View Single Post
Roothe jo hum to bas Jaan le jaayenge....
Old
  (#1)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Roothe jo hum to bas Jaan le jaayenge.... - 26th May 2011, 12:37 PM

Ji .... aaj paheli baar ishq ki mahefil mai kuchh likh rahe hai ... ya yun kahe lijiye aap sab par sitam dhaane yahaan bhi aa gaye hum .....Ji hume likhna karna to nahi aata ....fir bhi kuchh post kar rahe hai ... kyon ki, Hume huqum mila hai ke Gudia ki Bachchi chup chaap is likhe ko yahaan post kar nahi to teri shaamat aayegi .... Isliye Jo bhi gadbad likha hai humne usse aap ke saamane rakh rahe hai ... Aur isme rahi har gadbad galtiyo ke liye pahele se hi maafi chaahate hai ...i hope ki jyaada shaamat nahi aayegi humaari ...


Roothe jo hum to bas jaan le jaayenge,
Dur jo gaye to saara jahaan le jaayenge,

Haath aa kar bhi jo haath na aaye kabhi,
Labon se tere wo muskaan le jaayenge,

Tum baaghbaan bhale apni bagiyan ke,
Jo roothe hum saara gulistaan le jaayenge,

Gumaan bada tumhe apni kaamraani pe,
Chale jo hum dekh saara irfaan le jaayenge,

Likh likh kar mitaate rahoge khud shabd apne,
Sang apne hum yun saare armaan le jaayenge,

Nishaan-e-baazi pe apni jaane kyon hai naaz itna,
Naino mai apne saare teer-kamaan le jaayenge,

Paas honge bas harf harf par hogi na kahaani koi,
Badhate kadamo mai saari daastaan le jaayenge,

Dil pe siqaalat aur labon pe saji khaamoshi hogi,
Jaate jaate saath apne teri zubaan le jaayenge,

Haath uthaaye duaa mai to dil mai imaan na hoga,
Dil se Yazdaan haathon se geeta-quraan le jaayenge,


Jay Ambe


------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.



  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote