View Single Post
Old
  (#11)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
1st September 2015, 11:17 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post

Dear Madhu

Bohut kubsoorat tasveer pesh ki hai aapne jiske liye aapko bohut bohut mubaarak.

maine ek above point ko highlight kiya hai..................

jisse main ittefaaq nahi rakhti hun. iske kuch kaaran hain..........

1. koi bhi ladka ladki ban kar likh sakta hai aur ladki ladke ki tarah feel kar sakti hai yahi to shaayar ki khaasiyat hoti hai ki woh jiske bhaav feel karta hai usi ke baare mein likhta hai. (this point takes away the freedom of expression)

2. kisi identity reveal hone ka point par bhi main aapko ye kehna chahoongi ki jab hum kisi ko padh chuke hote hain to hum bohut hadd tak andaaza lagaa sakte hain ki kisne likha hai? magar ye basis nahi hota vote karne ka agar hum aisa sochein ki log ladka ya ladki dekh kar vote karte hain to kahin na kahin hum unki prudence par sawaal uthaa rahe hain.

Aur agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.

3. Teesri baat jisne cheating karni hai aur apni identity reveal karni hi hai to uske paas bohut se aur tareeke hote hain jaise ki whatsapp facebook pm etc. to agar humne apne members par bharosa kiya hai ki wo deserving ko hi vote karenge to poori tarah se karein.

Ek baat aur kehna chahungi ki tasveer koi bhi ho "Gender Specific" hoti bhi hai aur nahi bhi. it is the way somebody reads it and I think that is the beauty of an artist how he reads it.

Meri koi baat buri lagi ho to mujhe muaaf karna magar aadat se majboor huun dil mein nahi rakhti....................
Quote:
Originally Posted by masti View Post
[COLOR="Blue]Meri sabse haath jod kar vinti hai ki iss baat par koi arguments na karein. maine jo feel kiya woh aap logo.n se apna samajh kar share kiya. mera iraada kisi bhi tarah se SDC ka mahol kharaab karne ka nahi hai.

AAP sab Moderators aapas mein discuss kijiye aur apna nirnaye lijiye iss rule ke baare mein. agar aapko mere tarq theek lagein to apnaiye aur agar nahi to sirf yahi likh dijiyega ki aisa nahi ho sakta baat khatm.

Ek vinti hai ki iss baat ko kisi bhi tarah se argument ka mudda na banaiyen aur personal comments avoid kijiye agar ho sake to....".[/COLOR]

dear sarika...khushi huyi ki tasweer pasand aayi aapko....
aur is baat ki bhi khushi huyi ki aapne apne vichaar apne khayaal hamare sath baante....aapki har ek baat ka swagat karti hoon main...
as a member koi bhi apne feedback apne doubts rakh sakta hai...

sirf itna hee kahna chahoongi ki jab bhi koi rule banta hai ya aap sab ke samne rakha jata hai..vo sdc ki behtari ko dekhte huye aur sabhi members ki suvidha ke liye hee hota hai...

yahaan bhi intention yahi tha...july tpt me bhi rules sabki ray se hee bane the...aaj agar us mudde par dubara baat karne ki zaroorat mahsoos ho rahi hai..to sabhi milkar baat karenge..aur jo bhi decisions hoga modsteam ka...uske hisaab se zaroori changes kiye jayenge....

aap ek achchi shayra hone ke sath ek achchi dost bhi hain mere liye...meri kisi bhi baat se apko takleef pahunchi ho to dil se muafi ki talabgaar hoon.

(agar apko ya kisi bhi aur shaqs ko aisa lagta hai ki iss basis par voting hoti hai to main pichli baar ke contest se apni entry hataa deti hun kyunki us waqt ye rule nahi tha magar kisi ne muijhe sirf ladki hone ki wajah se vote diya hain to ye mujhe naagavaar hai usse main haarna pasand karungi.)

is tarah ke khayaal apne zahan me na laayein yahi chahoongi main.....

khush rahiye...
aati rahiye....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote