 |
|
|
|
|
|
|
 |
|
|
ansoon aur muskan....
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 25
|
siyasat banam politics.....!!!!! -
9th May 2004, 12:50 PM
shatranj ki bisaton ka raaj hai kuch itna gehra
koi phenkey pasey to koi bana hai khud mohra
kisko phikr hai kiski yahan sabhi iskey bane gulam
kaun jeetega is jung mein,kaun khayega jakhm gehra
bhookh garibi aur tabahi ka shor hai charon or
kitna saaf kerey koi,,bhara hua dagon se chehra
kaun suney muflis ki aheyin kaun dekhey lutey gharbaar?
khud ka ghar daulat se bhara hoto kaun lagayega phera
"FEEL GOOD" aur "INDIA-SHINING" sab bateyin char din ki
hath mein ayi baji to,ban jayein aandha behra
sabko daga inhone di hai,,ab desh ki hai bari
awaz ger buland ho "sona" ye ban jatey hain pehra
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: siyasat banam politics.....!!!!! -
9th May 2004, 01:12 PM
shatranj ki bisaton ka raaj hai kuch itna gehra
koi phenkey pasey to koi bana hai khud mohra
kisko phikr hai kiski yahan sabhi iskey bane gulam
kaun jeetega is jung mein,kaun khayega jakhm gehra
bhookh garibi aur tabahi ka shor hai charon or
kitna saaf kerey koi,,bhara hua dagon se chehra
kaun suney muflis ki aheyin kaun dekhey lutey gharbaar?
khud ka ghar daulat se bhara hoto kaun lagayega phera
"FEEL GOOD" aur "INDIA-SHINING" sab bateyin char din ki
hath mein ayi baji to,ban jayein aandha behra
sabko daga inhone di hai,,ab desh ki hai bari
awaz ger buland ho "sona" ye ban jatey hain pehra
swati ji
bahoot khoob....ek alag aur achi koshish ki hai aapne,,,,bahoot acha laga padh kar,,,, siyasat ke "safed" naqaabon ke peeche chupe "kaale" chehre ko dikhaya hai aapne,,,,sachai chupi hai aap ke kalaam mein,,aur jis kalaam mein sachai ho,,wo sada dil ke kareeb lagta hai....bahoot khoob...hamari daad kubool kijiye,,apna kahayl rakhiye...
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
|
12th May 2004, 08:26 AM
Hello Swati..
tumhein pehli baar padha...bahut achha laga...
"FEEL GOOD" aur "INDIA-SHINING" sab bateyin char din ki
hath mein ayi baji to,ban jayein aandha behra
mujhe yeh panktiyaan tau khoob lagin...waise saari ki sari kavita hee prashansniye hai...aur uske peeche chupe jazzbaaton ka tau kehna hee kya...main Bharat se duur hoon, lekin bharat meri ragon mein basa hai...aur main sab gati vidiyaan duur se hee dekhti rehti hoon...bahut afsos hota hai yeh sab dekh kar...
lekin yadi ham yuva logon ko kuch kar dikhane ka mauka dein tau bharat mein kaafi tabdiliyaan aa sakti hain...kya vichaar hai tumhaara iss bare mein..
phir milti hoon...paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
ansoon aur muskan....
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 25
|
hello -
13th May 2004, 04:31 PM
hello paras ji
apke vichar sunker bahuthi accha laga....
hum kahin bhi ho,,per jis mitti mein hum paley bare hue hotey hain,,uske sanskar aur ahmiyat humse kabhi door nahi hoti,,
apne kaha ki yadi yuva logon ko hum mauka dey to,,accha hoga ...sach hai,,kyuki yuva hi jin samasyon ko jhel rahey hain unki door kerne ki koshish ker saktey hain,,,
rahi meri rachna,,,man kafi udas hota hai,,dekhker jab apni akhaon ke samne hi apna jahan lutta pitta dikahyi dey...!
apka bahut hi shukriya,,,,
swati
|
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |