hote hain to hum bohut hadd tak andaaza lagaa sakte hain ki kisne likha hai? magar ye basis nahi hota vote karne ka agar hum aisa sochein ki log ladka ya ladki dekh kar vote karte hain to kahin na kahin hum unki prudence par sawaal uthaa rahe hain.

Aur agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.

3. Teesri baat jisne cheating karni hai aur apni identity reveal karni hi hai to uske paas bohut se aur tareeke hote hain jaise ki whatsapp facebook pm etc. to agar humne apne members par bharosa kiya hai ki wo deserving ko hi vote karenge to poori tarah se karein.

Ek baat aur kehna chahungi ki tasveer koi bhi ho "Gender Specific" hoti bhi hai aur nahi bhi. it is the way somebody reads it and I think that is the beauty of an artist how he reads it.

Meri koi baat buri lagi ho to mujhe muaaf karna magar aadat se majboor huun dil mein nahi rakhti....................


-Apki Dost
Sarika

Last edited by masti; 1st September 2015 at 07:05 PM..
   
Reply With Quote