Thread: Zehan me rakhna
View Single Post
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
2nd July 2014, 01:29 PM

Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaaab…!Dosto Aik Ghazal Ke Chand Ashaar Pesh Hain….Ummiid hai Pasand aayen ge….

ZEHAN ME RAKHNA

Hamaray Dil Ko Hai Jo Be-Qaraari , Zehan Me Rakhna
Saraa-sar Ye Inaayat Hai Tumhaari, Zehan Me Rakhna

Tumhaaray Baad Jeenay Ka Tasawwur Hee Nahi Mumkin
Tumharay Saath Hain Saansen Hamaari, Zehan Me Rakhna

Zamanay Ke Liye JanaaN Bhalay Tum Kuch Bhi Ho Lekin
Hamaaray Waastay Dunia Ho Saari, Zehan Me Rakhna

Bhala Kab Bhool Paao Gay Bhulanay Se Mujhay Hamdam
Lahoo Ban Ke RagoN Me Hun Main Jaari, Zehan Me Rakhna

Kabhi Jo Dushman-e-JaaN Bhi Hamaara Zabt Gar Parkhay
Milay Gi Usko Hum Me Inkisaari, Zehan Me Rakhna

AHMAD ALI SHAKIL

Masha Allah bohat khoob Ahmed sahab

sabhi ashaar laajawaab hain

Yuhi likhte rahiye




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote