View Single Post
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal
Old
  (#4)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal - 30th April 2006, 07:33 AM

Vaise kam hi padhne ko milta hai aapka par jab bhi milta hai ....padhne mein maza aa jata hai


"voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab"


Ye sher kuch jayada hi acha laga.... vaise sabhi sher bohat
ache hai lekin jaha naye khayal dikhte hai mujhe waha kincha chala jata hu.....ye sher alag laga....


Aur ishe padhkar Meri Fav. Abida jee ki gazal yaad aa gayi vaise aapki gazal kaafi alag lekin "tamaam shab" dekhar vaisi lagi


"Aapki yaad aati rahi raat bhar
Chandni dil dukhti rahi raat bhar "


Yahi umeed hai hamein aapka likha jalad hi aur padhne ko milega


Shukriyah



Quote:
Originally posted by maikasH
dostoN ki shikayat thi ke maikash miyaaN aap kuch post nahiiN karte to ek taaza Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN, ummiid hai ke kam se kam paras aur pulkit saahab ko ab koi gilaa na rahega

mulaii'zaa farmaayeN :-


matla pesh-e-khidmat hai :-

1.
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

*tam'aam shab = saari raat


2.
kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
humne charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab


3.
aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab


4.
hoti rahi barsaat aaNsuuyoN ki saari raat
baadal GhamoN ke dil pe the chhaye tam'aam shab


5.
raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab


6.
zaalim hai teri tara'h, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab


7.
voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab


8.
kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab


ab maqta haazir hai :-

9.
"maikash" likhi gayi nahiiN hai yuuN hi yeh Ghazal
kaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


apni aara se zaruur nawaazeN

rab raakha
maikash


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote