Quote:
Originally Posted by Praneeta
Na chaand hai na tara hai tu
Phir bhi kitna pyara hai tu
Duniya chahe kuch bhi kahe
Maa baap ka apna dulara hai tu
Raaste sabhi teri hi or aayen
Kashti ka humari kinara hai tu
Dard ki dawa, marham zakham par
Ankhon ka haseen nazara hai tu
Roshan hai zindagi tumse Rudrah
Ananthpak, pari ka sitara hai tu
|
Pareeneta ji ...
Ek ma ke sneh , mamta , dular aur pyar ko atisundarta se shabdon meiN piroya hai aapne , ki per ke man gadgad aur mantramugdh ho gaya .
Very simple but beautiful poetry ..We also wish and pray that Rudra remains the apple of eye of Praneeta and Anant.
Regds
Sanjay Sehgal