Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
Old
  (#1)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi - 29th October 2004, 03:47 PM

mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
kaanton bhari jamin kisi ki aasmaan ho gayi

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi

boodha* hone lagta hai wo waalid fiqr mein
ghar mein beti jiske gar jawaan ho gayi

bekhudi mein yeh kya likh baitha tu "kureel"
dil ki talkhi* kaagaz par phir bayaan ho gayi


baagbaan = Gardener
chattan = rock
boodha = old
waalid =father
talkhi = Bitterness

-Manoj Kureel


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#2)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 23
29th October 2004, 04:04 PM

Manoj Ji...

clap..clap...clap....swaagat hai aapko meri taaliyo ki zordaar goonz k saath pls. mehsoos kijiye...

ek gaana yaa aaya...

bahut dair se dar pe.....aankhe lagi thi..

bahut dair kar di....hazooor aate aate...

anyways..thanx to you & GOD ki aap ek baar fir hamaare beech me aaye..

aur aap ne kya entry maari hai...hamesh ki tareh sachin ki tareh ek zor-dar diwali k bumb-fataako ki zor daar tha.n tha.n k saath...ye aapka kalaam bhi isi tareh ki zor-dar awaaze utthhata hua sa...

ab iski tareef ka jab sawaal aata hai to meri bolti band ho jaati hai..vo kya hai na ki...mujhe lagta hai...main suraz ko diya dikh kar chirane ki koshish kar rahi hu...jo kam se kam main hargiz khawaab me bhi nahi kar sakti...kya khizaaye,,kya kante,, kya dard,, kya khayaalaat udele hai aapne is per ki main kya kahu...aur aap jab in shabdo ka jo jor-tor bitha kar jo gazel ke roop me dhaalte hai to mere haath ki ek ungli daato tale apne aap chali jaati hai jo ye show karti hai ki main kitni soch me par jaati hu ki....kis kadar aap k shabd gazel k saancho me dhal jaate hai...kash ye hunar ham me bhi hota...

anyways.....kaha.n raja bhoj...aur kaha.n ham gangu..teli....

aur ab aate rahiye...pls...varna ham bhi apni mohobat ka dola leker chale jaayenge...such kehte hai...

ok bye...acchhha acchha ruko bhai meri tahe dil se nikalti hu dhair dhair dhair saari daad to kabool karte jaiye...

ok bye...take care....

udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
29th October 2004, 04:25 PM

priye udas ji
sabse pehle aapke isteqbaal ka mein tahe dil se khushaamdeed karta hoon...ji haan...deir to ho gayi...magar kya karta..kuch dil o dimaag is qadar uljhe the ki kuch likh nahin paa raha tha...dil ke gubbar ko dil mein hi chupaye duniadaari ki rasmein nibha raha tha...aapki itni guzzarish ke baad hi yeh kalaam likh saka hoon...iska asli credit to aapko jata hai...mein to bas ek jariya hoon...
aapne meri taareef kuch is andaaz mein ki hai ki mein bejubaan ho gaya hoon...mein sach mein itni tareef ka haqdaar nahin...waise bahoot khushi hui aap ke reply ko padh kar...aapka reply hamesha hi mujhe likhne ko prerit karta hai...aur aap plzzz aisa sochiyega bhi nahin ki aap yahan se chale jayenge...mein yahin hoon aur rahunga,,aap sab ke beech...
aap ki daad aur hauslaafzai ka dil ki gehraiyon se shukriya,,khush rahiye...muskurate rahiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
Old
  (#4)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 43
Re: mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi - 29th October 2004, 04:31 PM

Quote:
Originally posted by manoj kureel
mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
kaanton bhari jamin kisi ki aasmaan ho gayi

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi

boodha* hone lagta hai wo waalid fiqr mein
ghar mein beti jiske gar jawaan ho gayi

bekhudi mein yeh kya likh baitha tu "kureel"
dil ki talkhi* kaagaz par phir bayaan ho gayi


baagbaan = Gardener
chattan = rock
boodha = old
waalid =father
talkhi = Bitterness

-Manoj Kureel
noor aankhon main aata raha uske tano se
ansoo ke gehrate badal ki chata hatti gayi

ab to maja aane laga tere sitam jhelne main
honton pe aati aah...! muskurahat ho gayi...

dhadkane chalne lagi phir ek jawan dil ki
hawa-e-gham jisme ghul ke khushi ho gayi..

kar diya bayan jo tune kagaz pe "saccha_pyar"
sookhti jeewan ki daal phir se hari ho gayi ...

bhai manoj yahi likh paya aapke kalam ko bulanad karte hue ... bohat hi accha kalam pesh kiya hai aapne ... aap aate kyun nahi aaj kal ... wakai main hum aapka intzaar karte hai ... jante hai aapke chahne walon ki kami nahi ... par ye khaksaar tab bhi aapse milne ko bekrar rehta hai ... aate raha kariye ... mehfil main ek bhi phool kam ho to kayin kante chubhne lagte haiii...

chaliye aapse vida leta hun umeed hai aap nirash nahi karenge hume

aapka apna
kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Re: Re: mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
Old
  (#5)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
Re: Re: mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi - 29th October 2004, 04:39 PM

KUNAAL BHAI
AAP ke is maan ke shukriya kehne ke liye mere paas alfaaz kam pad jayenge...aapki likhi yeh pankti ( mehfil main ek bhi phool kam ho to kayin kante chubhne lagte haiii ) bahoot shayrana hai...aur us se bhi jayda umda hai yeh gazal..jo aapne kahi hai...bahoot khoob..
mein yahan peeche jyada to nahin aa saka,,magar waqt nikaal kar aapko padhta jaroor tha....aapki gazlon ke jalwon ki chatta se fiza rangeen hai ..Mast bhai ke upar likhi aapki gazal to behad pasand aayi mujhe...wahan mein nahin aa saka,,iske liye muafi chaunga...magar yahan jaroor kehta chalun ki bahoot pasand aayi wo gazal...
aap yahan aaye aur meri koshish ko saraha,,uske liye dil se shukrguzar hoon aapka,,take care ,,keep writing
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 44
30th October 2004, 03:14 PM

Manoj bhai,

Kaise hain?

Bahut hi umda likha hai aapne.. Mujhe baut accha laga.. U've a unique style of urs.. a bit different from others... and that makes ur words all the more special..... Aage bhi aise hi likhte rahiyega... TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Manoj sahab Bahot khoob likha
Old
  (#7)
samir4u_in
Registered User
samir4u_in will become famous soon enough
 
samir4u_in's Avatar
 
Offline
Posts: 122
Join Date: Aug 2004
Location: An angel's heart
Rep Power: 22
Manoj sahab Bahot khoob likha - 31st October 2004, 10:44 AM

Manoj sahab,


bahot bahot khoob likha hai, very very well written. Every word is just like a pearl creating a marvelous necklace of a Gazal.

Do take care of ur self, and keep giving us such precios gifts of words.

God bless u with happiness


SAmir


The rememberance and the longing

______________________________
http://www.angelfire.com/emo2/shayri_e_dard
  Send a message via Yahoo to samir4u_in  
Reply With Quote
Old
  (#8)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 23
31st October 2004, 11:42 AM

Hi Manoj Bhai,

Ek bohot hi umda kalam ek bohot hi umda shair se. Bhai, aapka kalaam behud pasand aaya aur ek ek lafz dil ko chhu gaya. Yeh lines to bas...

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi

Humari daad qabool kare aur agey bhi uhi share karte rahiye.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 25
hi - 31st October 2004, 09:08 PM

manooj
kaise ho dost?
hmm...acha likha hay yar..
keep going..acha laga tumhyain dekh kar
khan
   
Reply With Quote
Namskar kureel ji
Old
  (#10)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namskar kureel ji - 1st November 2004, 10:09 AM

Namaskar kureel ji

Kaise hain aap.itney din baad aapka likha kuch pada bahut dard bhara hay.Kuch din se mein busy chal rahi huun.Aur kissey ko bhi reply karne ka time nahin mila.Aapne hamare sher ko pasand kiya accha laga.

mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
kaanton bhari jamin kisi ki aasmaan ho gayi

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi


Sabhi lines dil ko chuu gayi.kabhi kabhi dard mein dard bhara padoo to dard halqa ho jata hay.yeh lines kuch dard halqa kar gayein.

Keep writing
Take Care
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 27
1st November 2004, 10:40 AM

Kureel ji .... aapke sharyi mein jaane kitni gahrayi hai....
bade dinon baad kuch farmaya hai aapne aur vo bhi dhamake ki tarah....

Kuch pesh kar raha hoon aapke kalam ke baad.....shaayd pasand aaye.....

"likhta tha tu uski muskurahaton pe..
jab vo tere dil ke kareeb ho gayi.....
aaj kyun likhta hai " Aman" gam ke parchayiion mein....
jab vo kisi aur ke gulistaan ki muskaan ho gayi....."


************************************************



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
1st November 2004, 11:35 AM

Namaskaar Manoj...

Aaj bahut dinon baad aayi...tumhara post dekh kar bahut khushi huyi...tumhare jazzbaat wakai alag se shayri mein ubharte hain...aur jabse hum sabne shayri ke niyamon ko jaana hai...tumhari shayri aur bhi nikhar aayi hai...

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

bahut khoob!

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi

yeh sher sabse zyada dil pe asar karta hai...kyonki tum dil ki jamin ko chattaan bata rahe ho...jabki aankhon mein nami kee kami mehsoos kar rahe ho...tau yeh dil tau wahi pighalta mom hee raha na...

boodha* hone lagta hai wo waalid fiqr mein
ghar mein beti jiske gar jawaan ho gayi

ismein chipe dheron khyalaat...aur waalid ka dard............

bekhudi mein yeh kya likh baitha tu "kureel"
dil ki talkhi* kaagaz par phir bayaan ho gayi

meri or se bhi daad kabool kijiey janaab....apna khayaal rakhiey...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
3rd November 2004, 12:34 PM

HI PULKIT BHAI
mein acha hon...aap kaise hai??/mujhe bhi behad acha laga aapka reply paa kar,,,aapke ke dilaye hausle hi mujhe likhne ka jazba dete hai...dost...sach aapne meri bahoot jayda tareef kar di,,,mein shayad itni tareefon ka haqdar nahin,,magar bahoot acha laga aapko padh kar...mere paas wo alfaaz nahin hai jinse mein aapka aabhar vyaqt kar sakun...aapyahan aaye mein dil se shukrguzaar hoon...take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#14)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
3rd November 2004, 01:13 PM

monoj dost

Ghalib ki zameen per aap ne apne khayal ki khoobsurti ko aashkaar kiyaa hai.
"RANJ KA KHUGER HUA INSAAN TO MIT JAATA HAI RANJ"
MUSHKILEIN MUJH PER PARIN ITNI KE AASAAN HO GAEEN"

Aap ne bhi bohat tarteeb aur khoobsurat alfaaz se apne khayalaat ko ashaar ka rang diyaa hai.
monoj dost mehnet aur lagen se aap yaqeenan apne ashaar ko bohat behter bana rahe ho.
bas dost koshish karein ke khayaal kisi ka bhi ho alfaaz aap ke hoan.
yaqeenan bhai ki kisi baat se aap ko gila naheen ho gaa. kyunke mein aap se jo bhi kahoon ga apne pan ke ehsaas ke saath kahoon gaa.
meri daad qabool kijiye.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Re: Manoj sahab Bahot khoob likha
Old
  (#15)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
Re: Manoj sahab Bahot khoob likha - 5th November 2004, 01:18 PM

SAMIR JI
aapne is adaa se tareefon ke pul baandhe hai ki mein bejubaan ho gaya hoon,,,aapki taareefein karne ka andaaz bhi aapki gazlon ke jaise shayrana hai...aapki hauslaaafzai aur pyar ka aabhar mein kin alfaazon mein bayan karun samjh nahin paa raha hoon...dil ki gehraiyon se shukrguzar hoon ki aapne mujhe padha aur saraha....likhte rahiye,,khush rahiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#16)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
5th November 2004, 01:22 PM

SALIM BHAI
kaise hai aap??/ aapne jis apnepan se mujhe padha aur saraha hai.uske liye mein dil se aabhari hoon...behad acha laga aapka reply padh kar....aapki hauslaafzai ka dil se shukriya..likhte rahiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#17)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
Re: hi - 5th November 2004, 01:24 PM

BANJARA BHAI
mein acha hoon,,aur dua karta hoon aap bhi sehatmand honge...mujhe bhi bahoot acha laga aapka reply paa kar...aapki hauslaafzai ka dil se shukriya khaan bhai...take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: Namskar kureel ji
Old
  (#18)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
Re: Namskar kureel ji - 5th November 2004, 01:30 PM

Namaskar SUKANYA ji
mein acha hoon..aap kaisi hai?..behad acha laga aap ko yahan dekh kar..aap bahoot acha likh rahi hai aajkal....dua hai aapke hunar mein har kalaam ke saath izaafa hota rahe...aapne masroof hone ke baawjood bhi hamare liye waqt nikaal kar yahan aayi iske liye dil ki gehraiyon aabhari hoon...khush rahiye..apna khayal rakhiye

-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#19)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
5th November 2004, 01:35 PM

aman bhai
kaise hai aap?bahoot bahoot shukriya dost hamein padhne ke liye aur hauslaa badhane ke liye...


"likhta tha tu uski muskurahaton pe..
jab vo tere dil ke kareeb ho gayi.....
aaj kyun likhta hai " Aman" gam ke parchayiion mein....
jab vo kisi aur ke gulistaan ki muskaan ho gayi....."

bahoot khooob....bahooot sundar sher arz kiya hai aapne....meri daad kubool kijiye...likhte rahiye..khush rahiye
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#20)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
5th November 2004, 01:40 PM

Namaskaar paars
aapko bahoot dinon baad yaahn dekh raha hoon,,,khud mein bhi bahoot dinon baad mehfil mein shirqat kar raha hoon...aapka yahan aana kisi bahaar ke aane jaisa hi hai....ek nai taazgi se labrez ho gayi hai fiza....bahooot bahooot aabhari hoon ki aapne apne khaylaaton ki daulat se mujhe nawaza...yahan aa kar mujhe padha aur mera hauslaa badhaya...dil ki gehraiyon se aapka aabhari hoon...take care
kush rahiye
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#21)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
5th November 2004, 01:55 PM

MUSHARAAF BHAI
AABAAD
behad acha laga aapka reply paa kar.. mere dil mein aap ke liye bahoot izazzt hai..na jane kyun aapke reply mein ek ajeeb sa apnapan paata hoon mein...

"RANJ KA KHUGER HUA INSAAN TO MIT JAATA HAI RANJ"
MUSHKILEIN MUJH PER PARIN ITNI KE AASAAN HO GAEEN"

yeh sher Galib ka hai,,mein is baat se poori tarah anjaan tha...meine kabhi pehle yeh sher nahin padha...
mein aapko batata hoon meine yeh aasaar kahan se liye the.,.......ek baar sharaabkhane mein ek dost ke saath maikashi ke dauraan mere dost ke muah se yeh jumla nikla tha "mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi"...aksar gam galat karne mein maikhane jata hoon,,,aur hamari charchaon ka mauzoon hamesha "career" hota hai...bas isi baat ke dauraan mere dost ne yeh jumla kaha jo mujhe bahoot pasand aaya...aur meine is jumle ko gazal ke roop mein likh diya...mujhe bilkool nahin maloom tha yeh aasaar Galib ke hai....
aap mere bade bhai ho...aap dil se yeh baat nikaal dijiye ki mujhe aapki baat par gila hoga,.,,,mujhe to bahoot khushi hai ki aapne mujhe sahi raah dikhlayi...agar aap na batate to mein anjaan hi rehta is sher se...
aap ki hauslaafzai ka dil se aabhari hoon....aap ne pehle bhi mujhe sahi raah dikhlai hai aur aage bhi aap mujhe sahi raah dikhaoge ,,bas yehi chahta hoon..


khamosh aankhein jazbaton ki jubaan ho gayi
haath mein kalam kya aayi har aah jawaan ho gayi
ashkon ke gauhar se saje hai kaagaz mere
bekashi meri gazlon mein bayaan ho gayi

take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#22)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 28
1st October 2005, 01:45 AM

mushqilein is qadar badhi ki aasaan ho gayi
kaanton bhari jamin kisi ki aasmaan ho gayi

chod gaye parinde sabhi sookhe darakhton ko
chaman mein khizaein jab se baagbaan* ho gayi

aansoo nahin aate ab aankhon ki dehleez par
dil ki jamin jab se meri chattaan* ho gayi

boodha* hone lagta hai wo waalid fiqr mein
ghar mein beti jiske gar jawaan ho gayi

bekhudi mein yeh kya likh baitha tu "kureel"
dil ki talkhi* kaagaz par phir bayaan ho gayi


baagbaan = Gardener
chattan = rock
boodha = old
waalid =father
talkhi = Bitterness

-Manoj Kureel



Fabulous*

An outstanding creation... dil ko chhu gaye har lafz. bahut bahut bahut hi achha likha hai aapne. Daad kubul karna. aur hamensha yun hi likhte rehna... be happy & take care!

   
Reply With Quote
Old
  (#23)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 30
4th October 2005, 09:52 AM

PARUL JI
BEHAD TAJJUB HUA MUJHE APNI IS PURAI GAZAL KO YAHAN DEKH KAR...aaapne ise gumnami ke andheron mein dhoondha,,,padha aur reply diya,,,,iske liye dil se aap ka shukrgujar hooon....apna khayal rakhiye,....khush rahiye
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kuch is qadar Qasid Shayri-e-Ishq 19 12th May 2007 08:54 AM
Kis qadar tum ko puakara.......... Irfan Hakeem Ghazal Section 0 19th August 2006 07:00 PM
Is Qadar.... Irfan Hakeem Shayri-e-Ishq 2 1st July 2006 04:01 PM
is qadar...... dil_ka_rishta Shayri-e-Dard 0 20th January 2003 06:47 PM
deewangi is qadar maryam Shayri-e-Ishq 0 20th February 2002 05:20 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com