View Single Post
Old
  (#61)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
12th April 2004, 06:45 AM

Kya kehne...aap sabki shukrguzaar hoon ki aap ne aakar yahan iss ghazal ko poora kiya...Kshitiz, Mayank aur Shimul...you guys have made me so happy...yoonhi aate rehna...yahan kaafiya hum mein se kuch ne thheek se nahin barta...maine bhi nahin...Sharaabi sahib hain nahin yahan...nahin tau wo hamari mushqil aasaan karte...Aur Talib Sahib kaafi busy lagte hain nahin tau unse hee madad mang sakte thhe...khair ghazal kuch iss tarah se mukkammal huyi...

yahaan radeef 'jane mein deir nahin lagti'
aur shayad kafiyaa....'al' hona chahiye thaa...
jaise kee nikal, badal...vagairah vagairah...

aankhon se aankhen ulajh jane mein deir nahin lagti
haath se dil ke nikal jane mein deir nahin lagti
-Manoj

Log kehte hai isi ulfat ko nazar ka dhoka
Nazar Nazaron se mil jaane mein deir nahi lagti
-Mast

Humne nazar milaayi bhi nahin, wo kehne lage
Chashm-e-mast se qatl hone mein jaanaa, deir nahi lagti
-paras

aaj nazar bhar ke dekh lo hume kal ho naa ho
jaan dil sse juda ho jane meiN deir nahi lagti
-Kshitiz

kaarwan e ishq kab tak ruka rahega yun "kureel"
mausam e waqt ke badal jane mein deir nahin lagti
-manoj

na hum uthate nazar, na takraati nigahein
deeda-e-teer ka asar hone mein deir nahin lagti
-paras

Kaantoo bharii raaheiN haiN manzil~e~mohabbat ki,
Dil toot jaane mai “Mayank”, yahaaN dair nahi lagtii
-Mayank

Yeh Ishq bhi ik Ibadat hai shimul...
ish Ishq mein Sajda karne mein deir nahin lagti.......
-Shimul


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote