 |
|
|
|
|
|
|
 |
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
19th January 2005, 02:50 PM
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
-Manoj Kureel
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 36
|
Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
19th January 2005, 03:10 PM
Quote:
Originally posted by manoj kureel
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
-Manoj Kureel
|
kya baat hai
bahut yaad aata hai tera manana woh mera rooth jana
aaj phir guzre usi raah se to har pal tumhara bahut yaad aaye
sakhi
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
19th January 2005, 04:08 PM
tareef ke liye shukriya sakhiji
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 23
|
19th January 2005, 04:17 PM
Hi Manoj Bhai,
CLAP CLAP CLAP!!!. U're back with a bang. Bhai bohot accha laga aapko itne arse baad waapis yaha paake. Kalaam to humesha ki tarha lajawaab.
Luvs,
Salim
If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul
Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.
We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
19th January 2005, 04:21 PM
shukriya salim
bahoot acha laga tumhara reply paa kar.....kaam ki masroofiyat aur jindagi ki bhaag-daud mein peeche kuch dinon se kuch bhi nahin likh saka tha....aaj bahoot acha lag raha hai apne jazbaaton ko aap sab doston ke beech share kar ke..tumne meri koshish pasand ki iske liye dil se aabhari hoon tumhara....take care
Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 138
Join Date: Dec 2004
Location: New Delhi, India
Rep Power: 21
|
Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
19th January 2005, 04:35 PM
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
Kya baat hai...
Bahoot badhiya sher kahe aapne Manoj Bhai...
achha likhte hain aap..
Daad kabul kariye..
aapka
vij
Quote:
Originally posted by manoj kureel
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
-Manoj Kureel
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,779
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 31
|
hi -
19th January 2005, 04:37 PM
manoj ji,
kaise hain?? bahut din baad likh raha hoon reply.. wel aap sab delhi mein mile aur aap sabki picture dekhi meena ji ki aankho dekhi padhi bahut achchha laga...
aur a[ki aaj phir ghajal dekh raha hoon aur sach kahu jitana bhi feel kerta hoon kam hi feel kerta hoon aapne ..bahut hi khubsurat palo ko apane alfaazo mein kaid kiya hai...
bas likhate rahiye... aapki yah line bahut hi achchhi lagi...
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
shubhkamnao sahit,
Akant...
*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
|
|
|
|
|
Eyes and Dreams..
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 23
|
hi! -
19th January 2005, 04:43 PM
Hi Manoj ji!
Apne behad khoobsurat likha hai! Pata nahi kaise tariff karu..shayd..lafz kam pad rahe hein!..it was a pleasure reading u.
take care
komal
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 43
|
Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
19th January 2005, 04:52 PM
Quote:
Originally posted by manoj kureel
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
-Manoj Kureel
|
bhai ...
sach aapne to dastaan e jawani likh di hai ... sach ek ek shabd jigar maiN bas gaya hai .... har ek lafz maiN jo sachai hai .. usko tareefoN maiN bayan karna mushlkil hi nahi naa munkin hai .. meri daad teh dil se kabool kijiyega ... aur yuN mehfil se nadarad na raha kare aate raha kareN.... ... umeed karoUnga aap nirash nahi kareNge
aapka apna
kunal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
|
19th January 2005, 05:59 PM
monoj mere dost
kaafi dinon baad aap ne ghazal se mustafeez kiya, aur khoob kiya.
bhai, ek mushkil zameen per bohat khoobsurat alfaaz se aaraasta kiya hai aap ne is ghazal ko.
mujhe bohat bhaaye aap ke ashaar.
zaati taur per yeh andaaz aur aise kahe gaey ashaar mere mizaaj se bohat mail khate (match kerna) hain.
meri behad daad qabool karo mere bhai.
meri dua hai aap ka zoar e qalam isi tarah barhta rahe aur ham is se nehaal hote rahein.
musharrafhusain
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
19th January 2005, 07:48 PM
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
Manoj bhai, kya khoob likha hai aap ne.. waaH! WaaH! Jitni taareef ki jaaye kam hai aap ke is ghazal ke liye… Apne pyaar ko.. apne ehsaas e dil ko.. ek alag andaaz mai shbdoN ke jariye…khoobsoorati ke saath.. yahaaN pesh kiya hai.. taareef kabul kijiye…
Jaate jaate ek sher.. arz karta hooN..
[color=dark red]Gham na hoga.. mout ke aane ka…
Gar tere aagosh mai dum nikle…[/color]
MayanK
|
|
|
|
|
In Search of the unknown!
Offline
Posts: 248
Join Date: Jan 2005
Location: Shade in the shadow world
Rep Power: 21
|
20th January 2005, 07:07 AM
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
Manoj ji very nice agree with Kunal ji' s views he tells it better than what I could.
Very nice indeed....
The higher you go, steeper will be the valley and greater will be the fall.
Shade in the shadow world
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
|
20th January 2005, 08:48 AM
Bahut achha likha hai...hamesha kee tarah...
lekin Manoj...
yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale
ab kyaa karoge sair-e-chaman_zaar-e-aarazuu
rut jaa chukii cha.Dhe hue dariyaa utar chale
tumhara kalaam bahut dard bhara thaa...so yoonhi keh gayi...Hosh Tirmazi ki yeh lines...laga kyun koyi dil dukhaaye...jo gaya so gaya...waqt kab kisi ka thaa...
paras
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
Last edited by Parastaar; 20th January 2005 at 08:52 AM..
|
|
|
|
|
Yaadon ka!
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 47
|
20th January 2005, 04:09 PM
hello manojjjeee...
bahut accha likha hain apne...har ek ashar zindagi ki sacchai kehta hua...behad pasand aaya....
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
mausam
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|
|
|
|
|
Guest
|
20th January 2005, 04:42 PM
manoj ji
bahut acha laga apka likha. mein yahn naya hi hun bahut kuch nahi janta bas yahn aapke acha laga.
veer
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
|
Namaskar Kureel ji -
20th January 2005, 06:12 PM
Namaskar Kureel ji
Kayi din baad aapka likha padne ko mila bahut achha likha hay aapne.maafi chahungi kafi samay se site par nahin aayi chalo abb aayein hain.
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
Kuch likhna chahungi
Gum to kayi mile par uska Aansu pochna bahut yaad aaya
Zindagi ki Raftar ka hamey peechey chod jana bahut yaad aaya
Inteezaar us waqt ka dekhein unhey samney
Achanak uska samney Aa kar muskurana bahut yaad aaya
A very Nice composition indeed.Sada kush rahiye
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 24
|
Hi -
20th January 2005, 07:51 PM
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
wahh manoj ji....wahi purana andaaz-e bayaa..dil ki gehraiyon ko chuu gaya..muaafi chahti hu ki aajkal jyada reply kar nahi paati...
lekin haa aapki ye besh kimati rachnayein padhti jaroor hu..
Waqui aapke kalam padh kar dil mein ek ajeeb si shirkat paida hoti hai..kabhi wo dard bhari hoti hai to kabhi josh bhari...har baar ek naya ehsaas jaga jaati hai aapki kalam....
hamesha ki tarah is baar bhi daad kubool kijiyega..
aur haa aapki tasveer dekhi ...bilkul waise hi hai aap jaise ki mere tasavuur mein the...wahi chehre pe gambhirta ..wahi apne aap mein kho jaane wali shakshiyat....
Apna khayal rakhiyega,
hamesha aapki khushiya chahne wali,
aapki dost,
pari 
Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,629
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 36
|
Bahut khoob -
20th January 2005, 08:47 PM
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel" samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
Bahut khoob Manoj...Mere dost...Poori ki poori rachna bahut pasand aayi...or khaas kar ye Antra...
Aksar eisa hi hota hai ke gujzre waqt ke waakyaat ...bahut yaad aate haiN.
Bahut din baad tumhaari taraf se kuchh parhne ko mila per bahut achchha laga.
Likhte raho...Khush raho
Chaand
Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.
- Chaand
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
21st January 2005, 08:06 PM
Vijen bhai
Tareef ke liye shukriya..acha laga aapko yahan dekh kar....apna khayal rakhiye.
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: hi -
21st January 2005, 08:09 PM
Akantji
mein acha hoon aap kaise hai???tareef ke liye dil se shukriya dost...sach mein yeh bahoot khoobsurat pal the..bhale hi inka anjaam naakaami raha ho magar mere liye yeh bahoot badi dharohar hai jindagi ki,aur un palon ki yaadon mein kabhi kabhi utar jata hoon.
aapka reply padh kar bahoot sukoon mila...likhte rahiye...
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: hi! -
26th January 2005, 12:40 PM
namashkar komal ji
tareef ke liye dil se aapka shukriya...tareef karne ka koi tareeka nahin hota,,,aapka yahan aa kar mera hausla badhana hi mere liye sab kuch hai....take care
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
26th January 2005, 12:43 PM
kunal
tumharai "taastaan-e-jawani" wali baat ne mere labon par muskaan bikher di...meine to wahi likha hai jo mere saath guzra hai...aur jo meine mehsos kiya..
tumhare reply ka tareka mujhe bahoot pasand aaya...tumhare saath aur hauslaafzai ke liye dil se shukriya.
take care
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
26th January 2005, 12:50 PM
musharaaff bhai saheb
aabaab
sach aapka reply paa kar bahooot khushi mehsoos hoti hai mujhe.. shayri ke phalak ke chamakte sitare ki chaaw jab jab meri gazlon par padti padti hai ,,mere dil ko bahot sukoon milta hai..aapka yahan aana hi mere liye is baat ka suboot hai ki is baar mein shayad meine acha likha hai.
aapki daad sar-maathe par..aage bhi acha likhne ki koshish karta rahunga.aapke hauslaafzai ke liye dil ki gehraiyon se shykriya
take care
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
26th January 2005, 12:54 PM
mayak bhai
taareef ke liye shukriya..dost waise aap bhi kuch kam acha nahin likhte hai,,aapka andaaz-e-bayaan bahoot behtreen hai..aapki gazlon par mein aksar reply nahin kar pata magar unhe padhe bhina nahin chodta,,
Gham na hoga.. mout ke aane ka…
Gar tere aagosh mai dum nikle
bahoiot khoob !!! magar dost..hamare aise naseeb kahan.!
take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 36
|
Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
26th January 2005, 01:07 PM
Quote:
Originally posted by manoj kureel
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
-Manoj Kureel
|
manoj,
kisi pal yah bhi mahsoos huaa ki mere hi ahesaas ko labz mil gaye jo kabhi bayaan na ho paate mujse ....
lajawaab rachna k liye taarif kubul karna
di
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
26th January 2005, 01:07 PM
SHADOW JI
aap se pehli martaba mukhaatib ho raha hoon...aap ka isteqbaal karta honn..aap ne yahan ab kar meri koshish ko saraaha aur pasand kiya...aapki hauslaaafzai ke liye dil se shukriya...take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 44
|
27th January 2005, 12:04 PM
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
dhoondhti rahi saaya aankhein sehra ke safar mein
dhoop mein teri palkon ke shamiyanein bahoot yaad aaye
meri raat ki gawaah hai bistar par padi salwatein
har karwat par teri baahon ke sirhaane bahoot yaad aaye
sharaab na de paayi sukoon beqarar dil ko us dam
pyaase labon ko tere labon ke paimane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
Wah Wah WAh!!
Majo bhai... Bahut hi umda kalaam....Dil khush ho gya ise padhkar...
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
Manoj bhai.. in ashaar ne hi poori post ka saar bayan kar diya and thats why i like thse lines the most....Bahut khoobb manoj bhai... Meri daad humesha hi aapke saath hai.... Apna khayal rakhiyega... and plz keep writing 
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
29th January 2005, 11:43 AM
priye paars
deir se reply ke liye muaafi chahta hoon....tumne sahi kaha "waqt kab kisi ka hua hai" magar paars guzra waqt yaad bhi bahoot aata hai....guzre waqt mein ham log jindagi talaashte hai...us beete daur mein pahunch jana chate hai jabki jante hai jindagi ke safar mein U turn nahin hota....khair..yeh daastaan meri jindagi ki kitaab ke kuch sunhare panne the jinhe meine gazal ke roop mein aapke saamne pesh kiya....khush hoon ki tumko meri koshish pasand aayi....apna khayal rakhna..
-Manoj
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
29th January 2005, 11:44 AM
mausam ji
aapki tareefon ke liye dil se shukrguzar hoon..behad acha laga aap ko yahan dekh kar..take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
29th January 2005, 11:45 AM
VEER SAHEB
aap ka khairmaqdam hai mehfil mein..aapki tareefon ke liye dil se shukriya
take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Namaskar Kureel ji -
29th January 2005, 11:49 AM
namashkar sukanya ji
behad acha laga aappko yahan dekh kar....mein bhi kafi dinon baad yahan aaya hoon aur yeh post yahan pesh ki hai...umeed karta hoon aap achi hongi aur aapka saath bana rahega.
Gum to kayi mile par uska Aansu pochna bahut yaad aaya
Zindagi ki Raftar ka hamey peechey chod jana bahut yaad aaya
Inteezaar us waqt ka dekhein unhey samney
Achanak uska samney Aa kar muskurana bahut yaad aaya
bahooot khoob...! sada aur seedha dil mein utar jane wala sher kaha hai aapne...meri daad kubool kijiye..dil ki gehraiyon se aapka aabhari hoon ki aap waqt nikaal kar yahan aayi...likhte rahiye aur sada khush rahiye..apna khayal rakhiye
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Hi -
29th January 2005, 11:58 AM
namasjkar Pari ji
kaisi hai aap??? sach ek arse baad aap se rubru ho raha hoon...aur aap "muaafi" jaise alfaaz istemaal kar ke mujhe sharminda na kijiye plz...mein bhi ek arse baad is site par lauta hoon...jab se nai naukri join ki hai net par aana hi khatam ho gaya hai...
pari ji yeh aap ki nazron ka karam hai ki aap mere kalaam ko itni ehmiyat deti hai...warna mein kuch bhi nahin....mein to bas dil ke haal ko bayan karne ki koshish bhar karta hoon,,yeh aap jaise dost hai jo mujhe likhne ko prerit karte hai.aapke is maan ke liye mein dil ki gehraiyon se shukrguzar hoon.
kaash...delhi mein aap bhi ham sab ke saath hoti...ham logon ne har shayri.com member par baat ki,,jinmein aap bhi thi...badkismati hai hamari ki aap hamare saath nahin thi..wo sach mein kabhi na bhulnewala lamha tha jise ham logon ne jiya...ek dusre ke chehron se anjaan ham sab jab pehli martaba rubru hue to wo manzar bayan nahin kiya ja sakta...aapko meri tasveerein pasand aayi iske liye dil se aabhari hoon...
mein yehi umeed karunga ki aap ka saath is mehfil mein bana rahe...aap jahan bhi rahe khush rahe..
apna khayal rakhiye,aapki nayi gazal ka sada intezaar rahega.
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Bahut khoob -
5th February 2005, 01:24 PM
chand bhai
deir se reply ke liye muaafi chahata hoon....bahoot bahooot shukriya dost aapke hauslaafzai ke liye
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 27
|
5th February 2005, 04:50 PM
Nazron ki gustakhiyon ke jamane bahoot yaad aaye
na ban sake haqiqat jo fasane bahoot yaad aaye
aur
aaj peeche mud ke dekha jo jindagi ke safar mein "kureel"
samjha kiye jinhe apna wo begaane bahoot yaad aaye
Manoj Bhai.....
aapke ye sher dil ko choo gaye..... sach, ek dard ek judaai aur phir yaaden......
aur kya kahoon.....
maufi ki der se aapki post pe aaya......aur badi aarzoo thi ki delhi mein shaadi pe milenge magar aapki tabiyat zara nasaaz thi....
khair phir kabhi sahi.....
yunhi likhte rahiye janab.....
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
Re: Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
31st March 2005, 07:16 PM
meena di
deir se reply dene ke liye muaafi chahta hoon....dil ki gehraiyon se shukrguzaar hoon aapki tareef ke liye...take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
31st March 2005, 07:18 PM
HI PULKIT
sorrry 4 late reply...bahooot acha laga tumhara reply pa kar....dil ki gehraiyon se shukriya aapka....take care
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
kuch baatein kuch yaadein
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 24
|
9th May 2005, 11:49 AM
manojji
itne dino baad aapka kuch likha padha
mazaa aa gaaya
har baar ki tarah is baar bhi
aapka likha sidhe dil mein utar gaya
sonal
~~ u never know where ur destiny takes u ~~
There would come a time when
we have to stop loving a person
not because that person started hating us .....
but because we found out that they'd be happier if we let me go.....
|
|
|
|
|
ansoon aur muskan....
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 25
|
9th May 2005, 12:26 PM
manoj..
maaf kerna ayi kayio baar per tumhari ye rachna nahi parh payi...ye bhi bahut aacha ehsas hai....dil se daad kabool kerna....
swati...............some words about tears in!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4
Join Date: May 2005
Location: Delhi
Rep Power: 0
|
Re: Nazron ki gustakhiyon ke jamane... -
10th May 2005, 10:38 AM
Hi Manoj,
Aap ki Shayri bahut achchhi hai, Lagta hai ki aap ka kisne ne dil tod diya hai...Lekin aap is traha likhte rahe to aek din bade shayar
ho jayege...
Anup
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
|
18th November 2005, 05:06 PM
aman bhai
apni is bhoooli bisri post par ek arse baad aapko reply de raha hooon....muaafi ka talabgaar hooon.....aapki izzatafzai aur daad ka tah-e-dil se shukrguzaaar hooon..likhte rahiye.,..khush rahiye
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |