Thread: nazm
View Single Post
Old
  (#20)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
10th August 2008, 12:25 PM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
tamaam dostoN ko meraa salaam!!

nazm kahnaa mere liye teRhi kheer hai (yuN to ghazal meiN bhee :tees maar khaa: naheeN huN Smiley ) .. par is baar aik apaahij naujawaan se mulaaqaat huee jiskee Hauslaa dekhte hee bantaa thaa. so aik nazm uske naam!! apne mashwaroN se nawaaziyegaa!
shukriyaa!!

================================================== ===

tiree daryaa dilii kaa shukriyaa sad_haa! magar ai dost!
apaahij huN to kyaa yeh hoNsalaa TooTaa naheeN ab tak,
sahaaraa tere kaandhoN kaa abhee mujhko naheeN darkaar,
abhee kuchh jaan baakee hai, use jee luN phir aa jaanaa!

maiN buzdil to naheeN laikin kabhee yeh aaNkh nam ho to,
maiN khud se haar jaauN aur iskaa mujh ko gham ho to,
tire kaandhe ki mujhko tab zarurat hoN to aa jaanaa,
miree him'mat kee baisaakhee agar TooTe to aa jaanaa!

mujhe rone ko teraa aik kaandhaa hee bahut hogaa,
magar ik aur bhee tujh se guzaarish hai mire pyaare,
ki ik din aur apnaa besh-qeemat waqt adaa karnaa,
woh ik pal jis pe apnaa ikhtiyaar hotaa naheeN hai tab,
ki yeh saaNsoN ki Doree jab jigar se chhuTa'tii hai tab,
tuu apne saath us pal teen kaandhe aur le aanaa,
abhee kuchh jaan baakee hai, use jee luN phir aa jaanaa!

Dheer sahab

ek lambe arse ke baad aapka ye kalam pad raha hoon... yakeen maniye ki is baat ka mujhebehad afsos hai ki main itne lambe samay se is mahfil se door kyun raha... bahut kuch badla hai yahan.... per aapki shayrii main jo painapan aur barikiya.n aayin hai sach dil khush ho gaya..... kaise tareef karoon mere pass shawd hii nahi hai.n...... bus dil se nikalii huyii daad hazir karta hoon.
ese hi hamesha likhte rahiyega.....

shukriyaa....

aapka dost dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote