Thread: Sawaal Jawaab!
View Single Post
Old
  (#76)
Rajeev Sharma
Tere Intzaar Mein....
Rajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Rajeev Sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 1,181
Join Date: Feb 2010
Location: Ludhiana(Punjab)
Rep Power: 39
30th June 2014, 10:11 AM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Rajeevji,

aap kavitaeN bahot hi sunder likhte haiN. ghazal writing kii techniques ke baare meN ek saral samajh ke liye meN niche dii gayee link ko reference ke taur pe istemaal karta hooN..
http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...00_index.html?

shaayad aapko bhii kaam aaye

aur beher koii bahot mushkeel cheez nahi hai.. bas hum use mushkeel banaate haiN..

yuN samajhiye ki jab aap kavita likhte haiN toh usme bhale aapko kisee dhun bithane kii zarurat nahi hai, magar phir bhii ek la.ya honee zaroori hai.. jaise Bhagvaticharan Verma kii ek kavita se yeh panktiyaN..

यह हृदय की भेंट है, स्वीकार हो
आज यौवन का सुमुखि, अभिसार हो ।


aap dekh sakte haiN ki dono panktiyaN la.ya m haiN.. toh jab aap kavita likhte haiN toh aap hamesha panktiyoN ko ek la.ya meN lane ke liye ek pankti se dusree pankti ko milane kii koshish karte haiN.. iske liye aap harek akshar ko todte haiN.. not as written but as spoken (pronunciation ke hisaab se)..
jaise upar kii panktiyaN..
yeh = likha hai 'ye' + 'h', phir bhii ek hi syllable hai.
hriday = 'hri' + 'da' +'y', phir bhii syllable honge 2; 'hri' & 'day'.

bas isee tarah se taktee bantee hai...
ab jab aap inhii aksharoN ka uchchaar karte haiN toh har akshar kii length rehti hai.. jaise..
'hriday' meN, 'hri' ka uchchar chhota hai, toh beher ke liye uskii taktee chhoti hotii hai.. use aasaani se samajhne ke liye hum kahenge kii uskii taktee '1' kii hai.. aur 'day', lambi taktee hai toh hum yuN kahenge ki uskee digital taktee '2' hai. vaise; yeh numbering, failatun, tantanatan, kuch bhii use kariye, aakheer meN yeh samajhna hai ki, taktee bolte vaqt chhoti hai ya badi hai, bas.

Maine jo link dii hai use refer kariye, mere khayaal me aapka kaam aasaan ho jaayega
aadeil ji bahut bahut shukriyaa jankaari dene kaa ...........................


maNzil pr nazar rakhtaa huN
zaari apnaa safar rakhtaa huN !!

===========================


sharma.rajeev701@gmail.com
https://www.facebook.com/rajeevsharmaraj111
http://www.rajeevsharmaraj.blogspot.com/
  Send a message via Yahoo to Rajeev Sharma  
Reply With Quote