yaadein... -
30th April 2014, 11:09 PM
Dil ke veeran shahar se jab yadon ki barat guzarti hai..
Palkon ke niche se tab ruk kar barsat guzarti hai..
Ghar ke andar mujh per har waqt ki pahredari hai..
Deewaron ke saaye mein ab poori raat guzarti hai..
Tanhai mein kuch sunta hun kuch kahta hun tanhai mein..
Dil se kuch baat nikalti hai, dil per kuch baat guzarti hai..
Sab khone ke jo baad mila, sab lutne ke jo baad bacha...
Bachi hui apni bhi bus ab uske saath guzarti hai...
Barson pahle haar chuka hai ishq ki baazi Gyan magar
Aaj bhi ishq ke pyaade per woh shah our maat guzarti hai......
|