Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: kaun sa sher achha laga
pehla(matla) 1 33.33%
doosra 0 0%
teesra 1 33.33%
chautha 2 66.67%
sab 1 33.33%
koi nahi 0 0%
Multiple Choice Poll. Voters: 3. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
AISE AISE FAREB..gazal
Old
  (#1)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 23
AISE AISE FAREB..gazal - 22nd May 2008, 03:20 AM

AISE AISE FAREB KHAAYE HAIN
LAGTE APNE BHI AB PARAAYE HAIN.

JAB HAVA SAANKLEN BAJAATI HAI
HUM SAMAJHTE HAIN AAP AAYE HAIN.

IS NAGAR KA AJEEB AALAM HAI
LOG RO RO KE MUSKURAAYE HAIN.

KAUN ROTA HAI AB KISI KE LIYE
SAB KO APNE HI GUM SATAAYE HAIN.

MERE MURDA PARAST YAARON NE
MARNE WALON KE BUT BANAAYE HAIN.

(SAANKLEN-chain to secure the door.)

PRASHANT VASL in GHUTAN (published 1984)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 22
22nd May 2008, 10:59 PM

vasl ji,pahla,chuntha aur panchwa sher bahut acche hai,bahut khoobsurat ahsaas diya hai,dusra aur teesra bhi bahut kalatmak hai par vicharo me vividhta dikhai deti hai jahaa tak meri soch jaati hai,wese aap jyada samjhte hai bahut bade kalakar hai aap,mai bahut sankoch ke sath ye baat likh raha hu,ye likhte hue mujhe sharm bhi aa rahi hai ki mai apko esa likh raha hu,par kyoki aap hi kai baar kahte hai ki kuch ninda karo,isliye kah diya,ummeed karta hu ki aap bura nahi manenge.
apka prasansak aur kayal
baagi.........

ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#3)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 23
23rd May 2008, 12:41 AM

Baagi saaheb
Aap ka sawal bahut achha hai..yahi to confusion hai logon mein aaj kal.gazal ka har sher jo do lines (jinhe misra kahte hain)ka hota hai apne aap mein mukammal..complete bat kah deta hai..aur gazal jo kai sheron ki hoti hai mein ye paabandi nahi hoti ki poori gazal ka khayal(concept) ek hi ho.isiliye koi shaayar(sachmuch ka) gazal sunaane ke pahle ye nahi kahta ki gazal suna raha hoon jiska title..sheershak..unvaan..ye hai.ye nazm mein hota hai jo chaahe jitni lambi ho shuru se aakhir tak ek hi kahani ke ird gird ghoomti hai.mukhtsar mein 'GAZAL KAI RANG..KAI KHUSHBUON ka ek aisa guldasta hoti hai..jis mein har phool(har sher) apna alag rang hone ke baad bhi in toto(mukammal taur par)bahut khoobsurat ..khushbudaar lagta hai..ummed hai meri baat aap aur jagah bhi confirm karenge aur asla mein gazal kya hai ye samjh paayenge.
shukriya
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
24th May 2008, 06:10 PM

Quote:
Originally Posted by prashant vasl View Post
AISE AISE FAREB KHAAYE HAIN
LAGTE APNE BHI AB PARAAYE HAIN.

JAB HAVA SAANKLEN BAJAATI HAI
HUM SAMAJHTE HAIN AAP AAYE HAIN.

IS NAGAR KA AJEEB AALAM HAI
LOG RO RO KE MUSKURAAYE HAIN.

KAUN ROTA HAI AB KISI KE LIYE
SAB KO APNE HI GUM SATAAYE HAIN.

MERE MURDA PARAST YAARON NE
MARNE WALON KE BUT BANAAYE HAIN.

(SAANKLEN-chain to secure the door.)

PRASHANT VASL in GHUTAN (published 1984)
Prasant vasl jee:

Namaste:

aap ki yeh puuraani Ghazal hame behad achchhi lagii... aur sabhi sher rawaan-dawaan hai.n... aap ne piichhli baar hame kaha tha kii ham taariif karne ke alaawa thoDi bohat alochana bhi kare.n to aap ko khushii hogiii.... par aap chu.n kii ek khuna-mashq shaayar hai.n aur ham ek nau-waariid to aap hi bataaiye kii ham aap ki shaan mai.n gustaakhi kis tarah kar sakte hai.n!! phir bhii ham apnii 2 kauDi kii raa'ey de rahe hai.n..aur is ke liye peshgii mai.n hi ham mazarat khwaah huu.n... kahii.n koii baat burii lage to mouse scroll kar ke yeh 'mazrat' lafz ko dubaara dekh leejiyegaa.....

Quote:
AISE AISE FAREB KHAAYE HAIN
LAGTE APNE BHI AB PARAAYE HAIN.
yeh sher mujhe behad pasand aaya... khuubsuurat matla par daad haazir hai..
Quote:
JAB HAVA SAANKLEN BAJAATI HAI
HUM SAMAJHTE HAIN AAP AAYE HAIN.
yuu.n to yeh sher bhi mujhe pasand aaya.. khayaal behad khuub aur bayaan bhii.... par 'saa.nklen' lafz mujhe itna ja.nch nahii rahaa hai... agar koii aur lafz ke istemaal se agar yehi khayaal rehta hai to mere khayaal se sher ke khuub-suurati me.n nikhaar aayega....

Quote:
IS NAGAR KA AJEEB AALAM HAI
LOG RO RO KE MUSKURAAYE HAIN.
sher pasand aaya! daad!

Quote:
KAUN ROTA HAI AB KISI KE LIYE
SAB KO APNE HI GUM SATAAYE HAIN.
sher me.n kahii.n koii kamii nahii, par phir bhi hame sher ka pahla misra aur khuub-suurat ho sakta hai....
Quote:
MERE MURDA PARAST YAARON NE
MARNE WALON KE BUT BANAAYE HAIN.
khuub-suurat maqta.......

Prasant jee, aap kii Ghazal behad achchhi hai.... is ke liye hamaare jaanib se daad haazir hai.... qubool keejiye...

Mayank

  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#5)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 23
25th May 2008, 01:54 PM

Mayank Ji
Mehrbani suggestins ke liye..aur Khuada ke liye main koi itna bada aur qaabil shayar nahi .mujhe aap sirf ek 'obsessive poet'samajhen..jo kisi bhi 'technical format' mein bandhe bina 'dil ki baat'ko imaandaari se kahna zyada pasand karta hai.
Rahi baat sheron ki to bhai..ye saare sher meri 'GHUTAN' mein qareeb 24 saal pahle shaaya hue the aur vaise hi yahan bhi haazir kiye gaye hain. ghaliban aaj main khud kai misre alag tarah se likhna chaahoon..magar jo likha hai main us se naraz nahi..wo mere safar ka ek padav tha..aur meri buniyadi parwaz ka ek behad khas hissa..
Haan 'salakhen' lafz ki jagah aj bhi main koi doosra lafz nahi istemal karna chahonga...ya yun kahen mujhe samajh nahi aata..aap kuchh soch kar likhen aur thoda mood change karne ke liye,ye sher is andaaz mein padhen..
JAB KOI DOOR BELL BAJAATA HAI
HUM SAMAJHTE HAIN AAP AAYE HAIN.
shukriya ke saath.
PRASHANT VASL
   
Reply With Quote
Old
  (#6)

25th May 2008, 05:01 PM

Mayank ji
Vaise to aap samajh gaye honge magar phir bhi..aap ko diye jawab mein galti se main SAANKLEN ki jagah SALAAKHEN likh gaya hoon.maafi chaahta hoon.
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
25th May 2008, 07:49 PM

Quote:
Originally Posted by prashant vasl View Post
Mayank Ji
Mehrbani suggestins ke liye..aur Khuada ke liye main koi itna bada aur qaabil shayar nahi .mujhe aap sirf ek 'obsessive poet'samajhen..jo kisi bhi 'technical format' mein bandhe bina 'dil ki baat'ko imaandaari se kahna zyada pasand karta hai.
Rahi baat sheron ki to bhai..ye saare sher meri 'GHUTAN' mein qareeb 24 saal pahle shaaya hue the aur vaise hi yahan bhi haazir kiye gaye hain. ghaliban aaj main khud kai misre alag tarah se likhna chaahoon..magar jo likha hai main us se naraz nahi..wo mere safar ka ek padav tha..aur meri buniyadi parwaz ka ek behad khas hissa..
Haan 'salakhen' lafz ki jagah aj bhi main koi doosra lafz nahi istemal karna chahonga...ya yun kahen mujhe samajh nahi aata..aap kuchh soch kar likhen aur thoda mood change karne ke liye,ye sher is andaaz mein padhen..
JAB KOI DOOR BELL BAJAATA HAI
HUM SAMAJHTE HAIN AAP AAYE HAIN.
shukriya ke saath.
PRASHANT VASL
Prashant jee:

aap ka jawab paRh kar achchha laga.... aur mujhe bhi filhaal saa.nkalen ki jagah koii lafz nahii mil raha hai jawaab dene ke liye aap ka mamuun huu.n.. ummeed hai aap ko aage bhi yuu.n paRhte rahe.nge, mehfil ki raunaq afzaayii ke liye shukriyah!

apna khayaal rakhiyegaa

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
tohid pagal
Registered User
tohid pagal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 0
15th June 2008, 09:40 PM

dil game ishq ki dua mjaange hai
aag me kodkar kambakht hawa mange hai
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
tohid pagal
Registered User
tohid pagal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 0
15th June 2008, 09:43 PM

[QUOTE]
dil me kuch ker guzane ki tamanna
najar ko talash hai manjil ki
maisamander me utarna chahta hun
mujhe arzoo nahi sahil ki
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
tohid pagal
Registered User
tohid pagal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 0
15th June 2008, 09:47 PM

teri yaad me jalkar dekh liya ab aag me jalkar dekhenge
is raah me apni mout sahi ye raah bhi chalkar dekhenge
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
GOPALKDAS
Registered User
GOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the rough
 
GOPALKDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Dec 2004
Location: kanpur
Rep Power: 23
23rd June 2008, 08:25 PM

Wah Prashant Ji Wah..!!
Kya Baat Hai.. Bahut Khub Gazal Likhi Hai Aapne..

GOPAL K. DAS
NAMAK BHARKAR MERE ZAKHMO PE TUM KYUN MUSKURATE HO?
MERE ZAKHMO KO DEKHO, MUSKURANA ISKO KEHTE HAIN...!!
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
GOPALKDAS
Registered User
GOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the roughGOPALKDAS is a jewel in the rough
 
GOPALKDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Dec 2004
Location: kanpur
Rep Power: 23
23rd June 2008, 08:39 PM

Chauthi Line Ka Sher Jyada Pasand Aaya Mujhe..
Waise To Sare Sher Umda Hain.., Par 4th Line Unme Se Jyada Achhi Lagi Shayad Apni Feelings Ki Wajah Se..
Nice Gazal

GOPAL K. DAS
NAMAK BHARKAR MERE ZAKHMO PE TUM KYUN MUSKURATE HO?
MERE ZAKHMO KO DEKHO, MUSKURANA ISKO KEHTE HAIN...!!
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 23
24th June 2008, 12:15 PM

shukriya..aise hi apne reactions bhejte rahen..hausla bhi milta hai rahnumaai bhi hoti hai.
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#14)

24th June 2008, 12:16 PM

Quote:
Originally Posted by GOPALKDAS View Post
Wah Prashant Ji Wah..!!
Kya Baat Hai.. Bahut Khub Gazal Likhi Hai Aapne..
shukriya..aise hi apne reactions bhejte rahen..hausla bhi milta hai rahnumaai bhi hoti hai.
prashant vasl
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
GAZAL :- fareb de jaayega... pranjakindia Ghazal Section 0 20th April 2008 08:43 AM
Aise log............. luckiest raj Shayri-e-Ishq 1 9th January 2006 09:38 PM
bas aise hi MAI Shayri-e-Sharaab 6 25th October 2005 12:12 AM
~*~*HuM aIsE nA tHe~*~* Taish Shayri-e-Dard 10 9th October 2005 08:31 PM
Kyu aise ho tum?? Afshan Shayri-e-Dard 10 21st June 2004 10:34 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com