View Single Post
Old
  (#25)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
19th July 2014, 11:50 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
doston azizon ko shaad ka aadaab....

Aap sab ke bharpoor saath aur sahyog ke liye main aur tamaaam sdc team aap sab ki shukrguzaaar hai... Aapne jis josh o khuloos ke saath is baar tpt me hissaa liyaa wo kaabile tareef rahaa... Aur aap sab badh chadh kar aaage aaye isme hissa liye bahot fakhr aur khushii ki baat hai ham sab ke liye...

Aur aaj jaise ke ye competition khatm ho rahaaa hai aur results jiska aap besabrii se intzaar kar rahe they use bataane ka waqt aa gayaa hai..

To is baar jaisaa ke hamne decide kiyaa thaa is baar do winners choosse kiye gaye hain :

1) public choice (through polling)

2) critic choice ( through judges)


to polling thread kaa result saamne aa raha hai doston...


Aur public choice (polling) ke vijetaa hain... hassan saahab....

Aur unki ghazal hai...

tumhari shohrat ko awaazaa na karenge
sitam seh lein ge, tamashaa na karenge

awaaza: Report about reputation.

Bhale talkh lafzon ke nishtar barsaao
zubaan per uff magar laayaa na karenge

wo phool sa khilta hai raqeebon ke darmiyaan!
Hum door se dekhen ge, paas jayaa na karenge

khoo un ki jo thehri hai boht sard mizaaji
hum wehshat-e-ishq ke lahaq, takazaa na karenge

khoo: Habit
lahaq: Used to

khaar hi khaar kyun na rakh do hamari raah per
zakhm khud seenchen ge, dikhayaa na karenge

apne ashkon ko samjhaa liya hai aaj saahil per!
Badal jo hain barasne ko, woh ab barsaa na karenge



hassan saahab aapko team sdc ki taraf se bahot bahot mubaarakbaad......
Ham duaa karte hain ke aapke kalam ka zor yunhi badhta rahe chadhtaa rahe......


Aap sabhi ummeedwaaron ko ek baar fir se tahe dil se shukriyaa aur mubaarakbaad...

Aapka dost

shaad....



तलब मौत की करना गुनाह है ज़माने में यारो,
मरने का शौक है तो मुहब्बत क्यों नहीं करते !!

**********
बडी खामोशी से भेजा था गुलाब उसको !
पर खुशबू ने शहर भर में तमाशा कर दिया !!

**********
क्या लिखूं क्या न लिखूं आरजू मदहोश है,
आंसू गिरते पन्नों पर और कलम खामोश है.!

कभी गर्मी कभी सर्दी ये कुदरत के नज़ारे हैं,
प्यास उनको भी लगती है जो दरिया किनारे हैं!!

**********
हर एक लकीर, एक तजुर्बा है जनाब;
झुर्रियां चेहरों पर, यूँ ही आया नही करती….!!

**********


Anil Arora

Naulekahe par tere khoon ki boond hai,
Motiyo ki jagah par jada kaun hai,
Jiski khatir daga chandini se kare,
Puch suraj ki woh dilruba kaun hai?
   
Reply With Quote