View Single Post
Old
  (#21)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th September 2014, 01:32 AM

Aadeil bhai

aap ke khoosburat aur hairat anghez qalaam par daad doon, ki aap ke beinteha khuloos ka shukriya ada karoon, ki aap ne jo itni dariyadilee se pazeeraayee ki hai us le liye ehsaanmand ho jaaoon !!! to main n sirf ye sab bhi hoon, balki in se bhi kaheen zyada mashqoor o mamnoon hoon. Aur saath mein is qadar hairaan bhi hoon ki ek hi dil mein itna hunar aur itni mohabbat ek saath kaise bas rahi hai !!!

to bas aap ki shaan mein kuchh misre kehne ki koshish kar raha hoon, ye jaante huwe bhi ki aap ki shakhsiyat itni vishaal hai, ki ye misre suraj ko diya dikhaane ke jaise hain ...

kaho shaahon ka shah us ko faqeeron ka faqeer us ko
adab ki maano sargoshi ke aawaaz-e-zameer us ko
kamaan-e-ilm meiN jaane n teer-e-fiqr kitne haiN
nichhaavar jis pe ahl-e-bazm kehte haiN "Safeer" us ko



tah e dil se dheron daad ke saath
aap ka dost
zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote