 |
|
|
|
|
 |
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
Ghazal:dil lagaa muurat se leNge ess kadar sochaa nah thaa -
29th March 2007, 08:16 PM
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
******************************************
dil lagaa muurat se leNge ess qadar sochaa nah thaa
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
ho gee ranj-o-Gham meN hee shaam-o-saHar, sochaa nah thaa
zindagee aise bhee hotee hai basar, sochaa nah thaa!
un ke har wa'deh peh ham ne Khaak Khud ko kar diyaa
apne wa'doN se woh jaaYeN ge mukar, sochaa nah thaa!
woh jafaa karte haiN, phir kehte haiN ham ko bewafaa
aise bhee hote haiN ustaad-e-hunar, sochaa nah thaa!
kyaa kamii thee dosto, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar sochaa nah thaa!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
dam ba dam marna paDegaa umr bhar sochaa nah thaa!
hai kahaanee zindagee kee muKhtaSar "Ghafil" magar
ho gaa t^ai saaloN meN lamHoN kaa safar, sochaa nah thaa
dil lagaa murat se leNge ess kadar sochaa nah thaa!
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
ustaad-e-hunar: boss of talent
Last edited by Mayank; 14th January 2009 at 08:10 PM..
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 36
|
30th March 2007, 12:54 AM
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadeh se mukar socha na tha!
ye sher to kamal ka raha...
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha
mayank bahut khub likha hai apne hamesha ki tarah..meri daad kubul karna
apna khyaal rakhnaa
sakhi
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th April 2007, 02:05 PM
Quote:
Originally Posted by sakhi1909
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadeh se mukar socha na tha!
ye sher to kamal ka raha...
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha
mayank bahut khub likha hai apne hamesha ki tarah..meri daad kubul karna
apna khyaal rakhnaa
sakhi
|
Sakhi,
kaisi haiN aap? ummmeed hai kii achchhi hoNgii.... . aap ka tah-e-dil se Shukriya jo aap waqt nikal kar Ghazal ko paRha aur pasand kiya.... aap ki daad sar aaNkhoN par huzuur.. yuuN hi aati raheN...
Mayank
|
|
|
|
|
Adhoori Aas
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 33
|
30th March 2007, 08:35 AM
jaanb mayank sahab
namaskar
kaise hain janab
aaj kafi smaay baad aapko pada aur yakeen maniye apne aap per lanat bhejne ka man kar raha hai ki kyun main itne dino yahan se door raha........
kya kahoon main aapki is gazal ke bare main bus yu.n samajh lijiye kii ek ek sher ek se badkar ek hai or waah nikalwane ke liye kafii hai........
dil lagaayeNge murat se ess kadar socha na tha!
hoga daaman bhii ye aaNsuuooN se tar socha na tha!
waah kya aagaz hai ...........
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadeh se mukar socha na tha!
kamal hai waah.......
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii 'saaHeb-e-hunar' socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha!
is hushn walo.n ki na poocho mayank sahab na jene ye kya kya sitam karte hai.n
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
ufffffffff ek dam sahi kaha hai janab bahut badiyaaaaa.........
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
maqta kamal ka likha hai janab
poore kepoore kalam per dil se daad haizr hai kabool farmaiyega
shukriyaa
dilip
" Dilip " -Ek Adhoora khwab
Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th April 2007, 07:15 PM
Quote:
Originally Posted by dilip200
jaanb mayank sahab
namaskar
kaise hain janab
aaj kafi smaay baad aapko pada aur yakeen maniye apne aap per lanat bhejne ka man kar raha hai ki kyun main itne dino yahan se door raha........
kya kahoon main aapki is gazal ke bare main bus yu.n samajh lijiye kii ek ek sher ek se badkar ek hai or waah nikalwane ke liye kafii hai........
dil lagaayeNge murat se ess kadar socha na tha!
hoga daaman bhii ye aaNsuuooN se tar socha na tha!
waah kya aagaz hai ...........
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadeh se mukar socha na tha!
kamal hai waah.......
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii 'saaHeb-e-hunar' socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha!
is hushn walo.n ki na poocho mayank sahab na jene ye kya kya sitam karte hai.n
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
ufffffffff ek dam sahi kaha hai janab bahut badiyaaaaa.........
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
maqta kamal ka likha hai janab
poore kepoore kalam per dil se daad haizr hai kabool farmaiyega
shukriyaa
dilip
|
Dilip saaaHeb,
Namaskaar:
Ham to Theek hi haiN huzuur, ummeed hai kii aap bhii maze meiN hoNge... Ghazal kii pasandagii ke liye tah-e-dil se Shukriyah! aap ne hamaari ess saadi Sii Ghazal par jis DhanGh se daad dee hai paRh kar behad KhuShi huii .. aur aap ke ess daad ke badle meiN ham ek Shukriyah ke alaawah aur kuchh nahiiN kah sakte.. to kam-az-kam yeh Shukriyah to qubool kar hii leejiye... Ummeed hai aage bhii ham yuuN hii aap sab ke saath waqt yahaaN guyzarta rahega..
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 22
|
30th March 2007, 12:40 PM
hi mayank ji
kese ho aap?
aapko hamra sadar paranaam
aap apni is ghazal ko saadi keh rahe ho par hamare liye to ye ek badi hai umdi rachna hai aapki taraf se
is rachna pe to mein daad dena chahta hu daad kabuliyega dost
aapne jis khubsurati se apne ehsaason ko bayan kiya hai wo bahut hi badhiya hai aur har panktike aakhir mein jo aapne kaha hai socha na tha wo puri hi rachna ko ek bhar sa deta hai
aap sahi mein kamal ka likhte ho yaha
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha!
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
khas karke aapki ye lines hamein behad pasand aayi hai
dost ese hi mehfil sajate reahiyega
aapka dost
Merul
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
dil lagaayeNge murat se ess kadar socha na tha!
hoga daaman bhii ye aaNsuuooN se tar socha na tha!
hogii ranj-o-Gham hii meiN socha na tha!
zindagii bhee aise hotii hai basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadeh se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii 'saaHeb-e-hunar' socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : aatank waadi
mukhatasr: small
saaheb-e-hunar: boss of talent
|
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!
Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.
Merul~~~~~~~~~~>
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,555
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 61
|
30th March 2007, 04:40 PM
mayank bhaiya namskaar ,
kaise haiN aap? hmm aap to always achHe hi hote haiN sahi haina?
bhaiya bahot hi khusHii hui aapki is dilkasH ghazal ko deKH ke bazm meiN ..aapne aaj mauka de hi diya apni tehreer se ru-b-ru hone kaa ..aap to har baar kamaal ka liKhte ho isme koii shaq nahiN..aur is baar to gazab kar diya aapne meHfil meiN..aur bhaiya ghazal ka agaaz to baRaa hi kamaal ka rahaa.. mazaa aa gaya ek baar fir se yahaaN usko pesH karta huN
dil lagaayeNge murat se ess kadar socha na tha!
hoga daaman bhii ye aaNsuuooN se tar socha na tha!
ehsaasoN ko lafzoN ke zar'iiye bahot hi khoob pesH kiye haiN ..dil se niklii daad ko kubul kijiyenGa achHaa lagaa aapko paRH ke aur kuch seeKHne ko bhi milaa
apnaa khayaal rakheN aur khusH raheN
duaoN ke saath ijaazaT
aapka dost
dhaval
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th April 2007, 07:17 PM
Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you
mayank bhaiya namskaar ,
kaise haiN aap? hmm aap to always achHe hi hote haiN sahi haina?
bhaiya bahot hi khusHii hui aapki is dilkasH ghazal ko deKH ke bazm meiN ..aapne aaj mauka de hi diya apni tehreer se ru-b-ru hone kaa ..aap to har baar kamaal ka liKhte ho isme koii shaq nahiN..aur is baar to gazab kar diya aapne meHfil meiN..aur bhaiya ghazal ka agaaz to baRaa hi kamaal ka rahaa.. mazaa aa gaya ek baar fir se yahaaN usko pesH karta huN
dil lagaayeNge murat se ess kadar socha na tha!
hoga daaman bhii ye aaNsuuooN se tar socha na tha!
ehsaasoN ko lafzoN ke zar'iiye bahot hi khoob pesH kiye haiN ..dil se niklii daad ko kubul kijiyenGa achHaa lagaa aapko paRH ke aur kuch seeKHne ko bhi milaa
apnaa khayaal rakheN aur khusH raheN
duaoN ke saath ijaazaT
aapka dost
dhaval
|
Hello Dhaval:
haaN sahii kaha kii maiN hamesha achchha hii rehta huuN... Bas, kahna paRta hai kii achchha huuN.. kyoN kii agar waqaii haal bataane lag jaayeNge to phir shaayad Ghalti se bhii koii na puuchhe gaa kii 'mayank jee aap kaise haiN " hahahah.. hai na?
Kaafi dino se kuchh likha na thaa es sliye kuchh likhna zaruuri tha..  aur fikr karne baiTha to yeh Ghazal ho gayee... waise bhii yeh Ghazal maah bhar pahle likhi huii hai.. lekin waqt kii tang haali ke liye yahaaN post nahiiN kar paaya..
Khair, Ghazal kii aap ne jis dariya-dili se taariif kee hai us ke liye SHukjriyah ka lafz kam hai.. lekin ess se zeyaadah maiN aap ko kuchh de nahiiN sakta..  aap kii dili daad hame tah-e-dil se qubuul hai.. yuuN hii aate raho..
Mayank
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 65
|
10th April 2007, 12:34 PM
mayank ji namaskaar
kaise hain aap.....bahut dino baad aaj jaha aana hua hai, aur koshish hai ki sab ki shayri aaj hi pad dalun...
aapki shayri padna shuru se hi pasand hai, yeh gazal bhi badiya ban paye hai...har sher umda hai.
aapki dost
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 32
|
10th April 2007, 11:49 PM
hogii ranj-o-Gham hii meiN shaam-o-Sahar socha na tha!
zindagii bhee hotii hai aise basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii saaHib-e-hunar socha na tha!
bohat zaberdast mayank sahib bohat acha likha hai khas tor per uper wale ashaar bohat achay hain
Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
22nd April 2007, 12:01 PM
Quote:
Originally Posted by koi to ho
hogii ranj-o-Gham hii meiN shaam-o-Sahar socha na tha!
zindagii bhee hotii hai aise basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii saaHib-e-hunar socha na tha!
bohat zaberdast mayank sahib bohat acha likha hai khas tor per uper wale ashaar bohat achay hain
|
Dear K,
welcome back! Ghazal kii pasandagii ke liye tah-e-dil se Shukriyah!aap ko kuchh a'Shaar khaas taur par pasand aaye ess liye maiN aap ka khaas taur par SHukriya ada karta huuN..  yuuN hii aati raheN bazm meiN..apna Khayaal rakhiye...
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
21st April 2007, 05:34 PM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
mayank ji namaskaar
kaise hain aap.....bahut dino baad aaj jaha aana hua hai, aur koshish hai ki sab ki shayri aaj hi pad dalun...
aapki shayri padna shuru se hi pasand hai, yeh gazal bhi badiya ban paye hai...har sher umda hai.
aapki dost
|
Sunita jee:
Namaskaar!
aap ne aate hii hamaare Ghazal par niigaah daali aur Ghazal ko pasand kiya ess ke liye tah-e-dil se Shukriyah!ummeed hai aap aage bhii ess forum ke liye waqt nikaalti raheNgii...
Shukriyah!
Mayank
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 65
|
28th April 2007, 01:40 PM
Quote:
Originally Posted by Mayank
Sunita jee:
Namaskaar!
aap ne aate hii hamaare Ghazal par niigaah daali aur Ghazal ko pasand kiya ess ke liye tah-e-dil se Shukriyah!ummeed hai aap aage bhii ess forum ke liye waqt nikaalti raheNgii...
Shukriyah!
Mayank
|
mayank ji es forum ke liye waqt jaroor nikala karungi....actually pichley dino kuch jayada busy rahi...so kum aa pati thi....ab regular aa rahi hoon hazoor.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 36
|
2nd August 2007, 11:12 AM
Quote:
ho gee ranj-o-Gham meN hee shaam-o-saHar, sochaa nah thaa
zindagee aise bhee hotee hai basar, sochaa nah thaa!
un ke har wa'deh peh ham ne Khaak Khud ko kar diyaa
apne wa'doN se woh jaaYeN ge mukar, sochaa nah thaa!
kyaa kamii thee dosto, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar sochaa nah thaa!
|
Aadaab ar^z!!
taajjub ki baat hai ki abhii tak is'pe naz'r gayii kyoN nahii! bahut hii umdaa likhaa hai Mayank saHeb  ..ek achchhii gazal ke ye chand ashaar bahut hii pasand aaye!! mubarak hoN!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
2nd August 2007, 12:26 PM
[quote=dheer;241543]Aadaab ar^z!!
Aadaab arz hai dheer saahab,
Kaise mizaaj haiN aap ke? ummeeed hai ba-Khair hoNge...
huzuur der aaye durust aaye, aap ki nazr ess ghazal par padfee yehii bahuut hai.. izzat aur hausilah afzaayi ke liye tah-e-dil se shukriyah.. agli baar koshishh rahegii kii aap ko chand aas'haar nahiIN balki puuri kii puurii Ghazal dil ko bhaaye 
Daad aur mubaarak baad ke liye tah-e-dil se shukriyah!
Mayank
Last edited by Mayank; 16th April 2008 at 03:53 PM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
5th April 2007, 07:16 PM
Quote:
Originally Posted by Merul
hi mayank ji
kese ho aap?
aapko hamra sadar paranaam
aap apni is ghazal ko saadi keh rahe ho par hamare liye to ye ek badi hai umdi rachna hai aapki taraf se
is rachna pe to mein daad dena chahta hu daad kabuliyega dost
aapne jis khubsurati se apne ehsaason ko bayan kiya hai wo bahut hi badhiya hai aur har panktike aakhir mein jo aapne kaha hai socha na tha wo puri hi rachna ko ek bhar sa deta hai
aap sahi mein kamal ka likhte ho yaha
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaaYeNge ghadar socha na tha!
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
khas karke aapki ye lines hamein behad pasand aayi hai
dost ese hi mehfil sajate reahiyega
aapka dost
Merul
|
Merul jee:
Namaskaar! Huzuur rachana ko ham ne ess liye saadi kaha hai kii kyoN kii ham ne likhen ke baad ess par bohat zeyaadah ghaur nahiiN kiyaa..aur ess liye Ghazal itni achchhi na ban paaye jitni ban.nii chaahiye.. lekin ham bhii kya kareiN, kaam ke chakkar meiN kuchh ess tarah uljhe huye the kii waqt hii na mila.. Khair.. ab kuchh kaam se faarigh huye haiN to sochaa kii aap sab se 2-2 baateiN kar lee jaaye..  ess liye yahaaN haazir ho gaya huuN...
Ghazal kii pasandagii kii liye aap ka tah-e-dil se Shurkiyah! yuuN hii ate raheN..
Mayank
|
|
|
|
|
Mai shayar to nahi
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 22
|
12th April 2007, 03:57 AM
aadab mayank ji,umeed hai aap khairyat se honge.
aapka kalaam saadah sahi par pur-asar rahha.har sher acha laga,
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii 'saaHeb-e-hunar' socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
yeh ashaar bahut pasand aaye,sacchaayi ke bahut kareeb mehsoos hue.matla to behad pasand aaya.
bas yehi dua hai ke aap yunhin likhte rahen hamesha aur is se bhi behtar likhen.
khush rahen,tc,
bye.
yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??
--akelijaan--
Last edited by akelijaan; 12th April 2007 at 03:59 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
20th May 2007, 01:22 PM
Quote:
Originally Posted by akelijaan
aadab mayank ji,umeed hai aap khairyat se honge.
aapka kalaam saadah sahi par pur-asar rahha.har sher acha laga,
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii 'saaHeb-e-hunar' socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar-e-zindagii tou mukhtasar lekin :mayank:
saalo mein tay hoga lamhaa-e-safar socha na tha!
yeh ashaar bahut pasand aaye,sacchaayi ke bahut kareeb mehsoos hue.matla to behad pasand aaya.
bas yehi dua hai ke aap yunhin likhte rahen hamesha aur is se bhi behtar likhen.
khush rahen,tc,
bye.
|
Sara jee:
Aadaab!
Kaisii haiN aap? ummeed hai ba-Khairiyat hoNge..
Ghazal ke chand Sher aap ne pasand kiye jaan kar behad khushii huii... aap ne ess haqeer koShiSh ko saraaha ess ke liye meiN tah-e-dil se Shukr-guzaar huuN.. Matle kii pasandagii ke liye ek baar phir se Shukriyah!
Agar aap kii duaa hai ki maiN ess se behtar likhuuN to yaqeenan aisa hii hoga.. aap apna Khayaal rakhiye...
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 35
|
12th April 2007, 06:28 PM
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
hogii ranj-o-Gham hii meiN shaam-o-Sahar socha na tha!
zindagii bhee hotii hai aise basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii saaHib-e-hunar socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar ess zindagii ka mukhtasar lekin :mayank:
hoga tay saalo mein lamhaa-e-safar socha na tha
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
saaheb-e-hunar: boss of talent
|
Mayank Bhai...
Behad khoobsoorti se aapne ehsaas ko shabdon me dhaala hai..
Dard aur pyar se tarbatar yeh ghazal behad pasand aayi..
Daad kubool keejiye..
Take Care..
~Priya
"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
20th May 2007, 01:25 PM
Quote:
Originally Posted by chaahat
Mayank Bhai...
Behad khoobsoorti se aapne ehsaas ko shabdon me dhaala hai..
Dard aur pyar se tarbatar yeh ghazal behad pasand aayi..
Daad kubool keejiye..
Take Care..
~Priya
|
Priya Behna,
Kaisi ho? TumHe Ghazal pasand aayee.. jaan kar behad Khushii huii....
YuuN hii bazm meiN aati raho... jawaab dene meiN der huii, ess ke liye ma'azrat. apna Khayaal rakkho... fursat meiN phir baat hogii...
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,272
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 39
|
23rd May 2007, 01:23 PM
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
hogii ranj-o-Gham hii meiN shaam-o-Sahar socha na tha!
zindagii bhee hotii hai aise basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii saaHib-e-hunar socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar ess zindagii ka mukhtasar lekin :mayank:
hoga tay saalo mein lamhaa-e-safar socha na tha
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
saaheb-e-hunar: boss of talent
|
hi Mayank ji
apki har ghazal ki tarah yeh ghazal bhi bahut achhi lagi...
sochti hoon aapse toutions le loon... urdu ke liye
thore shabd jo hai na.. sar se udd jaate hai.... khikhikhikhikhikhikhi
likhte rahiye
take care
bye
SHWETA
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
|
|
|
|
|
Yaadon ka!
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 47
|
23rd May 2007, 03:59 PM
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
yeh sher hume khaas pasand aaye...waise to puri ghazal hi behtereen hain..   waise aapki izzazat ho to kuch add kar du.....agar kuch galat sulat likh diya ho to bata dijeyega......
Mera tera saath tha jeevan bhar ka
tu itni jald saath chod dega...socha na tha
sapna yu_uN tuteGa raat ka... socha na tha
Haqeeqat ka yu_uN hoga samna...socha na tha
take care...
mausam
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
15th July 2007, 11:29 AM
Quote:
Originally Posted by mausam
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
yeh sher hume khaas pasand aaye...waise to puri ghazal hi behtereen hain..   waise aapki izzazat ho to kuch add kar du.....agar kuch galat sulat likh diya ho to bata dijeyega......
Mera tera saath tha jeevan bhar ka
tu itni jald saath chod dega...socha na tha
sapna yu_uN tuteGa raat ka... socha na tha
Haqeeqat ka yu_uN hoga samna...socha na tha
take care...
mausam
|
Mausam..
Ghazal aap ko kisi kaam ka laga aur aap ko pasaand aayii jaan kar behad achchha laga... aap ko add karne ke liye ijaazat kii zaruurat nahiiN hai... aap puuchhe bina bhii add kar sakti haiN waise bhiii aap kii add kii huii lines ZABARDAST hai 
Take care
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
15th July 2007, 11:23 AM
Quote:
Originally Posted by kuhulika
hi Mayank ji
apki har ghazal ki tarah yeh ghazal bhi bahut achhi lagi...
sochti hoon aapse toutions le loon... urdu ke liye
thore shabd jo hai na.. sar se udd jaate hai.... khikhikhikhikhikhikhi
likhte rahiye
take care
bye
|
Dear Shweta:
maiN shukr-guzaar huuN kiiii aap ko yeh Ghazal 'bhiii' pasand aayii.... ummeed hai aap-0 hame yuuN hi paRhti raheNgi.... Toutions ka time maiN aap ko baad meiN bataata huuN
Mayank
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 35
|
15th July 2007, 11:28 PM
Namaste bhaiya,
Aaj aa hi gai aapki post pe . Aapko bahot waqt baad padhaa maine, puraani gazal hai, lekin hai laajavaab. Bahot pasand aai bhaiya.
Quote:
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
|
Ye sher bahot pasand aya.
Yu.N hi likhte rahiye.
Grazie
Aapki
Pooja
===========Deepika=========== Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
28th July 2007, 07:42 PM
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 12
Join Date: Jul 2007
Location: New Jersey
Rep Power: 0
|
Hey Buddy -
16th July 2007, 12:18 AM
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
hogii ranj-o-Gham hii meiN shaam-o-Sahar socha na tha!
zindagii bhee hotii hai aise basar socha na tha!
un ke har waade pe hamne khaak khud ko kar diya
JaaYeNge lekin woh waadoN se mukar socha na tha!
woh jafaayeN karte haiN aur kahte ham ko, bewafaa!
hote haiN aise bhii saaHib-e-hunar socha na tha!
kyaa kamii thee dostoN, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar socha na tha!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
hotii hai qistoN meiN hii maut umr bhar socha na tha!
hai safar ess zindagii ka mukhtasar lekin :mayank:
hoga tay saalo mein lamhaa-e-safar socha na tha
dil lagaa murat se leNge ess kadar socha na tha!
hoga aShkoN se hii daaman tar-ba-tar socha na tha!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
saaheb-e-hunar: boss of talent
|
Hey buddy aap bahot hi achcha likhate ho really very touching and feelingfull.
meri ek request hai aapne jo reply Loveforgudia ki post "ae zindagi kuch pal ke liye zara thaherja" pe kiya hai uaspe maine kuch likha hai gar ho sake to padhlena plz. aur hume apke reply ka intezar rahega.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
28th July 2007, 07:44 PM
Quote:
Originally Posted by Deewana Uaska
Hey buddy aap bahot hi achcha likhate ho really very touching and feelingfull.
meri ek request hai aapne jo reply Loveforgudia ki post "ae zindagi kuch pal ke liye zara thaherja" pe kiya hai uaspe maine kuch likha hai gar ho sake to padhlena plz. aur hume apke reply ka intezar rahega.
|
Ghazal kii pasandagii ke liye tah-e-dil se Shurkiyah huzuur!
-Mayank
|
|
|
|
|
DIL KI BAAT DIL TAK
Offline
Posts: 1,188
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 38
|

29th July 2007, 12:10 PM
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
******************************************
dil lagaa muurat se leNge ess kadar sochaa nah thaa
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
ho gee ranj-o-Gham meN hee shaam-o-saHar, sochaa nah thaa
zindagee aise bhee hotee hai basar, sochaa nah thaa!
un ke har wa'deh peh ham ne Khaak Khud ko kar diyaa
apne wa'doN se woh jaaYeN ge mukar, sochaa nah thaa!
woh jafaa karte haiN, phir kehte haiN ham ko bewafaa
aise bhee hote haiN ustaad-e-hunar, sochaa nah thaa!
kyaa kamii thee dosto, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar sochaa nah thaa!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
hai kahaanee zindagee kee muKhtaSar "Ghafil" magar
ho gaa t^ai saaloN meN lamHoN kaa safar, sochaa nah thaa
dil lagaa murat se leNge ess kadar sochaa nah thaa!
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
ustaad-e-hunar: boss of talent
|
MAYANK SAHAB KO AADAB..............JANAB bahut khoob likha hai apne ap jabbhi likhte ho kamaal likhte ho naccheez ki daad hazir hai kubool ho...................IJAZAT................aap ka
"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"
Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.

|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
30th July 2007, 12:50 PM
Quote:
Originally Posted by Mohammad Kashif
MAYANK SAHAB KO AADAB..............JANAB bahut khoob likha hai apne ap jabbhi likhte ho kamaal likhte ho naccheez ki daad hazir hai kubool ho...................IJAZAT................aap ka
|
Kashif Saahab,
aadaab aur namaskaar
Ghazal ki pasandagii aur hausila afzaayii ke liye maiN aap ka Shukr-guzaar huuN.. aap kii daad hame tah-e-dil se qubool hai.. ummed hai aap aage bhii yuuN hii mehfil main aate raheNge....
Mayank
|
|
|
|
|
Zindagi Ek Tassavvur!!!
Offline
Posts: 369
Join Date: Mar 2007
Location: Hyderabad,India
Rep Power: 25
|
30th July 2007, 01:00 PM
Aadab mayank Bhai...
Kaise ho aap??? Bohot khoobsurat likha hain aapne... Is Adne ki daad kubool ho... Mere paas zyada alfaaz nahi hai iski taref ke liye nahi to bohot kuch kehta...
Apna khayal rakhe...
Ijazat...
Apka Dost...
Abrar...
Hum to pattharon se mohabbat ka hunar rakhte hain,
Tum to phir bhi moom ho "Abrar" ke gale lag kar pighal jaoge...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
30th July 2007, 01:43 PM
Quote:
Originally Posted by Abrarsworld
Aadab mayank Bhai...
Kaise ho aap??? Bohot khoobsurat likha hain aapne... Is Adne ki daad kubool ho... Mere paas zyada alfaaz nahi hai iski taref ke liye nahi to bohot kuch kehta...
Apna khayal rakhe...
Ijazat...
Apka Dost...
Abrar...
|
Abrar Dost,
Aadaab,
maiN Theek huuN aur ummeed hai kii aap bhii achchhe hoNge... aap ko Ghazal achchhi lagii jaan kar khuShi huii.. aap kii daad mere liye qeemati hai... aap ke paas lafzoN kii kamii, huzuur husn-e-nazar hai aap ki... yuuN hii saath dete rahiye... apna Khayaal rakhiye...
mayank
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
30th July 2007, 08:39 PM
mayank miyaaN
namaste
aapke huqm ke mutaabiq haazir huuN aur yaqeen kijiye dil "garden-garden" hai ke haazir huuN
ek beh'tareen Ghazal padhne ko milii aur aapko to ma'loom hai ke ch'cha Ghalib ki tarah mujh par bhi Ghazal ka junoon sawaar hai, Ghazal behadd pasaNd aayi balke behadd se bhi zyada pasaNd aayi, mubarakbaad aur daad tasleem ho
ek, faqat ek misre ke wazan par mujhe zara sa aitraaz hai :
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
yahaaN lafz-e-qistoN zaraa dab raha hai, maiN is misrey ki ek aur suurat tajveez karne ki gustaaKhi kar raha huuN :
dam-ba-dam marnaa padega umr bhar socha na tha
aapko qabuul ho to rakh lijiyega vagarna radd'ii ko Tokarii to hai hi
bohat umda Ghazal kahi hai bhai
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
1st August 2007, 06:34 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
mayank miyaaN
namaste
aapke huqm ke mutaabiq haazir huuN aur yaqeen kijiye dil "garden-garden" hai ke haazir huuN
ek beh'tareen Ghazal padhne ko milii aur aapko to ma'loom hai ke ch'cha Ghalib ki tarah mujh par bhi Ghazal ka junoon sawaar hai, Ghazal behadd pasaNd aayi balke behadd se bhi zyada pasaNd aayi, mubarakbaad aur daad tasleem ho
ek, faqat ek misre ke wazan par mujhe zara sa aitraaz hai :
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
yahaaN lafz-e-qistoN zaraa dab raha hai, maiN is misrey ki ek aur suurat tajveez karne ki gustaaKhi kar raha huuN :
dam-ba-dam marnaa padega umr bhar socha na tha
aapko qabuul ho to rakh lijiyega vagarna radd'ii ko Tokarii to hai hi
bohat umda Ghazal kahi hai bhai
rab raakha
maikash
|
maikash Bhaaii,
namaste:
hukm kahaaN huzuur, maiN ne to aap se guzaariSh kii thee, aap yahaaN aaye huzuur to dil baagh baagh ho raha hai..
aap ne dekha hoga kii jab ham koii nayee film dekhane jaate haiN aur film achchhi hoti hai to ham kahte haiN kii 'yaar aaj paise wasuul ho gaye" to huzuur, aap yahaaN aaye aur aap ne khaaksaar ke liye do lafz kahe, to samajhiye kii khaaksaar ke paise wasuul ho gaye.. mehnat rang laayii... aur huzuur, ab ham to gaahe-ba-gaahe aap se aise guzaariSh karte hii raheNge.... aakhir hame jhelne waala bhii to koii chaahiye.. 
maiN Ghazal ki pasandagii ke liye aap ka dili taur se Shukr-guzaar huuN bhaai,aur aap ne jis dhang se hausila afzaaayii kareN ti huzuur main to roz ek nayee Gahzal likh daaluNga...
aap kii tajveej kiya huaa misra behad khuub hai, yaa yuuN kaheN kii mere misre se kaafi bhaari aur dilchasp hai huzuur kabhii gar Ghalti se koii books waghera chaapane ka dil kiya to aap ke misre ko hii istemaal karuuNga.. aap koii sujhaab deN aur hame qubool na ho aisa to ho hi nahiin sakta.. par mere likhe huye misre par aap dubaara Ghaur farmaaiyega... 'maut hogee qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!'
aap aaye behad achcha laga... maiN mamnuun huuN aap ka.. yuuN hii aate raho bhaaii..
Mayank
|
|
|
|
|
Ankahi Kahaani
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 25
|
Hello Mayank Ji -
31st July 2007, 08:40 AM
Quote:
Originally Posted by Mayank
ahl-e-bazm,
aadaab, ek behad saadi magar taazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.. ummeed hai aap apnii raa'ey se zaroor nawaaZeNge..
******************************************
dil lagaa muurat se leNge ess qadar sochaa nah thaa
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
ho gee ranj-o-Gham meN hee shaam-o-saHar, sochaa nah thaa
zindagee aise bhee hotee hai basar, sochaa nah thaa!
un ke har wa'deh peh ham ne Khaak Khud ko kar diyaa
apne wa'doN se woh jaaYeN ge mukar, sochaa nah thaa!
woh jafaa karte haiN, phir kehte haiN ham ko bewafaa
aise bhee hote haiN ustaad-e-hunar, sochaa nah thaa!
kyaa kamii thee dosto, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar sochaa nah thaa!
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
hai kahaanee zindagee kee muKhtaSar "Ghafil" magar
ho gaa t^ai saaloN meN lamHoN kaa safar, sochaa nah thaa
dil lagaa murat se leNge ess kadar sochaa nah thaa!
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!
- Mayank
shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
ustaad-e-hunar: boss of talent
|
Hello Mayank Ji .....aapne bahot hi bahetarin gazal likhi hai ... Ek ek antaraa ...jaise dard aur gum ki kai dastaan sunaata hai ... Har lafz apane mai chhupi apani taqlifon ki sadaa suna raha hai ....
aur aapne bilkul sahee likha hai zindagi aese bhi basar hoti hai kabhi humane socha na tha ... aur shaayad yeh bhi na socha hoga ki jis ki baat par jiske waadon par hum khud ko tabhaa aur barbaad kiye jaate hai woh ek din apane hi waadon se mukar jaayega ...
har lafz ek kahaani kaheta hai ...dard-o-gum ki nishaanio ki dastaan kaheta hai ....
Aapki likhi gazal hume bahot hi pasand aai ..par ummid karte hai ki Bhagwaan ji aapko har dard aur gum se door hi rakhe ... aapko har khushi de ...
Apanaa khayaal rakhiyega .....
Aapki Dost: Gudia
Jay Ambe.
------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
------------------------------------------------------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushiyaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
1st August 2007, 06:41 PM
Quote:
Originally Posted by loveforgudia
Hello Mayank Ji .....aapne bahot hi bahetarin gazal likhi hai ... Ek ek antaraa ...jaise dard aur gum ki kai dastaan sunaata hai ... Har lafz apane mai chhupi apani taqlifon ki sadaa suna raha hai ....
aur aapne bilkul sahee likha hai zindagi aese bhi basar hoti hai kabhi humane socha na tha ... aur shaayad yeh bhi na socha hoga ki jis ki baat par jiske waadon par hum khud ko tabhaa aur barbaad kiye jaate hai woh ek din apane hi waadon se mukar jaayega ...
har lafz ek kahaani kaheta hai ...dard-o-gum ki nishaanio ki dastaan kaheta hai ....
Aapki likhi gazal hume bahot hi pasand aai ..par ummid karte hai ki Bhagwaan ji aapko har dard aur gum se door hi rakhe ... aapko har khushi de ...
Apanaa khayaal rakhiyega .....
Aapki Dost: Gudia
Jay Ambe.
|
Gudia jee:
kaisi haiN aap?
Ghazal kii pasandagiii ke liye maiN aap ka shukr-guzaar huuN.. aap ne zameeN kii dhool ko aasmaan par hi sazaa diya yeh to aap ki husn-e-nazar hai jo aap ko ess hadd tak Gahzal pasand aayee... aur haaN aap mere liye bilkul bhii fikr na kareN.. main Theek huuN aap yaahaaN aaye aur meri hausila afzaayii kii paRh kar behad khushi huii.. yuuN hii bazm meiN aati raheN.. apna Khayaal rakhiye...
Mayank
|
|
|
|
|
a broken shadow...
Offline
Posts: 1,164
Join Date: Mar 2007
Location: london
Rep Power: 22
|
1st August 2007, 06:46 PM
hello mayank ji,
namaskar,
aapki yhe gazal humein bahut achi lagi. yhe ehsaas and specially the way u put thm down and explained thm. jus beautiful. really good. dard ko bahut hi achi tarah se bayan kiya hai aapne. vaise to har sher is gazal mein tareef k kabil hai, par humein yhe sher to baut acha laga:
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
wow, jus great. aap yuhin likte rahein.
aapka dost
manish
Life is filled with goodbyes, a million goodbyes, and it hurts every time....and every time my heart dies a little...
Darkness falls on me like rain... just one drop at a time....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
1st August 2007, 07:49 PM
Quote:
Originally Posted by musafir ek pal
hello mayank ji,
namaskar,
aapki yhe gazal humein bahut achi lagi. yhe ehsaas and specially the way u put thm down and explained thm. jus beautiful. really good. dard ko bahut hi achi tarah se bayan kiya hai aapne. vaise to har sher is gazal mein tareef k kabil hai, par humein yhe sher to baut acha laga:
aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
maut hogeei qistoN meiN ik umr bhar sochaa nah thaa!
wow, jus great. aap yuhin likte rahein.
aapka dost
manish
|
manish jee:
kaise haiN aap aur kya chal raha hai? aap ke naam se to bhaaii hamaara gehra riShta hai..
Ghazal to shaadi sii hai huzuur, yeh to aap kii inaayat hai jo aap ko pasand aayee...aur aap ne jis dhang se taariif kii hai us se merii kaafii hausilah afzaayii huii hai... ummeed hai aap aage bhii yuuN hii hame paRhte raheNge.. Apna Khayaal rakhiye...
Mayank
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 43
|
2nd August 2007, 02:01 AM
Uff,,,!
kya karooN maiN ... kis sher ko chuNoo kasam se maiN musibat maiN padh gya huN ,,, bohat sareekhi zubaan maiN qatil sheroN ko anjaam diya hai aapne .. mujhe bohat pasand aaya har sher .. aur aapko padhna hi khud maiN ek badi baat hai ... mujhe is baat ki khusi hai ki aapko padhne ka mauka milta hai....
meri dher saari mubarkeN
Aapka apna
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
2nd August 2007, 12:18 PM
Quote:
Originally Posted by sacccha_pyar
Uff,,,!
kya karooN maiN ... kis sher ko chuNoo kasam se maiN musibat maiN padh gya huN ,,, bohat sareekhi zubaan maiN qatil sheroN ko anjaam diya hai aapne .. mujhe bohat pasand aaya har sher .. aur aapko padhna hi khud maiN ek badi baat hai ... mujhe is baat ki khusi hai ki aapko padhne ka mauka milta hai....
meri dher saari mubarkeN
Aapka apna
Kunaal
|
Kunaal bhaaii,
Aap ne jin lafzoN se ess khaaksaar kii taariif kii hai us se khaaksaar kii behad hausila afzaayii huii hai... Ghazal to behad saadi si hai.. par aap jaise dostoN kii wazah khaas ho gayee hai.. husn-e-nazar hai aap kii jo aap ne Gahzal aap ko ess qadar bhaayi hai..
aap kii daad aur mubaarakbaad ke liye tah-e-dils e Shukriyah!
Mayank
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Hybrid Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |