Quote:
Originally Posted by sakhi1909
mein apki last mein likhi kuch batoin se puri tarah sahmat hun.
haan sahi hai bujdil hi khudkhushi karte hai.
maut ki tamnaa rakhna alag baat hai. lekin maut ki tamnaa karna bhi tab hota hai jab koi dard apne saari hadeoin se gajr jaye phir bhi kahin koi kami na ho dard ki.
dard ka had se gujrna hai dawa ho jana, aur ye dawa hai ..mere khyaal se maut...
apne ye bhi sahi kaha ki umeedein karna bevkoofi hai.kyun ki jab ham umeed karte hai to woh hi totati hai.
umeedein karna insaan chod n ahi sakta hai kyun ki kahin na kahin koi umeed woh hamesha lagaye rakhta hai.
haan maut kabhi nirash nahi karti.
ye bhi sach hai.
sakhi with shukriya and smile.
|
aapne mera bayaan lagta hai dil se padha hai, aapko meri baatoN se ittefaaq hai iske jawaab meiN ye no nahiiN kahuuNga ke "khush huuN" go ehsaas ko jab zabaaN milti hai to kuch tassalli to zaruur hoti hai
aapke tabsire ke liye shukurguzaar huuN
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................