aaj phir apne sapno ki mazar per bethi hu
aaj phir ek phool khilega shayad
kuch dhundlapan hai aaj mausam mein
ya shayad in aankhon ka ujala kuch kam hua hai
panchiyon ki udaan nazar nahi aati ab
shayad unko bhi naya basera mil gaya
ya phir kisi saayiad ne kaat diye pankh unke bhi
ashko mein phir ek saya nazar aaya hai
qatl kiya meine us ko
ya is duniya ne kehar dhaya hai
saanj ko ab deepak nahi jalta
aangan ki tulsi bhi udhaas hai
koi to bhujaye us ki pyaas ko
chandrma ki chaandni ki yahi fariyaad hai !!!
ashko mein phir ek saya nazar aaya hai
qatl kiya meine us ko
ya is duniya ne kehar dhaya hai
Hi!
Saw ur post after a long time... How r u? Hope u r doing well
Beatiful words really... Mujhe bahut acchai lagi aapki yeh post... plz do keep up the good work.. keep writing
aaj phir apne sapno ki mazar per bethi hu
aaj phir ek phool khilega shayad
kuch dhundlapan hai aaj mausam mein
ya shayad in aankhon ka ujala kuch kam hua hai
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
good dear ; i like u plzzzzz contact me on my mail i will defenetly provide u a good friendship as i like u; u r good girl; and i born on 15th of april 1981; so we will become good mate right baby? yes.
by dear ur dearest freind " mitul"
its more than 10 month since i visited Shayri.com....i m back again in my normal life ...with lots of changes....specialy at career end...any way...we will talk that later...
ur latest ..."...sapno ki mazar....."....hhmm...touchy....well done...whts new.....
Waqt phir karwat lega ey dil
Tu udaas kyoN hota hai,
Dekh tera muskuraata sa hausla
PhooloN ko bhi khila deta hai
Paagat...sweekar kar in gamoN ko bhi
In gamoN ke peechhe bhi
Muskuraahat ka koi kaaran chhupa hota hai.
ashko mein phir ek saya nazar aaya hai
qatl kiya meine us ko
ya is duniya ne kehar dhaya hai
Bahut Khub Shalini, Bahut hi achha likha hai par ye likha nahi gaya hai balki ye aapke antaraatma ki goonj hai aur ye main yunhi nahi kah raha .....mahsoos kiya hai har shabdo ko gehrai se.....
Shalini ji Panchi kitni dur bhi udta chala jaye,laut ke apne aashiyan me vapas aata hi hai.....aap bhi apne aashiyan ko bakhubi pehchanye aur ......
hi shalini
bahut khubsurat likha hai aisa laga jaise ahsaas bhar diyen hain kitna sada kitna sakun dene wala wow main nahi kah sakta koi lafj aapki tareef main sach kah raha hun mujhe behad achha laga dil se kah raha hun bahut udasi hai bahut hee gahrai fir bhi bilkul sadgi hai is rachana main likhte rahiye
anish
tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!