View Single Post
Old
  (#46)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
19th October 2008, 12:21 AM

Quote:
toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut,
teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,
hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,
kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,
woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,
yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,
Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,
ki “Sunita” ko ek pardesi yaad aaye bahut
Behad khoob sunita ji...aapki is nazm ne ek arse pehle likhi nazm rubaroo kar di...ek ek sher ek kahaNii keh raha hai yahaN

tere jaane ke baad se yeh ehSaaS hua
khud ke liye bhi huye hum paraaYe bahuT

teri yaaDoN ka kabhi hum the caarvaan
ini yaaDoN mein baskar tu sataaYe bahuT

isi tarah se humhe aapne ehsaason se rubaroo karte rahiYeGaa

-aapka apNaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote