View Single Post
My first one on this forum!
Old
  (#1)
ahmadcameron
Registered User
ahmadcameron is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 6
Join Date: Dec 2018
Rep Power: 0
My first one on this forum! - 1st January 2019, 05:34 AM

This ghazal is on the qafiya of the famous ghazal by Adeem Sahab viz.,

Fasley Aisey Bi Hongey, Ye Kabhi Socha Na Tha
Samney Baitha Tha Mere, Aur Vo Mera Na Tha

So here is my humble attempt

Baat Pahunchey Gi Yahan Tak, Ye Kabhi Socha Na Tha
Yun Juda Saya Bhi Hoga, Ye Kabhi Dekha Na Tha

Khoon Ki Manind Rava’n Tha, Mere Har Goshey Mein Vo
Zakhm Kab Ka Bhar Chuka, Phir Dard Kyun Ghat_ta Na Tha

Tishnagi Har Simt Thi, Jis G’am Bhi Pahuncha Magar
Zehan Par Chaya Huva Sa, Ek Bhi Sehra Na Tha

Jhelta Phirta Hai Kyun Us Ki Jafayen, Ye Ba’ta?
“Ab Kya Kahoon Meri Nazar Mein, Vo Magar Vaisa Na Tha”

Muflisi Mein Umr Guzri, Ha’n Magar Ek Aas Par
Makhlooq To Hum Bhi They Us Ke, To Kya Khuda Sabka Na Tha

Hun Shikhar Par Dekhta Hun, Sar Nigu’n Hai Har Koyee
Phir Aainey Ye Daa’g Mera, Kya Sabab Jata Na Tha


Dec 3, 2018
Brampton ON
   
Reply With Quote