View Single Post
Ashq AankhoN Se Tapak Paday Sar-e-Shaam Dheere Dheere...!!
Old
  (#119)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Ashq AankhoN Se Tapak Paday Sar-e-Shaam Dheere Dheere...!! - 4th May 2015, 12:48 PM

ashQ aankhoN se tapak paday sar-e-shaam dheere dheere
aatish-e-ishq meiN sulag utha dil-e-badnaam dheere dheere

sar-e-shaam = about evening

nihaayat Khamooshi se hote gaye woh dil per qaabiz
nikamma yeh dil hua un ka ghulaam dheere dheere

dil-e-daghdaar ko boht naaz tha kabhi apni wafaooN per
mohabbat per bhi chaa gaya abhaam dheere dheere


abhaam = haze, uncertainness (dhundh)

hum tou samjhe the unhieN apni zindagi ki zamaanat!
woh karte rahe hamare kafan ka intizaam dheere dheere

jahan un ko dekha tha hum wohin hue panaah-guzeen
khatam ho gaye jaawani ke din tamaam dheere dheere

panaah-guzeen = refugee


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 4th May 2015 at 01:02 PM..
   
Reply With Quote