Quote:
Originally Posted by ashiq awara,
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
Dekh Lo Khwaab Magar Khwaab ka Charcha Na Karo
Log Jal jaayenge Sooraj ki Tamanna na karo
Waqt Ka kya hai kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho sake tum se to tum mujhpe bharosa na karo
Khirkiyan Toote Huey Aks ki Chubh Jayengi
Aur kuch Roz Abhi Aaiina Dekha na karo
Ajnabi lagne lage khud tumhen Apna Wajood
Apne din Raat ko itna Bhi Akela na Karo
khwaab Bachhon ke khilono ki tarah hote hain
khwaab Dekha na karo,khwaab dikhaya na karo
Be-khayalee mein kabhi ungliyan Jal jayengi
Raakh guzre huey Lamhon ki kuredaa na Karo...
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
|
really nice sharing................
