23rd October 2015, 01:07 PM
Tumhaari yaadon ka maine ek mahal banaya hae
Aao aur aake dekho kaese maine tanha dil ko sajaya hae
Itna tadapte hain raath bhar dard e dil se
khoon se humne apne dill pe aapka chitr banaya hai,
aankhein nami si aur zindagi me kami si lagti hai
milo to sahi batayeinge humne kya khoya aur paya hai,
Ek tumhaare deedar ki hi khuwaish hae ab zindagi me
warna mouth ne har lamha darwaza khatkhataya hae
Tumhaari yaadon ka maine ek mahal banaya hae
Aao aur aake dekho kaese maine tanha dil ko sajaya hae
Sabhat khan saahab...
Last edited by sameer'shaad'; 9th November 2015 at 12:11 AM..
|